bar bar planning aur strategy change krna kaisa hy

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    bar bar planning aur strategy change krna kaisa hy
    dear traders ham mein sey bahot sey traders ki aik bahot barri khami hy k woh trade lagany mein jaldi krty hain aur us hisaab sey apni planning aur strategy ko bhi bar bar change krty rehty hain kia ye sahi amal hy ya nhi
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    G fede aysa hi ha forex trading market ma bout c kism k log pay jaty hn kuch tu bout hi achy trader hoty hn Jo k hr cheez ko smny rakty huy trading krty hn but kuch asy bi log hoty hn jin ko trade ki jaldi tu bout hoti ha but phr jb market ka move dekty ha wo apni planning change krty rety hn jis sy wo zayda tar loss hi hasil krty hn isliay aik achi trading k liay hmain chaiy k hm aik hi ksi khas stregdy py kam karain or usi py apna work krty huy trade krain ta k hm aik acha profit hasil kr sakin
    • #3 Collapse

      Friends forex main ap ki planning and loss say bachnay ki strategies same honi chaheay...un ko bar bar change nai karna chaheay...Bal k market ki movement ko check kartay hway apni planning k mutabik trade open karni chaheay...
      • #4 Collapse

        bhai g is baary mein main to yehi kahon ga k ye theek nhi kaap apni planning aur strategy ko bar bar change krty rahein keun k aisa wohi log krty hain jin mein confidence aur decision power ki kami hoti hy is liey khud py aitemaad rakhein aur apni planning aur strategy ko chalta rehna dein jab tak apko yaqeen na ho jaye k ye dono ghalt hain
        • #5 Collapse

          dear ye bilkul ghalat hy lekin agr aap achi qism ki planning aur strategy nhi bana sakty to behtr yehi hy k kisi senior trader sey guidelines ley lein ta k wo is maamly mein apki koi madad kr saky lekin bar bar change krna sahi nhi jis sey ap apna confidence loose kr bethy gy aur future mein apka kamyab hona bahot mushkil ho jaye ga
          • #6 Collapse

            dear brothers hamein sath sath apni strategy ko bhi improve krna chaheye Q k jitni hamari strategy achi ho gi utna hum achi post kr payen gy aur achi post kr ky aik acha profit earn kr skty hn . is ky ilawa forex ko hum aik life time business ky toor pr bhi istamal kr skty hn ..
            • #7 Collapse

              اصل پيغام ارسال کردہ از: qasimbaloch پيغام ديکھيے
              dear traders ham mein sey bahot sey traders ki aik bahot barri khami hy k woh trade lagany mein jaldi krty hain aur us hisaab sey apni planning aur strategy ko bhi bar bar change krty rehty hain kia ye sahi amal hy ya nhi
              i think agar ham baar baar strategy change kr k trading krain gy to ye better hai q k market ki condition change hoti rehti hai or agar ham aik he strategy pai amal kr k trade krain gy to hamain loss hota rahay ga
              • #8 Collapse

                bhai jaan is mn mera khayal hy k ap os mn agar bar bar plaining change karey gy tu ap is mn zaida loss hasil karo gy is mn mera maswara hy k ap agar koi plaing change karo gy tu ap os mn zarorat k motabia karo change ...
                • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                • #9 Collapse

                  Agr to aik strategy kamyab nhi ho rahi to phir isay change krny mein koi buri baat nhi lekin aik baat ka khayal rakhein k new strategy aisi ho jisy change na krna parry aur usay pehly demo account py check kr liya jaye to behtr hy

                  اب آن لائن

                  Working...
                  X