success ki surat me over confidence nhi hona chahye
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    success ki surat me over confidence nhi hona chahye
    dear forex members forex me ham ko aik bar jab kamyabi mil jati hai to ham ko over confidence nhi hona chahye apny emotions par control rakh kar mehnat se kam karna chahye over confidence ap ki mehnat ko zang laga sakta hai
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Success apko agr milte hai to wo apky aitemaad aur apki apni mehnat sy milte ha. Aur successful hony kay liey 1 month ya 2 month ma profit kamany kay baad aap agr ye samjhny lag jaain kay ab apko kamyabi he milne hay to us par apko nuqsan ka khadsha barh jata ha. Kun kay ess kam main overconfidence hona bht he nuqsan ka sabab ban sakta ha aur bht sarry logon kay liey yehi nuqsaan ke barii wajjha banna bhi hai.
    • #3 Collapse

      Overconfidence insan ko aksr nuqsan hi deta hy kyon k jb hamen profit hota hy to hm boht khush hoty hn ar overconfident ho k forn hi ak ar trade lga dety hn ar is trha ki trades aksr loss hi deti hn q k aesi trades pe ham analysis b nhi krty theek sy
      • #4 Collapse

        G han jnb aap nain bilkul sahi kaha hai thori c success k baad overconfidence ho Jana bewaqofi hai air yeah kaafi nuqsan deh hai is liye aapko chaye k apni stretgy PR kaam karain air mazeed profit earn karain air zaida excited nan hun
        • #5 Collapse

          dear fellows over confidence ky nuksanat sy to hm sb achy sy he waqif hy ye hmy success sy loss ki tarf ly jata hy hmy isy avoid krna chaheye ar especially jb hm success hasil krty hy to hmy over confidence ho ky trade nhi lgani chaheye hmy apny emotions py control rakh k analyse kr k he trading krni chaheye
          • #6 Collapse

            G haan dear aap bukal thek kaha rahay hain main aap ki baat sa agree karta hoon k kohi be feild ho us main aap ko chahay kitni he kamyabi hasil ho hi ho ager over confidence ho jay tu nakami ka bhot chance ho jata hay issi tarha jab trade main kamyabi hasil ho tu us per over confidence nahi hona chaya balkay apna emotion ko control kar k mukamal analysis kar k trade karni chaya
            • #7 Collapse

              G bilkul jab hummy kamyabi mile jati Hy to hummy over confidence Ni hona chahiya q k is tarha hum mahnat Ni Kary gy or pichy rah Jaya gay isliya jab hummy kamyabi Mily to hummy chahiya k hum or mahnat kry or mazeed kamyabi hasil kry ..
              • #8 Collapse

                Forex trading me traders ki balance ki aik waja over confidence bhi he,junhi koi trade tp hit krti he trader samaaajhny lagta he k ab to me expert jo chuka ,phir dekhty hi dekhty usy kheyl ata he k is profit ko aor barhaun ,is tarah wo over confident ho kr next trade laga deta he jo k itna achha analyse nai krta ,jis waja se loss k cjhance barh jaty hen aor aksar ska result trader ki umeed k bar'aks hota he.
                • #9 Collapse

                  Han agr humain kuch trades main profit ho rha ho to humain greed nae kani chaiye balke humain profit le ke side pe ho jana chaiye or next day ka wait karna chaie ya phr right trend ka jo ke ap ko fida de market main bohat zyda over confidence se boha zyda loss bi ho sakta hai Forex ki market ma ye bat humai note karni chaiye lazmi.
                  • #10 Collapse

                    Insan main yeh bat hai ke wo Zara se loss per pershani ka shikar bhi ho jata hai lekin Zara sa profit a jay tu pholay nai samata aur khod tu expert smjhny lgta hai aur yeh sb overconfidence ke zumray main a jata hai jo ke dangerous hai
                    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                    • #11 Collapse

                      forex trading business mein confidence ka hona tu zaroori hy lakin over confidence nhi hona cahaiye over confidence se profit nhi loss hota hy forex trading business mein agr profit ho tu is se over confidence nhi hona cahaiye balkay lagan se mehnat aur hardwork karna cahaiye takay forex trading business kaamyaab trading kar k profit earn karain

                      اب آن لائن

                      Working...
                      X