Hedging sy controlled trading ki is sakti hai

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Hedging sy controlled trading ki is sakti hai
    Agar hamain trade open kerty hi loss hona shuru ho jata hai tou hamain hedging bhi sath start ker leni chahiay ky is terha ap apni trading ko control ker lety hain ky big movent per loss bhi control ho jata hai aur profit bhi acha hasil kia ja sakta hai
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Isy ap controlled trading tou nehi keh sakty albata kisi had tak ap apny jari loss ko control ker lety hain ky market jitni bhi zyada movement ker jaey tou hedging kerny sy apka loss same hi rehta hai beshak jab tak same direction main movement continue rehti hai hedging ko bhi continue rakhain jab market reverse hona shuru ho jaey tou profit wali trade close ker lain
    • #3 Collapse

      app ki baat theek hai but dosto forex main hedging say mery opinion to ye hai k app ka mind double mind ho jata hia jab app nay buy trade lgai to its mean app k analysis yahe khe rahy thy k buy karo but jab ap nay sell ker k hedge loss main ker leay to pher app trades kon say kesay close karo gay our pher ap ko afsoos ho ga k app k analysis theek thay to better hai technical analysis ko better banao our pehr he us main trade loo
      • #4 Collapse

        agar hum apny trade ko hedge kar dain gay to es trha humara capital to safe ho jaye ga but humay ye baat mind main rakhni chahiye keh hedge humay tab he karni chahiye jab humay market main loss ka risk ziada ho aur pher esko sahi time par torna bhi chahiye tab he hum market main safe reh sakty hay
        • #5 Collapse

          hedging market main aisi technique hay jo keh tab use ki jati hay jab market humary against ja rahi ho aur hum nay jo trade place ki hoti hay usaky ulat hum trade lga kar apni equity ko stable kar sakty hay aur market main safe reh sakty hay so humay chahiye keh esi trha esmain mehant karen aur market kay trend ko daikh kar kam karen
          • #6 Collapse

            dear friends, ap ki bat bilkul thek hay kah agar loss aa jay to us loss ko hedging kar k control keya ja sakta hay but hedging k leay bahut zayada knowledge ki zarurat hoti hay es leay senior traders to hedging kar k apna loss recover kar letay hain but junior traders k pas zayada knowledge nai hota esleay hedging say un ko aur zayada loss bhi aa sakta hay.
            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
            • #7 Collapse

              iss baat main koi shak nai k hedging sy controle trading ki ja sakti hi laiken ye ake khaternaak process hy aor iss main aap ko swap charges b bear karny pertay hain lihaaza mairi raay main hedging sy behter hy aap apny ballance k mutabik lot size sellect karain aor saftey indicator lazmi use karain

              اب آن لائن

              Working...
              X