Apne yeh dekha hoga k currencies trading k liyeh pairs main hoti hai to pair main jo pehli currency hoti hai woh ap ki base currency hoti hai jisse ap kharidte ya bechte hain. Or jo bad main currency hoti hai woh ap ki quoted currency hoti hai jo ap hasil krte ya ada krte hain pehli currency ki kharid ya farokt k badle. Example: Agar ap EUR/USD ki misal len to EUR based currency hai or USD quoted currency hai yane EUR/USD ka jo rate hota hai woh EUR ka hota hai dollars main kyun k kisi bhi currency ki value siwae currency k nahi hosakti to isi liyeh agar apko EUR ki value maloom krni ho to ap kisi na kisi currency main us convert krnge jis se apko EUR ki value maloom hogi.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим