Zeyada tar traders blindly trading kinu karty hey?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Zeyada tar traders blindly trading kinu karty hey?
    me ne esy bahot se traders ko deka hay jo trading ka acha expernice be rakty hey magar per be wo koch trades blindly open kar lety hey, es ki waja meri samaj me ye ati hay key esy traders market ko analysis karny me time nahi lagaty aur sochty hey key jald se jald un ko profit ho jaye, kia esi blindly trading teek hay ya nahi?
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Blindly trading zyada traders isliay kerty hain ky forex trading ka knowledge aur experience ki Kami hoti hai ky market ko sehi analysis nehi ker paty ky jo bhi trade open kerty hain woh jis market ki movement ko dekh ker ky zyada one direction main move ho chuki hai tou ab reverse move kery gi lekin aesa kerna nuqsan deta hai
    • #3 Collapse

      Bahut sae traders iss waqt insta per ause kaam kar rahay hain jin kay pas forex ka knowledge nahin hai aur woh sunni sunai per apni trading kar rahay hain aur woh shortcut sae hi trading hasil karna chahtay hain aur issi lye woh blindly trades open kartay hain jis taraf market ko move kartay dekhtay hain ussi taraf trade open kar detay hain jo reverse honay per unn ka account wash kar deti hai aisa na karain aur firex mein trading seekh kar karain
      • #4 Collapse

        Theek kaha ap nay k zida trader blindly trade kertay hain un k pa's a koi plan hota hai na strategy and na hi koi khas anlyses hotay hain wo main chart per candlestick ko daikh ker ya moving average ko daikhty hain I think k 60%logblind li trad kertay hain jab k 40% anlyses per trade kerty hain Jo market ko poor janch rakh tay hain.
        • #5 Collapse

          Blind trading aksar new traders ya phir un-experience traders hi krty hain ya phir is type ki trading risky traders krty hain lekin ye hr haal mein ghalat tareeqa hota hy keun k iss mein profit kam aur loss zyiada hota hy
          • #6 Collapse

            bhai mein aap k bhale k leye hi ye post kar rha hoon aap khud apne andazy se treading ni karo aap jakr kisi se ye treading skho forex jar ustdoon k pass hi hoti he wese aap ap na time waste kardein ge jitna hoske to aap treading skho mene b bohat dhake khe hein bas aap eak acha teacher dohnd lein or us se skhein forex bulkul easy he itni mushkil ni he .mene post es leye ki k mere bhai kyon time waste kr rhe hein khud skh ne se kaam ni hoti mene bohat try keya he ,lekin ye smjh lo k forex ki jaar he us ko pakdo ,
            • #7 Collapse

              Trading business aik asa business hai jo seconds profit be desakta hai or loss be ye depened karta hai trader par ke wo kese trading karta hai trading hamaisha soach samajh kar business knowledge ke sath karni chahye trading karne ke lie fresh mind hona bhut zaroori hai or jo traders blindly trading karte hain uska matlab aar ya paar ka hota hai par blindly trading karne ke ziyada chances loss ke hote hain.
              • #8 Collapse

                dear jo traders apny knowledge say trades kartay hain unhain yeh bhi pata hota hay k unhain lose ho sakta hay wo apni invest ki kadar kartay hain aur apna experience increase kartay rehtay hain aur jo baghair knowledge k trades kartay hain only wahi blindly trades kartay hain jo hamaish say he lose kartay rahay hain aur lose kartay rahaingay q k wo business nai kar rahay hotay wo sirf isi umeed pay hotay hain k unahain forex main bus aik raat main he ameer banna hay aur bus ,so hamain aisi trades aur aisay trders say avoid karna chaye jo apna bhi nuksaan kartay hain aur unki sohbat sat others trders ka bhi nuksaan hota hay.
                • #9 Collapse

                  Dear baat ya hay k jo trader blindly trade open kartay hain iss ki 2 wajay ho sakty hain aak tu ya k un ko markit ka analysis nahi karna aata hay na he un k pass markit ka knowkedge hay iss laya wo blindly trade open kartay hain aur 2nd ya k wo iss laya blindly trade open kartay hain k markit hamasha up and down dono taraf move karti hay ager abi trade lose main ja rahi hay tu khuch time khuch din ka bad profit main be ja hay gi lakan iss k laya aap k pass bara account hona chaya tak lose hona per wash na ho ja hay
                  • #10 Collapse

                    اصل پيغام ارسال کردہ از: irfankhan786 پيغام ديکھيے
                    me ne esy bahot se traders ko deka hay jo trading ka acha expernice be rakty hey magar per be wo koch trades blindly open kar lety hey, es ki waja meri samaj me ye ati hay key esy traders market ko analysis karny me time nahi lagaty aur sochty hey key jald se jald un ko profit ho jaye, kia esi blindly trading teek hay ya nahi?
                    Jo log achay analysis nahe kartay hain aur trades pe trades bagair kisi achay analysis pe karain agy usko blindly aur wrong trading kaha jay ga casue aik best time hota hay trading kay liye market ki peshan goi bohat ehmiyat rakhti hay aap ki trading kay liye jab aap technical aur fundamental analysis dono he nahe krogay tou aap loss ka shikar hogay asi blindly trading se avoid karna chaiye...
                    • #11 Collapse

                      dear is ki main reason yeh ha kay traders harworking karnay me leazy hotay hain or just one ya two rules dekh kar entries lay letay hain un ko chahiey kay wo jub entries lay apnay har aik rules ko complete karay or agr kuch rules against ho to trade nehi open karni chahiey par un ko jald profit earn karna hota or wo greed me akar weak analysis par entries letay hain or exprience kay bawajood loss karwa letay hain
                      • #12 Collapse

                        ziada tar traders blind trading kam knowledge honay ki waja say karty hay aur es trha market main profit earn karnay ki ratio bhi kam ho jati hay aur hum market main earning anhy ki bijaye loss kar lety hay humay chahiye keh dil lga kar trading par dhyan dain kyun keh tab he humari trading achi aur behtreen ho sakty hay esmain mehnat karni chahiye
                        • #13 Collapse

                          Friends mere khyal me jske pas knowledge nhn hota wo andazy se trading krta he.is liye sb se ziada zroori he k hmen forex ka ziada se ziada knowledge ho.andazy se shayad tukka lg jae aur kamyabi mil jae to aur bat he warna maximum nuqsan hi hota he isliye knowledge ziada se ziada hasil kren
                          • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                          • #14 Collapse

                            Me nay bhi aisay bahut say trader ko daikha ha jo blind trading krtay hain un main say ziyada tar wo hmain jin ko fourm ka jb bonus milta ha to to wo blind trading krtay hain so meray khayal main yeh wo ghalti krtay hain aisa krnay ka faida nai ha ya wo log hain jo raato raat ameer hona chahtay hain so meray khayal main hmain blind trading say avoid krna chaeay aur dosto ko bhi advise krni ho gi k blind trading na krain koi faida nai ic chez ka.

                            اب آن لائن

                            Working...
                            X