Forex halal hai ya Haram hai???
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forex halal hai ya Haram hai???
    Assalamualaikum all dear forex member mery bahot SA friend sochty Han keh forex halal hai ya Haram ...jahan Tak me ny pata Kia hai keh forex halal hai ku keh jahan profit aur loss 2no AA jayn wahan halal hota hai ....
    But mery AP SA bhi yahi question hai agr apko koi info hai to hamary sath share Karan....
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Dear forex ko ap agar juwa smjh k karo gy tu ap ko ye haraam e ho ga aur agar ap es ko rules k mutabik Islaaamic way mai karo gy tu ye ap k liye haalal hai es liye ap ko smjh k kam karo tu acha faida haisl karo es liye ap acha earn karo soo ap ko acha faida hasil ho es liye ap acha karo..
    • #3 Collapse

      sir es k bary mien kio mufti he theek sy bata sakta hai k yeh haram hai ya halal ager hum es mien yeh dakhy k es mien aa ker hum bhut zayada mehnat kerty hien or es mien aa ker posting kerty hien to yeh hamamry lye halal he ho ga
      • #4 Collapse

        Bhai muje tw ye halal lagta ha. Hum ais ma trade krty hain or humay profit or loss dono ho sakta ha. Humay earn krnay k liye bht mehnet karni parti ha. Market movement, strategies, learning, practice etc ma kafi stuggle hoti ha. Mehnet kr k rozi kamanay wala hi Allah ka dost ha. ye koi gambling bhi ni ha trade ha.Baqi oper jasay senior nay bhi kaha kisi mufi ya alaim say rojo kr lena behter ha.
        • #5 Collapse

          dear bro koi bh business ho jis main profit and loss dono hon to wo buisnes hala hota hy haram ni ,keon ke jis business main nafa nuqsan dono hon to hum us ko haram ni keh sakty,haram buisness wo hota hy jis main fixing ho
          Signature removed by moderator
          • #6 Collapse

            Islam m agr koi chez ya percentage fix kr dy jay tb wo sood bnti h...jb k business hota hi wohi h jis m loss or profit 2no hn...forex trading b aik aisa business h jis m ap ko profit or loss 2no ko face krna parhta h...iss ly yeg soood nh h is k elawa yeh ap ki skills , experience and competency ki or mehnat ki kamai h....
            • #7 Collapse

              dear ap nay bahut acha sawal kia hay,forex hallal hay is main koi shak nai aur jis business kay sath lose equal ho usay ham kabhi bhi haraam nai keh saktay hain is main agar ham kisi barri lot k sath trades start kartay hain ya choti lot k sath ham trades uthatay hain us k start main hamin sab sy pehlay lose honay start hota hay aur agar hamara knowledge acha hay to hamain profit hoga aur agar na i to phir lose he hamaray sath hay is liye profit aur lsoe equal hay aur forex har haal main halaal hay.
              • #8 Collapse

                Walikum Asslam, Dear jo main ne Forex ke bare main learning ki hai ya phr jo main ne knowledge liya hai Forex ke bare main.. Humain account banate waqat ya account ban'ne ke bad bi swap free account ko choose karna chaiye iska fida ye hai hamare liye ke hum se wo commission nae liya jata jo ke hum ne open trade karne pe dena hota hai to ye halal business hai dear.
                • #9 Collapse

                  bohat acha sawal ha i think forex is the halal business in the pakistan ager ya business halal nhi hota to per aytna zeyada log es ko join nhi karta es leya hum ko chaheya ka hum es ma hard work karna start karda or achi earning start karda warna hum ko loss he hoge ager hum ko hard work nhi karni ha............
                  • #10 Collapse

                    Yeh aik asia sawal ha jo k bahut mushkil ha jawab dena lekin fourm pay hmain apni raye k izhar ka pora haq ha pakistan forex fourm aik aisa platform ha jis pay hum apni raye forex k related share kr sktay hain. Kuch log forex ko halal samjhtay hain aur kuch haram yeh ab apni apni soch ki bat ha. Lekin meray khayal main forex halal ha kyun k ic main profit aur loss dono hain
                    • #11 Collapse

                      Bhai forex ak halal business hai jis main ham apni mahnat sa profit kamata han us ko ham haram nea bol sakta ya ak business hai jis main ham mahnat kr ka bonus hasil krta han phr trading kr ka profit kamata han us ko ham haram nea kah sakta
                      • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                      • #12 Collapse

                        Aaloom-e-islami Qawaneen aor Asoolon men man khud ko itni wossat ka hamil nahen samanghta hon keh iss moamley men ray de sakkon tahum jo thora bahut sunna parha ya sanmgha ha uss se to lagta ha Aap iss business par zeada inhisar nahen kar saktey lakin yeh Haram bhi nahen ha keun keh abhi tak kissi bhi isalmi Mulki Qawaneen ke taht iss par Pabandee nahen Lehaza Halal mana jaey ga

                        اب آن لائن

                        Working...
                        X