Trading mein TP kyun zaroori hai
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Trading mein TP kyun zaroori hai
    Forex mein aap jab bhi trading kartay hain tou aao her waqt trade open kar kay tou beth nahin saktay kyun kay aap forex ko full time business ki tarah tou kar nahin rahay hain aur iss lye aap ko apnay doosray kaam bhi dekhnay hotay hain tou aap apni trade per TP laga detay hain ta kay jab market uss point pae aa jaye tou profit mein close ho jaye
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    اصل پيغام ارسال کردہ از: Sobi2978 پيغام ديکھيے
    Forex mein aap jab bhi trading kartay hain tou aao her waqt trade open kar kay tou beth nahin saktay kyun kay aap forex ko full time business ki tarah tou kar nahin rahay hain aur iss lye aap ko apnay doosray kaam bhi dekhnay hotay hain tou aap apni trade per TP laga detay hain ta kay jab market uss point pae aa jaye tou profit mein close ho jaye
    Dear brother agar ham trading men take profit ko use ni krte hain to some time aise bhi hota hai k market hamare analysis k motabiq hamare pin point pe zarur aati hai lekin phir phien se hi reverse ho jati hai iss tarah se ham apna kafi sara profit zai kr dete hain ab agar hamara take profit hoga to tab hi ham aona profit utha paen ge warna ham se apna sara profit zai ho jay ga
    • #3 Collapse

      Yes dear ap ne achi thread post ki ha trading mein tp ni balky stop loss bhi bahut zaroori ha account ko safe rakhny k liye trade mein tp aur stop loss is liye zaroori hain k ap trade laga k pc off kar k chaly bhi jayn tu ap ne jahan tp select kiya ha agar profit hota ha tu trade auto p close ho jaye gi us point ko tuch kar k aur stop loss bhi must use karyn agar market ap k against jati ha tu apka account wash ni hoga kam loss mein auto p trade close ho jaye gi
      • #4 Collapse

        Dear forum member forex trading main kai aik tools hn jo ke traders ki sahulat ke liy bnai gai hn ini main aik most important tool take prifit hy ye aik aisa tool hy jo ap ko forex trading ki tention se azad ker daita hy jub ap tp lagaty hn to jub trade ap ke take profit limit tak jaty hy to close ho jaty hy
        • #5 Collapse

          Take profit TP forex trading main bahut ehmiat ka hamil hey, jeb hum apna aik goal set ker lety hain keh main ne is trade se itna profit earn kerna hey to us hisab se hum TP ki limit set ker dety hain iska yeh faida hota hey keh jub hum online nhen hoty aor market us limit ko touch kerti hey to hamaritrade auto per close ho jati hey. Mery khial main TP hamary liay robot ka kam kerti hey.
          • #6 Collapse

            forex trading business mein take profit ki buht ziada ehmyeet hy take profit ko use kar k ap profit earn kar saktay han agr ap ne take profit na laga kar trade open ki hy tu ap ki trade profit mein ja kar waps aa sakti hy js se ap ko buht ziada loss bhi ho sakta hy aur agr take profit set kiya ho ga tu ap ki trade us point par ja kar close ho jaye gi aur profit earn ho ga is take profit zaroori hy
            • #7 Collapse

              Assalamualykum friends jesy k ap ko pata hy k jo be forex main trade karta hy voh sath aur be to km kar raha hota hy to es liey jab ap log Take profit vala option set karty hyn to es say ap ko faida yeh hota hy k apny baqi kam kar rahy hoty hyn aur jesy market us limit ko thouch karti hy trade end ho jati hy aur apko profit mil jata hy.
              • #8 Collapse

                han g ap ne bilkul thek kaha hai jab me ham koi trade lgaty hain to ham us par apna sara wqt spend nhi kar sakty to es lye behtar hai k ham loss se bachny k lye stop loss lagain jab market down ho to ap ka account wash na ho or ese tarha tp lgany se jab ap ka target profit complete ho jay to ap ka trade khud he close ho jay or ap ka profit safe ho jay
                • #9 Collapse

                  Members Take Profit ko set karney ka Faeda yeh ha keh iss se aek to market movement agar mukhalif ho jaey to iss se bacha ja sakta ha keun keh take profit set kartey waqat hum yeh andaza laga leetey han keh market reverse ho bhi gaeey to kam az kam hamarey T P ko hit karney ke baad ho gi lehaza hum azad hotey han dobara market checking se woh jahan bhi jaey uss ki fikkar se bach jatey han
                  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                  • #10 Collapse

                    G han jasa k stoploss lagaty hain k ham agr market na bhi dakh rahy hon to hamari trade itny loss pe close ho jye isi tarah take profit TP bhi isi liye lagaty hain k ham itna profit hasil kr lain .aksar market ki nivement bht fast hotj ha to us main sl or to bht hi lazmi habagr lagaye hon to bht ho acha hota ha

                    اب آن لائن

                    Working...
                    X