Gold per trade risky hai kya
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Gold per trade risky hai kya
    Aksar traders market mein gold per trading kartay hain iss lye kay gold ki market bahut tezz hoti hai aur log jaldi profit hasil karnay kay chakar mein rehtay hain jis ki wajah sae unn ko loss bhi hota hai lakin woh gold per trading karnay ko phir bhi tarjeeh detay hain agar aap gold mein soch samajh kar trade karain tou gold mein bahut profit hai
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    اصل پيغام ارسال کردہ از: Sobi2978 پيغام ديکھيے
    Aksar traders market mein gold per trading kartay hain iss lye kay gold ki market bahut tezz hoti hai aur log jaldi profit hasil karnay kay chakar mein rehtay hain jis ki wajah sae unn ko loss bhi hota hai lakin woh gold per trading karnay ko phir bhi tarjeeh detay hain agar aap gold mein soch samajh kar trade karain tou gold mein bahut profit hai
    G brother gold pe trading kafi risky hoti hai isliye hamen gold pe kabhi bhi koi trade ni leni hai agar ham apne bonus account se gold pe trading kren ge to ham loose ho jaen ge q k aik to gold k liye achi investment chahiye second gold k liye hamara experience bhi bahot acha hona chahiye tab hi ham gold men kamyab ho skate hain
    • #3 Collapse

      Gee haan ap nay theek kaha hai gold waqaee bahut profitable commodity hai aur agar aap iss mein trade karna chahtay hain tou iss ki market ko learn karain aur iss kay lye aap ko news sae bhi bakhabar rehna parta hai kyun kay iss ki movement dollar index kay against hoti hai tou dollar ki up down movement ka pata hona bahut zaroori hai
      • #4 Collapse

        jee gold par trade karna waqiaee boht risky hay. is mn aksar traders ko boht ziada nuqsan ho jata hay. sirf un logon ko gold py trade karni chahye jin ko forex trading mn kafi tajarba ho aur un ka account balance bhi kafi mazboot ho, warna nuqsan kay siwa kuch hath ni ay ga
        • #5 Collapse

          g bhai ap ne bilkul thek kaha hai gold me boht profit hai lakin wohin par ham ko risk bhi zyada lena parta hai or gold par kam karny k lye hamary pas big capital hona bhi zarori hai warna ham gold par kam nhi kar sakty or dosri bat agr gold market down ho to loss bhi boht big hota hai es bat ka kheyal rakhna chahye hamisha
          • #6 Collapse

            Bhai apki baat bikul tek hy k zeyada tar trader gold pe trading ko tarjee dety hy ta k zeyada se zeyada aor jildi se jaldi profit kama sakyn lkn ye bhot riski hy ek tu gold ka spread bhi bhot zeyada hy aor price value bhi bhot up hy is lia ap k pass bonus bhot hi zeyada huna chaye aor dosra analysis bhi huna chaye q k ager market knowledge k bagair trade kero gy tu Gold pher ap ka account wash kernay ma zara bhi muhlat nhi de ga.
            • #7 Collapse

              dosto forex trading ma sb sy zyda risky market gold ki hoti hy es ki market bht tazi sy upr or nechy ko move krti hy or esi wja sy log es ma trading krty hy k es ki market bht tazi sy upr nechy ko jti hy or es market k tazi sy upr nechy jny sy ya to profit bht zyda ho jta hy to ya loss bht zyda hota hy ye to ab ki strategy py depend krta hy agr strategy strong ho gi to profit he ga lkin agr strategy strong na hui to loss he ho ga or wisy b gold py trading krny k ly ap k ps gold sy related expereince b hona chy phr he ap trading kr skty ho kiun k es ki market bht he zyda risky hoti hy
              • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
              • #8 Collapse

                Gold aik boht riski pair hay aur is par trade karne k liay humain boht experiance ki zarorat hoti hay tab hi hum gold par risk free trading kar pate hain aur is se acha profit gain kar pate hain aur us k sath sath humare pass capital bhi acah hona cahaiy take hum save tradingkar sakain agar hum aeas nai karte tou humain gold main boht jaldi loss bhi ho jata hay

                اب آن لائن

                Working...
                X