Kia signal analysis py deay jaty hain?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Kia signal analysis py deay jaty hain?
    Dear members ma ap sy yeh pochna chahta hun ky jo log signal dety hain kya wo analysis oy signal dety hain ya unka koi aor source bhi hota hai keun ky aksar dekha gia hai ky signal analysis sy out of range hota hai lkn market aisy he mive kr jati hai krti apni marzi sy hai
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    yes dear jo bhi ap ko signal de raha hota hai wo kisi na kisi tarha analysis kar raha hota hai kun k jab wo ap ko signal bana k deta hai to phly wo market k analysis karta hai aor aus k baad wo signal banata hai aor wo ap ko send kar deta hai aisi liay wo sath tp aor sl dety hai ta k ap ki trades bhi safe rahy aor ap ko faida bhi ho signal se.
    • #3 Collapse

      Assam alaikum my dear Forex trader analysis krna bi asaan bi ye ek mushkil km ha to ap ko dekhna chahye k k market ki movement or signals thaak bi bi hain ye phr signal ronwg to ni ha kahin ap signal ki khushi me loss na kr dain to ap ko market ka code se analyse karna chahiye Phir uske baad trading karna chahiye
      ALWAYS BE HAPPY
      • #4 Collapse

        dear friend gab hum ko koy expert singnal data hy to as sy pahly woh market ky analeses ko achi tarah chek kar k market kis tarah movment kar rahi hy as k motabik hum ko singnal melty hain
        • #5 Collapse

          Gee haan bhai signal hamesha experts ya senior traders hi create kartay hain jis kay lye woh market kay analysis kartay hain news ko deekh kar aur market ka complete review kar kay phir koi signal generate kartay hain
          • #6 Collapse

            Dear brother signals kay lye market kay analysis karna aur news ko follow karna bahut hi zaroori hai aur analysis kay beghair jo signals generate kaye jatay hain woh fake signals hotay hain iss lye kehtay hain kay kisi kay signal ko varify zaroor karo
            • #7 Collapse

              Nhi bhai yeh zarori nhi hai ky jo signal ho ga wo analysis py ho ga kabi kabi fundamental ko dekhty huy bhi signal deay jaty hain aor kabi traders ka koi source bhi hota hai ab yeh nhi maloo ky kon sa source hota hai lkn hota zarori hai jis sy wo signal dety hain signal ma ratio loss ki kam aor profit ki ratio zeyada hti hai
              • #8 Collapse

                Bhai signal Jo b day Raha ho wo market ki up and down ko judge ko dakh k day Raha hota hy aur zaroori nai k her signal theak he ho. Aur Jo free signal dety hain un ka it bar b kam he hota hy. Khuch signal paid hoty un ka itbar kar sakty nai to Ap un ko blame kar sakty hain galt signal par.
                • #9 Collapse

                  Re: Kia signal analysis py deay jaty hain?

                  forex mai analysis py singles deye jaty hain hamy in ko follow kar ky kam karna chahey lakin hamy in py 100% itbar nahi karna chahey q ky hamy loss ho jy ga forex aik asa business hain jis mai hum learning ky sat earning be hasial kar sakty hain agar hum forex mai bager learning kyt tukka baze sy kam kary gy to hamy loss ho jy ga
                  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                  • #10 Collapse

                    Re: Kia signal analysis py deay jaty hain?

                    zayda tar log ko jaisay signal miltay hyn wo aisa agy forward kar deaty hyn un ka khud say analaysis nai karty party jiss ki waja say loss bear karna parta hai ap ko chaye jb be ap ko koi aisa signal milay us par phaly khud say analsis kar lana chaye ar pir market ma entry lani chaye

                    اب آن لائن

                    Working...
                    X