Demo trading main sucess koin our real main loss ki kia reason hai?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Demo trading main sucess koin our real main loss ki kia reason hai?
    mery bhae aksar dosto ka ye question hota hai k humaen real main loss koin our demo main to trade kerty hain to profit hota hai us ki kia reason hain
    to bhae main ap ko btati chaloun k aik to humera demo account kafi bara hota hai jesay k hum 10000 usd ya 50000 usd ka open kerty hain our us k mukbalay ager app bonus ki baat karein to wo ap ko 200 say 500 dollar maximum milta hai pher app k emotions ap k bonus account pay app k sath nahe hoty hain jab k real main hooty hian our us main app greed k sath trade kerty hain to us wja say app ko demo main profit hota hai k app trade laga k chor dity hain our pura pura week app diekhty nahe hain to real main to laganay k bad ap bar bar check karty hain yahi reason hain k demo maen profit our real account main loss hota hai
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Demo account me trading ko ham etna har nahi samjty aur risk free trading ki waja se es me first time trading karny waly traders be profit earn karny me kamyab ho jaty hey jab key real account different cheez hey jes me traders ko mistake karna allow nahi hota esi waja se real account se zeyda demo account me success ka ratio zeyda hay.
    • #3 Collapse

      Dear demo mein success iss lye hoti hai kyun kay uss mein humara confidence level bahut high hota hai kyun kay uss mein humain loss ka koi dar nahin hota aur real mein humaray zahen mein loss ka bhi khauf hota hai jis ki wajah sae bhi humain loss ho jata hai aur doosra hum market ko continue watch kartay rehtay hain
      • #4 Collapse

        Dear jahan tk mera andaza he wo ye he k demo account me hmen loss ka dar nai hota jis waja se fearless ho kr hm zabrdast trading krty hen, q k hmara dar hmari nakami kii aik waja he, to jb hm real trading me involve hoty hen to fear factor hmen jakarr leta he aor shayd yehi waja he k real me loss hona shuru ho jata he.
        • #5 Collapse

          Gee haan aksar membersyehimkehtay hain kay jab woh demo mein practice kertay hain tou unhain profit hota hai aur jab woh real account sae trade lagatay hain tou trade loss mein chali jati hai aisa iss wajah sae hoti hai kay aap ka zahen demo mein relax hota hai uss mein loss ka khauf nahin hota aur real mein aap dar dar ker trade lagatay hain uss mein confidence ki kami hoti hai jis ki wajah sae ghalt trade lag jati hai aur loss ho jata hai
          • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
          • #6 Collapse

            bhai forex trading main jo demo trading hoti hai os main hmain loss hony se hmara bonus kam nahi hota hai matlb k loss k bad minus nahi hota hai es liye wo incrase he hota rhata hai jub k real trading main hmain loss hony par bonus minus ho jata hai es liye demo main bonus ki miqdar zeyda hoti hai or real main otna he ho pata hai demo or real main trading method same hai jub k loss or profit ka concpt change hota hai

            اب آن لائن

            Working...
            X