dosto ik bhai ny poocha k ye trading men patience kaisy hota hae ismen kissi k sath laraie jhagra to hota ni hae jo k ham patience ka mozehra karren to main ny usko samjhaia k trading men patience ka matlab hota hae aram sakoon say trading karna aur jald bazi na karna mtlb jab tak trend na ho ya trade setup na milly is waqat tak trade na lagain aur loss ki soorat men jazbati na hon balky sabr karren aur mazeed behtri ly k ain trading men aur sab say ehm baat ye hae k lalich sy door rehna b kissi had tak patience k zumray men ata hae.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим