Pending order ka kya faida hai

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Pending order ka kya faida hai
    Dear brother forex mein trading kay dauraan hum pending order lagatay hain kya koi bata sakta hai kay iss ka faida kya hai ya yeh bhi normal trade ki tarah aik trade hi lagana hai please comments thanks
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    jab aap kisi bhi pair per order place kartay hain tou wahan per dou option hotay hain aik instant order aur dosra pending order jab hum ko market kay trend ko samjah jaye to hum ko order place krne partay hain loss se bachne kay lye hum ko price per kaam karna parta hai agar hum ko yeh pata ho kay market kis price per jaye gi aur hum uss time per maujood na ho to hum pending order lagate hain jis ki wajah se jb market us price pr phonchta ha to order execute ho jata hai
    • #3 Collapse

      Jab ham pending order open kerty hain tou ham market ki kisi aik direction main movement ki limit ko dekh ker pending order lagaty hain so jab bhi market apni limit ko touch kerti hai tou kuch tine ky bahd reverse move shuru ker deti hai jjs ka faida heah hota hai ky agar order ooen ho jaey tou phir profit zarur hasil hota hai
      • #4 Collapse

        Pending Orders forex trading main aik best zariya hain jis say aap apni trading ko munafa bakhsh bana sakty hain. Maslan agar aap nay abi NZDJPY ko sell karna hai. Aur aapko ye lagta hai kay kuch ghnty baad es main aapko behtar entry point mily ga. Lekin shyed aap ghanty tak market ka wait na kar sakin jike wajha say aapki achi entry nahi ho paati. Ess mushkil ka hal pending order hai. Aap pending order jis jagha par lagana chahty hain laga dain aur aapko behtar say behtar profit ho paay ga. To hamehn es saholat say lazmi faida uthana chahey.
        • #5 Collapse

          ​Pending Orders ki Iksam:
          Pending order basically 4 kisam ke hote hain jin ki madad se hum apni marzi se trade lga skte hain even hum gar main na bi hon ya phr is se humain apne mt4 ke samne har waqat bethe rehne ki zarurt nae hoti hai.
          Buy Limit: jab market aik jaga pe ruki hui ho to ap ye chahte hian ke ye down jaye to kisi has point se ye again buy ho jaye to uske liye ap Buy Limit ko use karain gai or apki trade lg jaye gi.
          Sell Limit: Jab market aik jaga pe ho or ap ye chahte hon ke market up ja ke kisi khas point se sell aye to sell limit ko use karian gai jab market up jaye gi waha se automatically ap ki trade lg jaye gi.
          Buy Stop: Jab market kisi khas point pe ho to ap ye chahte hian ke market jab up jaye to upr se ja ke up se hi buy ho jaye q ke sometime ap resistance ke up trade lgana chahte ho to us ke liye ap buy stop ko use karo gai.
          Sell Stop: jab market kisi khas point pe ho or ap ye chahte ho ke market down jane ke bad ap ke trade sell lage jese ap ye chahte hon ke Support se neche ap ki trade lage to us ke liye ap Sell stop ko use karain gai.
          • #6 Collapse

            Bhai pending order ka hamain ye faida hota hai k jab hm market main trade karna chahain lekin market us position pay na ho to hm pending order lga skty hain is tra hm ghar k zarori kam kar sakty hain us doran jab market points ko touch krti hai to automatically trade open hojati hai ye aik achi opportunity hai....
            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
            • #7 Collapse

              Jb hum forex per long term trading krtay hain or humain market k trend ka pta ni hota to hum pending order lgatay hain jo k trade lagatay huay 2 option wahan majood hotay ak instant order or ak pending order is se market jb ak point tk move krti hai to humari lot hit ho jati hy jis se hamain faida hota hy

              اب آن لائن

              Working...
              X