new trader aur experience trader

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    new trader aur experience trader
    New trader aur experience trader mein buht fark hota hy kiok new trader jab bhi trade open kartay han analysis nhi kartay aur market ki movement ko dekh kar hi trade open kar daity han aur market jab mukhlf move karti hy tu buht ziada loss ho jata hy aur new trader ki trade har waqt open rehti hy aur Jo experience trader han wo is traha nhi kartay wo jab bhi trading kartay han market ko dekh kar samjh kar aur analysis kar k trade open kartay han aur profit earn kartay han is liye new trader ko pahly experience hasil karna zaroori hy tab hi forex trading business mein kaamyaab ho saktay han
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    aslam o alikoum dear aap nay teak kaha hai kay new trader hoty hain wo koun kay un ko experience nhe hota es laiy wo jisay dil krta hai trader start kr daity hain un ko y malum nhe hota hai kay wo trade un kay against bhi ja sakti hai bs wo trader kr rhy hotay hain es laiy to kaha jata hai kay demo say practical krain aur knowledge hasil krain forex trading kay hawalay say
    • #3 Collapse

      Dear baat ya hay k har feild main new person aur old person k exprence main bhot farq hota hay issi tarha trade main new trader k trade karna main aur exprence trader k trade karna main bhot zayada faraq hota hay old trader apna exprence sa markit ka analysis kar k aur trade ki movement dakh kar trade open karta hay lakan new trader bagher exprence aur knowledge k trade open karta hay
      • #4 Collapse

        asslam o alaikum g bhai saaf zaahir aik new trader or experience trader mn zameen asman ka furq hota h q kih experience trader jo hotey hn wo maeket ki movement k baarey mn jaan rakhtey hn or wo is liye meri new trader ko advice h kih wo senior traders ko follow karrn or demo account p fully prectice karen ...
        • #5 Collapse

          Darust kaha bhai ap ny: nee members sirf markete movement chart observe kr k traded open kr dety hen jis ki koi surity nai hoti k markete kb opposite move kr jay, is k sath new traders aik aor ghalti bhi kr jaty hen aor wo he over trading ye to pehli ghalti se zeyada dangerous he ,is ka redult aksar aoqaat account wash ki surat me nikalta he.lihaza new members pehly experience gain kren phir trading kren.
          • #6 Collapse

            Forex trading main new trader ho ya experienced dono ke liye training bhut ziyada lazmi hoti hai ku ke forex trading main training ke bina ap acha profit nhi bna skte ye forex ke rules hain jo har aik trader ko follow krne prte hain.
            • #7 Collapse

              dear new trader jo hota hy usy booht zayada learn krny ki zrorat hoti hy usy forex ky bary men ilm ni hota is leay ager koi bina sekhy investment krta hy to usy loss uthana parta hy or jo experiance hota hy usy malom hota hy ky forex kia hy oor mjhy isy kis tarhan istmal krna hy.
              • #8 Collapse

                New aur experienced traders ke trading style mai bohot he ziada faraq hota hai . new traders market mai prices ke movement daikh kar over excited ho jatay hain aur har time he market mai in rehna chatay hain jis ke waja say woh loss b ziada karty hain .
                experienced traders achy mouqay ka wait karty hain aur proper analysis kay baad he trading position open karty hain.
                • #9 Collapse

                  new traders me aur experienced traders me yahi difference hota hay key expert traders esi trades kabi be open nahi karty jes me us ko 70% loss key chances ho aur 30% profit key, expert traders ki koshish ye hoti hay key wo market me esi trading kary jes se un ko 99% profit ho esi trading karny key expert traders long time market ko analysis karty hey jab key new traders ki koshish ye hoti hay key wo jald se jald trade open kary jes se us ko pofit mil jaye magar esa kabi be mumken nahi.
                  • #10 Collapse

                    New trader hi mehnat aur hardwork kar k experience hasil karta hy aur experience trader banta hy kiok jab bhi kaam Kiya jata hy tu is mein new hi hota hy aur waqt k sathh trading kar k experience hasil karta hy aur kaamyaab trader ban sakta hy
                    • #11 Collapse

                      bhai jan ap nay bhut achi bat kahi h. i agree with you. ku k aik new trader aor experience trader k darmyan bhut bara farq hota h. experience trader hamaisha market ke movement ko daikh kar trade lgata h aor lot size ko choota rakhta h jabkih new traders ko market ke movement k baray main ziada ilm nhe hota is liay jab wo trade lgata h to lot size bhe bara rakkh deta h jis ke waja say new trader ko bhut ziada loss hota h...
                      • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                      • #12 Collapse

                        bhai new trader aur experience trader main bhot difference ha new traders main 2 tarha k log atay hain aik wo jo is busienss main profit earn krty hain aur dosry wo jo is business main hamesha loss he khaty hain jo trader loss khatay hain wo meray khayal sy is liyay loss khaty hain kue k wo demo account k practice nae krty aur bgair experience aur bgair analysis k real account py trade lagaty hain is liyay wo hamesha loss main he rehty hain jab k dosry pahly demo account py practice kr k trading ko smajh kr real account py shift hoty hain

                        اب آن لائن

                        Working...
                        X