technical analysis kafi hai trading ky leay?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    technical analysis kafi hai trading ky leay?
    dear forex trading members agr hum sirf market ka technical analysis kr ky trading kren to success hasil kr skty hain ya nhi market ma technically market ki movement zeyada tar hoti hai keun ky news to schedule ky sath released hoti hain market ma move bhi support aor resistance ky husab sy hoti hai apki ky raye hai is bary ma.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Janab mere kheyal se Forex Trading men jahan tak mumkin ho sakey Technicall Analysis ke sath sath Fundamental Analysis Zaror Mukammal karne chahiay keun Assal aor Haqeeqi Analysis to Fundamental hee hote han Technicall Analysis men hum jitni marzi ha Moharat hasil kar len lakin uss ka daromadar to Prediction par hee hota ha aor insani prediction mere kheyal hamesha yaqeeni nahen hoti Majbori ke teht jab dosra option nah ho to in par inhisar karna alag baat ha
    • #3 Collapse

      Technical analysis sy apko kafi help milti hai forex market main successful trading kerny ky liay lekin aksar fundamental analysis supersede ker jaty hain aur market phir kisi support aur resistance ky baghair bahot bari move ker jati hai jis sy ya tou trend change ho jata hai ya phir bahot bary bary account wash ho jaty hain
      • #4 Collapse

        Trading mein agar aap kahain kay technocal analysis kafi hain tou yeh baat ghalt hai uss per aap jo trade open karain gay lazmi nahin kay woh aap ko profit dae ker jaye lakin iss kay lye aap ko planning aur strategies aur fundamental analysis bhi karnay chahyeain
        • #5 Collapse

          Assalamualaikum Mere Samne technical analysis he Kafi Mein Hum logo ko Maar Geeta trend Jarur dekhna Hota HaiA aur Jyada Se Jyada mehnat Karne Hoti Hai Pyar Hum Log acche profit hoga
          • #6 Collapse

            Forex trading main 70 percent success apky technical analysis per depend kerti hai lekin next 20 percent up hoti hai woh fundamental analysis hoty hain aur last 10 percent apki good luck chalti hai agar apko both technical aur fundamental analysis hon aur luck bhi sath dy you 100 percent success hasil ho sakti hai
            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
            • #7 Collapse

              Agar aap achi trha se technical analysis kartey hein aur market ko sahi direction ke sath judge karne mein kamiyab ho jatey hein to phir mere khayal mein to technical analysis hi better hein aur agar aisa nahin he to aap ko fundamental par trade karni chahiye us par bhi aap sahi trha se trade kar saktey hain.
              https://t.me/pump_upp

              اب آن لائن

              Working...
              X