Sham k time trading kerny k nuqsaanat.

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Sham k time trading kerny k nuqsaanat.
    Dear dosto pakistani time k mutabiq shaam 5 sy 8 k dermiyaan European session hota hy jo k kafi busy session hy dear friends is time pe zeyaada ter big news hoti hy jis ki waja sy market aajeeb moment b krti hy , is liay main keho ga k is time trading ni kerni chaheay, main London session recommend kerta hin
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Dosto sham k time trading krny k kafi nooksanat hy kiun k es time analysis b Thk sy km ni kr rhy hoty Mandi ajeeb tariky sy movement kr rhe hoti hy kbi bht upr or kbi bht nechy es ly ap Subha ma aik Acha analysis kr k trading kry
    • #3 Collapse

      dear friend main ap ki bat sy bilkul agree karta hon k hamein shaam ky waqt bhut ehtiat sy trading krni chaheye Q k shaam ky waqt ajeeb movement hoti ha agar profit ho jata ha to theek agar hamari trade loss mein chali jati ha to markeet ki teez movement ki waja sy loss bhi bhut ziada ho jata ha , is leye hamein ehtiat sy trading krni chaheye .
      • #4 Collapse

        ni dear mjhey is k barey mn mazeed to pata ni h ku kih mn abhi new hun is liey but mn ap ko batata chalun kih shaam k time pakistan forex trading mn 5 sey shaam 9 bjey tak 2 countries ki analyse ker rahi hoti hen is liye un ki movement fast hoti h or achi trading ho sakti h ......
        • #5 Collapse

          Ap jis bi session main trading kro ap ko agar sahee annaylsis hon gy to ap kamyab hon gy wesy poora din forex trading ki market main bethy rehny sy kuch apko hasil ni hota ap ko jab bi trading main trade lagany ka mood bny ap ko pehly annaylsis krny chahiy aur us k bad ap ko trade open krni chahiy jo bi session ho ap us main kamyab hon gy
          • #6 Collapse

            Forex trading ap jus bi sessions main kro apko profit tab aay ga jab ap forex trading ki sari skils ko seekh kr kro gy to sham k time p trading special us session main agar ap gold p trading krna chahty ho to ap ko chahiy k ap sham 5 k qareeb trading start kr do is time main ap khatir kha profit ly sakty ho
            • #7 Collapse

              pahli baat to hai kay trading karny ka koi fix time nai hai jab chahen marzi kren pher chahy wo din ho ya raat ho.. jis insaan ko trading karny ka shok hota hai or us mein wo ziada interest rakhta hai to wo har wakt us touch rehta hai is mein subh ya sham ka koi issue nahi hai agar nuksaan hona hota hai to zaruri nahi hai k wo sirf sham k wakt ho nuksaan to subh bhi ho sakta hai or raat ko bhi or sham ko bhi is liay sham ko trading krny k mery khayal se to koi nuksanaat nahi han
              • #8 Collapse

                Dear friends, yah bat thk hay k sham 5 say 8 bajay tak market ki movement kafi tez hoti hay...but achay trader es bat say faida uthatay hain aur woh market ko analyse kar k trading kar k acha profit earn kar letay hain...but jo log analysis nai kar patay un k leay sham k wakt trading karna nuksan ka bais banta hay.
                • #9 Collapse

                  bahi jan mary khyal my sham k time trading krny k koii b nuksan nahe hy q k agr humy is my achy sy trading krni ati hui to hum ismy us waqat b earning kr sakty hn.lkn humy ismy my bs is ki daily avrage ko watch krna pary ga.agr to wo pair apni daily avrage k hisaab sy move kr chuka hua to humy us pr trade nahe krni chahey.or koi dusra pair dykhna chahye.
                  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                  • #10 Collapse

                    han g ap ne bilkul thek kaha hai sham 5 bjy se 8 bjy tak market me boht zyada movement hoti hai es time par market ko analyse karna boht muskil kam hota hai koi pta nhi hota k market kab up ho jay kab down ho jay zyada risk hota hai es lye es time par trading nhi karni chahye

                    اب آن لائن

                    Working...
                    X