Forex learning k lea English zaroori hai kya
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forex learning k lea English zaroori hai kya
    ASLAMUALEKUM fellow members and friends of respected pak forex forum main kafi arsy se friends forex learning kar raha hoon aur jo cheez main ne observe ke hai wo yeh hai ke forex learning ke lea English ka ana bohat zaroori hai kun ke jitne bhe course available hain internet py wo sub English main hain jitne online tutor hain wo bhe English language use karty hain iss lea jise English nahe aty us ke lea forex seekhna aur bhe mushkil ho jata hai bahar haal ek possibility hai ke ap ko local tutor asa mil jae jo ap ko urdu main forex aikhae jo ke bohat kaam chances hain islea mare khayal main English compulsory to nahe lekn agar aty ho to forex seekhna bohat asan ho jata hai
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Bhaly english ho ya koi bhi language ho seekhna achi bat aor agar roz marah moamlat k sath satj rozgar bhi kisi specific language se attach ho to us language ko seekhna zaruri ho jata he, ab forex ki bat kren to is me thori bshot english ka pata hona zaruri he, specially words k abreviations ka, q k kafi jagahon english terms use hoti hen jin ko samjhy bina aagy aik step bhi vhalna nuqsan deh sabit ho sakta he. English me master bhaly hi na hon magr thora bahot seekhna zaruri he.
    • #3 Collapse

      Dear friend app sub ko btana chahta hon k forex trading main successful trader binany k liay zarori hy k app ki English strong honi chaheay, English international language hy app ki English strong hoge to app knowledge gain kerny main asaani hoge
      • #4 Collapse

        Behtar to bahut ha english language jitni zeada hamarey pass hogee saholat utni zeada hogi keun keh har tarraf iss ka istemal aam ha jahan tak ho sakey english men moharat hasil karni chahiay tahum forex men agar mehnat khob kee jaey to aajkal urdu guide bhe dasteyab ha
        • #5 Collapse

          Assalam o Alaikum bro ya zrori ni ha ka forex forum ka liya english ana zrori ha hum pakistani ha or hmari national language urdu ha or hama apni zaban pr bhot proud ha.....
          • #6 Collapse

            yes bilkul theek hay yeh sara forex wala kaam angraiz nay start kia hay aur zahir hay jis nay start kai hay wo isay apni he language main bayan karay ga aur jub tak ham uski ki language ko nai smjhaingay tab tak ham usk kaam ko nai samjhaingay so isi liye yeh ham pay lazam hay k ham sab say pehlay apni english language ko best karain us k baad ham is kabil hongay k ham sab forex k webinar ko attend karain agar hamari english kamzor hogi to hamain unk kis lecture ki samjh nai ayegi.
            • #7 Collapse

              Assalamualaikum g bro agr AP kehty Han keh English must hai to asa bilkul bhi ni hai .forex ka Lia English zaruri ni hai Han agr AP learn karty Han ya AP English achi bol laity Han aur achi tarha smjh sakty Han to yeh apka aik positive point hai to yeh bahot achi bat hai keh AP sub kuch smjh sakty Han lkn agr apko English NI bhi ati hai to forex phr bhi AP jkar sakty Han buss apko Thora smjhna pary ga jub smjh AA jay ge to phr AP araam SA her Kam Kar sakty Han...
              • #8 Collapse

                Assalam o Alaikum. Forex learning k courses urdu me b available hn. Boht sy Pakistani ar indian tutors hn jo boht achi trha urdu me sikhaty hn..boht sy aesy Pakistani ar indian traders hn jinhen English nhi aati ar wo trading kr hn. So agr ksi ko English nhi b aati to forex trading seekh skty hn. Koi bra issue nhi.. Thori boht English to sb ko hi aati hy
                • #9 Collapse

                  Dear brother g ha ya ak achy question ha ka hum ko trading ka lia english ka ho na zrori ha g a huumari english ka ho na zrori ha or hum ko english ani chay kion ka ya ak international language ha or ha hum ko both sy bato ka bara ma hum per sakta ha
                  • #10 Collapse

                    Wal alaikum slam dear apki bat bikul darust hy k english lazim hy q k forex jab ap sekhty hyn ksi b material zariy jesa k books hi dekh lo to wo sab english me hota hy is liy firex ki learning k liy english language kam se kam ani chahiy ta k ap forex ko sahi tara smj sken or phr apko trade lgany me asani ho
                    • #11 Collapse

                      G bilkul English bohat zarori Hy is Sy hum bohat achi tarha smJh skty Hy q k English international language Hy or is trha hum acha smajh saky gy
                      • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                      • #12 Collapse

                        G han dear apki bat se agree karta hon k maximum tutors ya videos jo net p hain wo english mein hain english bolni na bhi ati ho tu agar sirf samjhna ati ho tu mery khayal mein ap english lectures asani se samjh sakty hain aur faida utha sakty hain kyun k jo log tutors se seekhty hain trading wo course ki fee pay krty hain tu agar english ki samjh na ati ho tu fee zaya karny wali bat ha is liye koshush karyn k english seekh jayn

                        اب آن لائن

                        Working...
                        X