First investment ki limit kitni honi chahiy

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    First investment ki limit kitni honi chahiy
    Kuch member forex trading main investment first time bahut ziada karty hain aur ziada experience na hony ki waja sy wo investment loss ho jati hy to mera new member ko mashwara hy k jab bi ap first time investment kro forex trading main trading k liy to pehly thori investment kro aur jab ap ko experience ho Jay to phr ap full power sy investment kr k forex trading k business ko continue kr lo
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Ye to forex k basic rules mein sy hy k iss mein first time kam sy kam investment krna hoti hy keun k starting mein trader k paas na to forex ka sahi knowledge hota hy aur na hi koi experience jiski wajha sy usay loss to hona hi hota hy aur maximum traders ka account wash ho jata hy
    • #3 Collapse

      gee haan dear first time main ziyda investment ka use krna boht he khatanaak hota hai start main her trader ye zaroor soochy ky abhi usy boht kuch seekhna hai ais liye kam investment sy start lay aor thoora thoora profit akhata hai forex ko seekhny main kam sy kam 6 month lag jay hain ais dooraan ziyada capital kause karny sy loss ka khadsha bhi ziyada hota hai kam capital sy trade achi rehti ha
      • #4 Collapse

        Aslam o alikum Dear friends is business mein pahla jo investment hey 0 hey 100$ say kam nahi hoga chahiya. Agar is say zayda ho tu kafi behtar hoga
        • #5 Collapse

          Brother forex trading business main jetna zaida capital ho ga account safe reh sakta hay, but big capital kay liay good experience and good knowledge ka hona zaroori hay, agar unskilled person good investment karta hay wo loss hi karay ga, es liay investment say pehlay demo account main practice karna zaroori hay.
          • #6 Collapse

            Dear brother g ha first investment ki limit 0 sy 100$ ha agar is sy zada ho to wo to sab ka lia batter ho ga
            • #7 Collapse

              forex trading main investment ki koi limit nahi hay agar hum forex trading main invest karna chahty hay to sab say pehlay humay forex trading ko seekhna chahiye kyun keh seekhay bgair forex trading main earning nahi kar sakty humay chahiye keh esmain mehnat karen kyun keh mehant kar kay he hum market main achi earning kar sakty hay
              • #8 Collapse

                i think apko apne knowledge and experience ko dekhtey huwe is main investment karni chahiye aur start mein apko chahiye keh aap low investment se trade start karen takeh agar apko loss bhi ho jaye to aap mayus na hon aur phir se achi learning karke is main phir se investment kar saken aur is main kamiyab ho saken.
                https://t.me/pump_upp
                • #9 Collapse

                  Wesy to aap ka plan jis hisaab say ha ap us hissab say apna paisa invest kar sakty hain. Magar aap ko agar investment ka aik idea lena hai to aap ye mind main rakhin k Jitne amount sy aap demo par practice k liey shuru karty hain us sey Double amount Real Account par invest karen to aapko zaida confidence aur zaida aitemaad hoga apni trading par.
                  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                  • #10 Collapse

                    yeh ap par depend karta ha kay ap kitna loss bardasht kar saktay hain agr ap kay pass total 1000$ hain to ap apni first investment ko 250$ se zada deposit na karay or ap apnay strong money management kay sath trading karay ap ko apni investment itni deposit karni chahiey kay ap ki personal life par koi problem na aey or ap ko forex me udhaar money bilkul b deposit nehi karni chahiey forex aik risky or tention wala business ha jitna ho sakay relax mode me karay

                    اب آن لائن

                    Working...
                    X