Reply Say Pehlay Thread Ko Read Zaror Kiya Karay...

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Reply Say Pehlay Thread Ko Read Zaror Kiya Karay...
    Assalam-o-alaikum dosto Pakistan forex forum per ma nay aik baat note ki hay kay zeyada tar member jab kisi thread ka reply detay hay tu osay read hi nhi kertay kay kehnay walay nay is ma kaha kiya hay balkay serf title ko daikh ker reply ker detay han tu mera ap logon say ye sawal hay kay kia hum log forum say aisay trading seekh saktay hay jab kay hum daikhtay hi nhi read hi nhi kertay tu humay pata kesay chalay ga kay trading asal ma huti kiya hay tu per aisay tu profit earn kerna bhot mushkil hay is liye jo Knowledge forum per share hu raha hay oski care karay ta kay ap logon kay kaam aa sakay.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Kisi cheez ko bina analyse kye hum kuch nai seekh sakty... analysis se hee hum seekhty hen... hmara kam pehle thread ko read krna or phir post krna hai.... otherwise hum nai krpaenge forex me acha kam.... humen apna best dyne k lye pehle best reader bn'na parhega
    • #3 Collapse

      Walekum Salam bhai bilkul main agree karuga ap ki is baat se mene bhi kaafi ye notice kia hai ke log jo thread bnaya gaya hai aakhir kisi information ko spread krne ke lye usko parhte nahi just title dekh ke apne marzi ke hisab se us pe reply dia kr krte hain but jab ke agr hum se koi sawal puchta hai to hum uska hi jawab denge na ya apni marzi ka kuch bhi aur bata denge to users ko dihan dena chaye ke jo thread create hue hain un ko pehle read out karna laazmi hai aakhir hum saamne wali pehle baat sunen to sahi uske baad hum us ko as a suggestion kuch reply den.
      • #4 Collapse

        yes dear jab tak ap sahi terha sy thread ko read hi nahi kry gy apko kiasy pata chaly ga ky is mai kiya bat pochi ja rahi hy ya kis bat ky bary mai knowledge share ki ja rahi hy jis terha ap ager forex mai kamyabi ky sath trade kerna chaty hy tu lazmi ap ko us ky liya yi kerna ho ga ky ap ko analysis kerna ho ga tabhi ap ko market sy achi trade mil sakti hy.
        • #5 Collapse

          Kisi bhi thread ka reply karnay say pehly ap ko chahiye kay achi tara thread ko read karain bohat say aisy log hoty hain jo description aur thread ko dekhy bgair reply karty hain topic kor aur hota hai wo answer koe aur dety hain is tara dosron ko koe faida nahi hota ap try karain jo bhi answer karain thread kay related ho aur reply karnay say pehly achi tara thread ko read kar liya karain.
          • #6 Collapse

            Re: Reply Say Pehlay Thread Ko Read Zaror Kiya Karay...

            bohat say threads hay forex forum main aur esmain knowledge bhi bohat acha hay aur humay chahiye keh sab ko read kea karen aur apny knowledge ko enhance kea karen esi main he humara faida hota hay aur humay khoob mehnat karni chahiye esmain kyun keh mehnat karnay say he humay faida hota hay
            "The mind is everything, What you think you become"
            • #7 Collapse

              Re: Reply Say Pehlay Thread Ko Read Zaror Kiya Karay...

              Assalamu Alikum,

              Ye aj kl hum forex ma fazool post create kr rhy hoty hein ye esi ka result hota h k hum thread ko party hi nai r direst post ki trf cly jaty hein, jis member ny thread ma apna problem kuch r discuss kiya hota h hum us ka answer kuch r e dy rhy hoty hein es liye ye bht lazmi h khum threads per posts krny sa phly ak bar zaror usy aci trh read kr lein r smj lein r pir us prr answer krein.
              • #8 Collapse

                Re: Reply Say Pehlay Thread Ko Read Zaror Kiya Karay...

                Reply say pehlay thread ko read kerna zarori hay ta kay hamen pata ho kay thread main kia pocha ja raha hay aur ham nay is kay jawab min say achay acha kia likhna hay. ager ham thread ko read nahi karen gay to hamen kabi bhi idea nahi ho gakay thread main kia pocha ja raha hay aur thread main kia likha ja raha hay. is say ham kabi bhi sahi jawab nahi den saken gay.
                • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                • #9 Collapse

                  Re: Reply Say Pehlay Thread Ko Read Zaror Kiya Karay...

                  aap ny sahi kaaha aap ki baat thek hain mostly members thread ko read kiye baghair hi reply dy daity hain jis ki wajha sy faida koi nai hota buhat sy logo ko threads aur un ky jawab parh kar faida hasil hota hy aur aisa sirf uss surat main ho sakta hy jb reply thread ky mutabik ho yeh na ho ky sawal chawal jawab gandum ho. iss tarha sy phr koi faida nai ho sakay ga.

                  اب آن لائن

                  Working...
                  X