Ham ny dekha hai kay jab ham dekhty hain kay market bht zayda move kar rahi hay to aik dam ham apna order laga dety hain. Aur phir us order k lagany k baad hamko ehsaas hota hai k ham nay order lagany main bht jaldi kar de hai. Agar ham pehly sy he soch kar aur market ko achi tarha observe kar k trade open karin to hmain es tarha pachtawa nahi uthana parta hai. Aur es k sath sath ye bhe dekhna chahey k kia wajha hai jo market ko itna zayda move kar rahe hai. Jab tak market ke movement ke wajha pata na ho tb tak trade open na karin.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим