Professional trader kon hota ha?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Professional trader kon hota ha?
    Aoa.friends aj me ap se pochna chahta hn k professional trader kon hota ha.us ki kiya kiya nishaniyan hoti haen.
    Mery khayal se professional trade wo hota ha jo apni analysis mein master hony k sath sath apny account ko manage bht achy tareeqy se krta ha.money management ka bht khayal rakhta ha us ki trades calculated hoti haen.us ka trading plane bht acha aur easy hota ha.wo din mein jo trades lagata ha un ka tp aur SL set kr k bar bar trade ni daikhta usy yaqeen hota ha k us ki trade tp hit krean ge.q k usy apny analysis pe yaqeen hota ha.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    professional trader wo hota hai jis ky pass trading ki knowledge ho or behter skills hun
    orr professional trader ko apni market ky bare mai sub knowledge rakhta hai
    orr professional trader ki post hamesha accurate orr quality wise hoti hai
    issi liye professional trader bonus or profit ziada gain krta hai
    • #3 Collapse

      G han mere dost forex trading business main professional trader wohi hian jo market ko khod thek tarah say analyze kar kay trading kartay hian aor jo account ko thek money management aor risk management ko calculate thek tarah say kar kay trading kartay hain aor trading main market kay trend ko follow kartay hain aor good trading planing pay aamal kartay hian.
      • #4 Collapse

        Professional trader bane ke liye ap ko bohat zeyada mehnat karni parti hai ap kam as kam 2 se 3 saal ki mehnat ke bad hi professional trader ban sakte hain kyun ke yeh bohat largest business hai aur is ko samajhne me kafi time chahiye hota hai.
        • #5 Collapse

          Professional trader ki aik khasiyat mere kheyal se yeh ha keh woh sirf forex networks ki news jo makhsos times men milti han fundamental analysis keliay un par guzara nahen karta balkeh un news ke aane se pahle uss ka international current affairs par knowledge itna behtar hota ha keh woh khud fundamentally andaza laga chukka hota ha keh mustaqbill qareeb men market men keya hone wala ha baqi technicall cheezen han money managment,technical analyzation,strategies for trade in ke good use keliay uss ki muhart men koiy shak nahen hota
          • #6 Collapse

            Professional trader ap usko kehh sakty hain jo trading karny k liey apny asool bnaata hai. Aur unn asoolon par he kaam karta ha. Wo kise lalach ya kise bhe cheez ke parwah nahe karta wo apny asoolon par strictly action leta hai aur unse hat kar kam nahe karta ha. Aur yehi wajha ha jo uski kamyabi ka bais bnte hay.
            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
            • #7 Collapse

              Professional trader woh hoty hain jin ka aur koi business na ho just forex trading ho as a profession let rehy hon tou unko phir all the time forex market ky sath in touch rehna perta hai aur acha knowledge aur analysis bhi achy ker lety hain isliay unko ham professional trader kehty hain warna aam trader bhi achy analysis bhi ker leta hai aur achi earning bhi lekin sirf achi earning kerna professional nehi hota

              اب آن لائن

              Working...
              X