Bari news ke time market say bahir he rehna behtar !

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bari news ke time market say bahir he rehna behtar !
    News ke time per jo log trading karty hain woh Janty hain ke khabi tu iss ke wajha say kuch na kuch Faida ho jata hai ziada dafa loss Hota ha . Kion ke bari news k time per market Dono directions Mai bohot taize say move kar rahi Hoti ha aur iss time market ko understand Jana b mushkil ho jata ha , iss liye traders k liye best yehi ha k woh iss time per market Mai trade open na Karin . News k baad market ko settle hony dain aur phir market ke direction daikh kar trade open Karin .

    App ka kiya khayal ha ?
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Effective news k waqt man trader ku wait kerna chahye k market kis directino man ja rehi ha ager trader ku positive response na milay tub tuk trade man na hi enter hun tu behtar ha werna loss hu ga.
    • #3 Collapse

      G Hn Dosto forex trading ma jb b koe bri news ho hmain os time py trading ni krni chy es ki wja ye hy k os time market kafi taiz hoti hy agr ap ki strategy sai na hui ho to ap ko kafi bra loss ho skta hy es ly news time trading sy bachy
      • #4 Collapse

        bilkul theek bat hy bari news kyt time ap ko trade nahi kerni chahiay ager tu ap ky pas fundamental analysis hy tu ap ky liya koi masla nahi hy ap asani ky sath yi ker sakty hy laikn ager nahi hy tu ap news any sy pehly hi apny acoynt mai jo trade lagi hu us ko ap band ker dy tu acha hy is mai ap ky account ki safty hy.
        • #5 Collapse

          Hum Yaha par kaam karte hue long time ke liye business ko develop karne ke liye news puppy Nazar Rakhna Hoti Hai aanewali new Spa kit for bahut jyada effect Karti Hai Jab Main Aisa Laga Ke yeah buddy news hai big news US time par Hame market Mein investment nahi karna chahiye aur Market ko Kafi Zyada baat karne ke baad ispe investment karna chahiye Jab Mari investment long time ke liye ho jayegi to hum Yahan Par Kafi Zyada kam generate kar sakte hain Kabhi Jyada help ke sath
          • #6 Collapse

            اصل پيغام ارسال کردہ از: b2b پيغام ديکھيے
            News ke time per jo log trading karty hain woh Janty hain ke khabi tu iss ke wajha say kuch na kuch Faida ho jata hai ziada dafa loss Hota ha . Kion ke bari news k time per market Dono directions Mai bohot taize say move kar rahi Hoti ha aur iss time market ko understand Jana b mushkil ho jata ha , iss liye traders k liye best yehi ha k woh iss time per market Mai trade open na Karin . News k baad market ko settle hony dain aur phir market ke direction daikh kar trade open Karin . App ka kiya khayal ha ?
            AP ne bahut hi awla bat ki hai or me apki is bat se agree krta hu hum se aksar log trade sirf krty hi new k time hai qk tab market me ziada movement hoti hai or esy time par trade lagana mery khayal se bahut bari mistake hai or wrong faisala hai hume chahye k hum humesha news time par market se out rahen.
            • #7 Collapse

              forex market per news ka bohat effect hota hai jub b new ati ho jo high impact rakhti ho wo market me bohat asr karti hai is time trade karna bohat risky ho jata hai new trader ke liye yahi thek hai ke wo news ke waqat market me in na ho apka account wash b ho sakta hai is liye news se bachna hi thek hai.
              • #8 Collapse

                G janab belkul eysa he karna chay hum ko news kay waqat trade open nahi karni chay qn kh market ka koi andaza darost nahi ho sakt kh market kes taraf move kary gi lahaza jab market main news ka impact zahar ho jay to tab hum kontrade open karni chay woh trade hum ko zeyda profit day saky gai or os main loss kay chance be bohat kam hon gay
                All The Best Dear Friends
                • #9 Collapse

                  Dear ap ny bat thek bhe ki ha lekin kuch log news pay he work karty hein kiyon k agar acha experience ho to ap market mein enter ho kar news pay he trading kar kay kuch second mein he bohat he acha profit earn kar sakty hein or kamyab earning kuch minutes mein he hasil kar sakty hein
                  • #10 Collapse

                    Re: Bari news ke time market say bahir he rehna behtar !

                    forex mai news ke bohat ahmeyat hain hamy inhy dahk kar market kq tazia ly kar kam karna chahey pher he hum acha profit gain kar saky gy forex aik asa business hain jis mai hum learning ky sat earning be hasial kar sakt yain yai students ky liye bohat ache job hain yai east wast mai bohat taze sy phal raha hain
                    • #11 Collapse

                      Re: Bari news ke time market say bahir he rehna behtar !

                      jab news bare ho to hamy market mai enter nahi hona chahey news ke forex mai bohat ahmeyat hain hamy in ko rozana dahkna chahey hum in py trading be kar sakty hain hum is mai live or sada urdu mai trading karty hain hum is mai part time be kam kar sakty hain hum is mai full time be kam kar sakty hain forex pakistan mai legal ban cuka hain
                      • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                      • #12 Collapse

                        Re: Bari news ke time market say bahir he rehna behtar !

                        News k time market zyda tar dono sides move kerti hai aur traders k sl hit krne ya account wash krne k bad phir thori der bad asal news k mutabik chalti hai is lie ap ya ti news se bilkul avoid krein aur agr trading lazmi krni hai to phir ap low lot use krein ta k ap loss mein kam he rahein.

                        اب آن لائن

                        Working...
                        X