forex trading main lalach kab ata hay?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    forex trading main lalach kab ata hay?
    members main ap say sawal karna chahta hoon k forex main lalach kab aur kahan ata hay is ki kia wajha banti hay ,kia traders k pass profi ziada ho jati hay ya phir wo tradong main ukta jata hay,ya phir wo aik dum ameer banna chahta hay?
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Bhai forex trading ma lalach to har waqt mojood rehta hy and is ka nuqsan us waqt hota hy jab banda ziada sy ziada kamana chahta hy to hamen chaye k lalach sy door rahen and jo planning ke ho us pa amal karen
    • #3 Collapse

      Dear forex trading main lalach usi time aata hai jab aap ye sochty hain kay thory sy wakt main apne zaida profit bnaana hai aur ye aap nahe daikhty kay uska loss apko kitna ho saktaa hai. Esi liey forex main kehtty hain kay jazbaat ko bilkul bhe involve nahi karna hai. Aur jab aapne trading karni hai to apny plaan ko sahi tarha execute karna hai. Aur kabhee bhe money management ko nahee bhoolna hai. Wagarna aapko us lalach ka baahri nuqsaan uthaana pary ga.
      • #4 Collapse

        Bahi lalach jab trader 2 ya 3 trade s profit kama lata hai tu tab ata hai kiun ka wo chata hai or money aya tu is lalach mai phr bari bari trade krta hai jis kia waja s loss bara ho jata hai is lai agr profit ho jaya tu lalach mat karain aram s sakoon s dahk kr trade katain ta ka loss nahi ho
        • #5 Collapse

          dear basically forex may lalach ko ap aisay keh saktay hay kay aap ko maslan 10 dollars profit ho raha hay or aap ko pata bhi hay kay mazeed movement aap k haq main nahin ho gi lekin phir bhi aap close na kero zyaada profit kay chakkarr may or loss kerwa lo to yeh lalach hay
          • #6 Collapse

            Salaam frinds g ap thek kha raha hai janab lalch us time ata hai bout kam time ma trade profit ma close ho jay phir lalch aa jata hai aur trade lagna k dill kerta zaida profit lana k dill kerta hai
            • #7 Collapse

              Brother trader ko forex trading main laluch us waqat aata hay jab trader ko profit hota hay, because agar trade main profit ho to trader big profit ki greed karta hay, jes say all loss ho jata hay agar low profit accept karta hay to wo earning karta hay.
              • #8 Collapse

                Dosto aik trader Kai trha sy trading ma lalchi ho skta hy msal k tor py aik trader ko khe sy news pta lgti hy k market upr ko jy gi ya nechy ko wo os news k hisab sy bri lot lga k trade lga dyta hy halak us k monet management es bri lot k kabil ni hota hy wo lalch krta hy jis sy os ko loss ho jta hy ya ho skta hy or aik or wja jb kisi trader ko aik trade sy enough profit hsal ho gya lkin os Ki trade phr b lgi rheti kiun k trader chata hy k or profit hsal kia jy lkin os Ki trade profit sy loss ma Chli jti hy yhe wja hy trading ma lalch ki
                • #9 Collapse

                  Forex trading main lakach tab aat hy jab ap ka dil ziada sy ziada profit jama krny k liy sochta hy aur bysabar ho k trading main ziada profit k liy by chain rehta hy jo k aik trader k liy sahee ni hy aur jo bi trader forex trading main trading k doran lalach krta hy ziada profit k liy to mery khial main usko forex trading main trading sy ziada problems ka samna krna prta hy
                  • #10 Collapse

                    اصل پيغام ارسال کردہ از: pervez پيغام ديکھيے
                    members main ap say sawal karna chahta hoon k forex main lalach kab aur kahan ata hay is ki kia wajha banti hay ,kia traders k pass profi ziada ho jati hay ya phir wo tradong main ukta jata hay,ya phir wo aik dum ameer banna chahta hay?
                    Forex trading Mai traders college kab Hoti Hai Jab Woh profit Bana Lete Hain aur apne analysis ko Bass pura kar lete hain lekin uske baad bhi ho profit banane ki try karte hain unko lag jata hai
                    FRD 07 TRADING JOURNAL
                    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                    • #11 Collapse

                      Jab humain kisi trade main thora bohat profit ho rha hota hai to hum try karte hai ke humain is main or zayda profit ho to ye greed hi hai humain Forex ki market main is se bohat jaldi side pe hona chaiye matlb ja bbi trading karian to greed ko control karian jo ke humain Forex main learning sikhati hai or Greed pe full control karna zaruri hai bohat zayda.

                      اب آن لائن

                      Working...
                      X