A big week point please avoid it....

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    A big week point please avoid it....
    Friends main ne kafi new doston ka aik week point note kia hai aur bahot se dost issi week point ki waja se apna bahot sa profit miss kr dete hain wo week point kia hai..
    Dear jab ham koi trade open krte hain aur wo loss men ja rhi hoti hai to usse jane dia jata hai aur close ni krte hain iss umeed pe k market reverse ho gi but jab yahi trade profit men ja rhi ho to ham isse jaldi se close kr dete hain q k ham se sabar ni ho pata hai aur ham iss tarah se apna kafi profit miss kr jate hain dear jab loss men trade ho tab to close krna better hai but profit ka aik target lia kren aur iske achieve hone ka wait zaruri hai ta k aap acha profit gain kr saken....
    :1f33a:​KHAN70 TRADING JOURNAL:1f33a:

    CLICK HERE FOR MY VISITING JOURNAL
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Right bro aap ne bahot hi achi baat ki hai hamen apna profit zai ni krna hai balke khud ko control kr k apne profit ko mazeed barhana hai ham jab tak khud pe control ni kren ge ha uss waqt tak trading men profit ni bna paen ge hamen loss ko kam krne k liye loss men jane wali trades ko close krna hai lekin jo trade profit men ja rhi ho usse run hone dena hai ta k ham apne profit ko barha kr khoob achi earnings le saken hamen profit show hote hi trade close ni krni hai
    • #3 Collapse

      G sir her ek bandy k ek week point hota ha jis say wo apna big profit loss may kar dayta ha wo big point ha k ap jald bazi may trade karty hain ap sahe tara say market ka ananlysis nahe kartay bilkay analysis k bhair market market may enter ho jatay hain aur ek swing ata ha jo ap k captial ko total loss may kar dayta ha..es leayh jub be hum trade karin to jub be thora sa profit hoo to stoploss entry point pay lay jaye..
      • #4 Collapse

        Ap ke bat kafi ahd tk theak a problem ye a k insan m thora boht greedy ka unsar hota a is waja se mar kha jata a. I think also k agr start m bari tazi k sath ap loss m Jana start o gy to uder he apni trade close kr do aur agr dair o gai a to recover karny ke try karo agry ap ka Captial strong a to aur profit pr lazmi TP lgy
        • #5 Collapse

          yehi jo aap week point bata rahy hain ye to main b kafi dafa zikar kar chukka honn aur sab sy bari bewaqoofi jo ham log ye karty hain k jab hamen loss ho raha hoto ham omend ki bina py trade ko chalny dety hain jab k agr profit aey to jaldi jaldi trade ko close kar dety hain aur hamen stop loss laga k trade ko manage karna chaeay na k buss usko omend py hi chohr dyna chaeay.
          • #6 Collapse

            g bhai ap ny bilkul sahi kaha hy aur mujhy ye khami khud mein bhi nazar aati hy aur jo log is khami ko door kr letey hain wohi successful trader banty hain especially long term trading krny waalon mein ye khami nji hoti
            • #7 Collapse

              G sahe kaha big mistakes hain ye traders ki actually asay ye wo traders kartay hain jo trading k expert nai hotay new traders hotay hain loss waali trade ko chorr detay hain k market onkay favor mei ajay gi jab k bohat zaroori hota ha k trade k barey mei faisla le lena chaye takay aur ussi tarah profit trades ko aksar traders jaldi mei close kartay hain loss b kr jatay hain jab k profit trade mei agar planing ki jay usko target set krk favor mei stop loss de detay tou target best achieve ho sakta esliye hamesha planing rakhen trades mei phr asay nai hoga
              • #8 Collapse

                Bhai ny 100% correct baat ki hay laikin mein is mein thora or add kr daita hon k koi bhi trader us ny jo bhi trade kya hua hay us mein sabar karna chahiy behtar hy laikin yeh us trader k account mein mojood balance pr depend karta hay k wo kitna loss bardasht kar sakta hay ziada kahin us k account ko wash na kar dy is liay thoray balnce waly jald thoray profit pr close kr daity hain k kahin thoray profit k bad bahut ziada loss na ho or account wash na ho
                • #9 Collapse

                  Jee bhai aksar ham aisy he karty hain jab bhi koe trade put karty hain to wo loss main jati hai aur ham market ky reverse honay ka wait karty hain kay trade profit maim aye gi lekin aisa nahi jota market trend change nahi karti aur hmari trade loss main chali jati hai aur jo newbies hain wo zyada tar ye mistake karty hain aur jab market profit main jati hai to foran trade close kar dety hain kay kahin reverse hoky loss main na chali jae ye hmari big mistake hai hamain is say avoid karna chahiye jab trade karain to achy analysis kay sath karain aur stop loss aur take profit ka use karain taky planning kay mutabik trade khud he close ho aisy hm loss say bach saky gay
                  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                  • #10 Collapse

                    Dear traders,
                    forex me loss ko jany dena ak wakiya hi boht bara week point he. jitna jaldi ho sake is week point ko dor kren nai to forex me apka kam krty rehna boht mushkil ho ga pas is week point ko dor kren. loss ko apny account ki iquty k mutabik hi ly lya kren. account wash hony se behter he loss le lena.
                    shukriya,

                    اب آن لائن

                    Working...
                    X