Forex Trading ki Haqeeqat

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forex Trading ki Haqeeqat
    bhaio aj is thread me men apko aese 5 points bataunga jo ke apko forex trading karne se pehle soch leni chahiye.
    Pakistan Forex Forum pe kaam karne se pehle in cheezon ko samjh lijiye.
    No 1: forex trading me aane se pehle ap ye jan len ke is field me 80 % log paisa ganwate hen ji han apne bilkul sahi parha he ke 80 percent log paisa ganwate hen or sirf 20 % log paisa kamate hen jis me se 10 % log aage jaake paisa ganwate hen or sirf bach jate hen 10 % jis ko real me paisa kamate hen or uske liye bhut bhut ziada mehnat lagan ki zaroorat hoti he or experts ke mutabiq in 10 % me se bhi 5 % isme tikte hen or haqiqat me forex trading karte hen baki sare jo 95 % hen wo 3 se 6 mahine ke andar andar is kam ko chor dete hen.
    No : 2 ke ye OTC market he over the counter market he matlab un regulated market he isko koi regulate nai kar raha iske peeche koi bara nai jo isko control karta ho kal ko kisi ne apko dhoka dia ya apke paise loot liye gae or wo apko loot ke bhag gaya to ap usko kuch nai kar sakte kiu ke ap kis ke pas jaenge ap usko kuch nai kar sakte ap aesi jagah buisnes kar rahe hen jiska koi mai baap nai he.
    isme saare log bure nai hen na hi sare log ache hen isme dongi log ziada he is liye apko bhut apne aankh kaan khol ke rakhni hen or apne dimag ka sahi istemal karna he or common sense ka ziada istemal karen aesa na ho ke koi kahe apko apke paise double kar denge ap monthly 50 hazar kama sakte ho to yaad rakhiye ye sab advertisement ke tarike hen inse apko sirf or sirf attract kiya jata he or kuch nai.
    haqeeaqat iske bhut ulat he isme bhut mehnat lagti he apko har waqt apni aankhen khol ke rakhni hoti he or ap kis brokers ke sath kaam kar rahe hen ye bhut ziada important he.
    No:3 is field me borrowed money nahi leke aana he yad rakhiye ap ko koi karza wagera leke yaha pe trading shuru nai karni is se ap sirf life me bhut peeche jaenge or ap paisa loss kar denge or qarz wapis nai kar sakenge ho sakta he ap shuru me thora paisa kama len lekin ap aage jake usko loss karne wale hen ap please qarza leke trading na karen jo bhi trading karni he apne bachat ke paiso se karen or zaroorat ke paise bhi yahan na leke aaen or dheere dheere kar ke trading karen jald baazi bilkul bhi na karen.
    No: 4 sahi expectation leke aaen aesa na ho ke apko kisi ne kaha ke ap monthly 7 hazar dollar kama lenge aesa bilkul nai aesa karne ke liye apko bhut ziada mehnat karne ki zaroorat he ye sirf advertisment ke tool hen yaha pe paisa he kiu ke leverage he isme kamaya ja sakta he agar ap detail se kaam ko seekhe or mehnat samjh bhooj ke sath kaam karren to ap kama sakte hen lekin ispe depend na hojaen.
    No: 5 Demo trading account pe kamyab hone ka matlab ye na samjhe ke ap real me bhi aese hi trade kar lenge jaan lijiye ke demo account sirf or sirf ek illusion he ye ek dhoka hota he jo ke apko dia jata he demo account me ap practice karen kaam ko seekhen lekin confidence na hojaen ke ap real money ke sath bhib aese trade kar lenge yaad rakhiye ke demo account me apko bhut ziada balance dia jata he jis se ap khelte hen or loss bhi karte hen profit bhi hasil karte he or paise recover bhi kar lete hen yaad rakhiye us waqt apka balance bhut ziada hota he or ap dhoke me aajate hen haqiqat me apka balance kam hota he or pressure wesa nai hota jesa demo account me hota he ye bilkul aese he jaise bachpan me hume cycle sikhaya jata tha cycle shuru shuru me hume maidan me sikhai jati thi jahan hamara bhai ya baap hume pakar ke aage cycle chlata tha or hum khud aage chala lete the lekin jab hum wohi cycle main road pe leke aate the to phir aese lagta tha ke har gari mujhe thokne aa rahi he ya phr har gari ko hum thokne ja rahe hen to trade me bhi aesa hi he.
    to 5 points yad kar len
    isme 10 % log paisa kama paate hen
    ye unregulated market he
    isme qarza leke trade na karen
    sahi expectation laaen
    demo trade pe paka yaqeen na karen
    or yad rakhe isko apne career ke tor par har giz na len agar ap zindagi se thak chuke he haar chuke hen apki dukan nai chal rai ya financial issues hen ya university ya college ki fees ke paise chahiye ya student kamana chahte hen students yaad rakhen ke jaake apni studies karen or forex trading ko bhool jaen ache se paper den or apni field me expert banen or baki log wapis jaen or apni life ko face karen forex trading se apne ego ko satisfy na karen.
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    اصل پيغام ارسال کردہ از: Mudsarali786 پيغام ديکھيے

    Well dear bro aap ne trading k motaliq bahot hi achi information and suggestions di hain
    Hamen pak forum pe aise hi quality and knowledge full postes krni chahiye ta k ham apna khud ka bhi knowledge increase kr saken aur jo log hamari postes ko read krte hain unhen bhi acha knowledge mill sake
    Jab ham pak forum pe acha knowledge share kren ge to hamen best knowledge k sath sath pak forum se bahot acha bonus bhi mille ga so hamen pak forum aise hi achi postes krni chahiye
    • #3 Collapse

      Thanks brother for your response.
       
      • #4 Collapse

        yes bhai ap ki bat thek hai hum forex forum se bonas tu hasil kr lete hein lekin ab hume trading be krni hoti hai bohat se log trading main money lose kr jate hein is main experince k bhagir hum kuch be nai kr sakte hume is main phaly menat krni parti hai phr hi kuch hasil hota hai
        • #5 Collapse

          SBI Forex trading ki jo aapne Haqeeqat Bataye hai wo Kafi had Tak theek hai hum log Jab forex market me trading karte hain 282 90% people score loss hota hai means to fake a forex market Mein 90% credit score loss hota hai.
          Hame chahiye ke hum market Mein Hamesha se small volume of lot size Lagaye ok Hame market mein kisi kitne kilo Sone Ka Pata Na Ho.
          • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
          • #6 Collapse

            Re: Forex Trading ki Haqeeqat

            forex aik online business hain hum is mai kam karty hain to hamy is ka munafa milta hain yai aik international business hain yai kabe be band nahi ho sakte hum is mai live trading be kar sakty hain or hum is mai investment be kar sakty hain lakin is mai kam karny ky liye hamara knowledge or experience be bohat acha hona chahey

            اب آن لائن

            Working...
            X