Kia ap apne trades ko limits mai rakte hai ya nahi
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Kia ap apne trades ko limits mai rakte hai ya nahi
    Trades mai koi limit nahe rakne chaheye agar apki trading right direction mai ja rahe ho taab agar apki trading right direction mai nahe jaa rahe aor koi khas achievement nahi mil rahe taab apko apne trades limits mai rakte howe focus karna chaheye k q aisa ho raha hai aor eski waja kia hai
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    g han b ahi jan q nahe.wasy b jo b apni trades ko limit may nahe rakhty wo is my nuksan he uthaty hn.hum ismy jo b post kry to humy chahey k hum us my sirf wo he baty jo k is m pocha gia ho.agr hum ismy idher udher ki baty kry gy to hum us k bounce nahi mily gha .jo k humari tradeing k liay bohet he zururi hota hy.q k hum is k baghar trade nahe kr sakty.hum is my fazool post nahe krni chahey.
    • #3 Collapse

      Bilkul thek kaha apne Bhai k forex trading mai koi bhi trade lagain to uske analysis ki bunyaad pe profit and loss ki limit zarur rakhain taa k account maintain rahy aur market ko observe karty rahain agar koi change ki zarorat mehsoos ho to saath adjust kar lain.
      • #4 Collapse

        Mere khial me to hamen apni trade ko limit me rakhna chahiey. Ziada open ho k trading kren ge to ziada risky ho jaey ga lekin agr limit me rakhen ge apni trade ko to faida me rahen ge. Hamen trade lagatey wqt take profit aur stop loss indicator set ker lena chahiey ta k kuch achieve ho jaey. Agr ham koi limit set ni kerty aur profit increase honey k baad wapas negative me aata hai to ziada dukh hota hai agr wahan limit set ki hoti to wo profit mil jata.
        • #5 Collapse

          dear ap ki baat se agree karta hoo jub ap ki trade trend me lagi ho or right direction me ja rehi ho to waha par ap ko koi limit nehi rakhni balky market ki movement se full faida uthana chahiey or jub tak trend reversal ka signal na day apni trade ko hold rakhainy
          jub ap ki trade open honay kay bad right direction me janay ki bajaey loss me jaey to ap ko waha apnay analysis ko theek karna chahiey or apni trade hedge kar ley ta kay loss se bachay or os ko right direction me laey ta kay loss se bacha ja sakay
          • #6 Collapse

            agar hum trade ko manage kar kay run karen gay to hum market main bohat achi earning kar sakty hay esmain money ko manage karna chahiye kyun keh tab he humari trading achi aur behtreen ho sakti hay tab he humari trading achi aur behtreen ho sakti hay es business main khoob focus karen tab he humari trade achi aur behtreen ho sakti hay
            • #7 Collapse

              bhai main apni sabhi trades ko limit main rakhta hoon.or apni har trade main take profit and stop loss ka use kerta hoon.is say mujay 2 faiday hotay hai.ager mujay profit ho to wo bi limited ho.kue kay ager profit ki koyi limit decide na ki jay.to akser profit wali trades apko acha loss day jaty hai.or ager mujay apni trading main loss bi ho jay.to wo loss recoverable ho.ya na ho kay stop loss na set karnay say pora account hi wash ho jay..is liya is business main har trade ki limit ko set kerna buhat zarori hota ha
              • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
              • #8 Collapse

                Trading mai sab se important hy k app trading karty wqt apnay loss ki limit lazmi use kareen qk profit ki to chaloo koi baat nahi per loss ko limited hi rakhna sab k lye acha hay

                اب آن لائن

                Working...
                X