Forex market mukhtalif currency pairs mein keun chalti hy single currency py keun nhi

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
  • #1 Collapse

    Forex market mukhtalif currency pairs mein keun chalti hy single currency py keun nhi
    Dear members kia aap mein sy koi bata sakta hy k forex currency pairs mein keun hoti hy single currency value show kr k bhi to ho sakti thi
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #6707 Collapse

    bhai for your kind information k currency k kam hamesha 2 currency pairs sy hi possible hota hae for example ap agr ik currency buy karna chaty ho to automatically apko usky badly koe currency sale karna parry gi to ye kam hota hi pairs ki shakkal men hae to issi wajha sy forex market men b currency k pairs hoty hain trading k liay.
    • #6708 Collapse

      dekhen bhai kissi b currency ki price show karny k liay kissi doosry mulk ki currency ka hona bahot zaroori hae q k ab ik mulk ki currency ka rate kaisy show ho lazmi baat hae doosry mulk ki currency k muqably men hi show hona possible hae k iss currency ka 1 doosry mulk ki currency k kitnon k baraber hae.
      • #6709 Collapse

        Forex trading main currencies hamesha pair main hoti hain. q keh jb hum aik currency ko buy karty hain to dosri currency automatically sell ho jati hai..yeh aik qisam ka currency exchange ka business hai..jis main aik currency dosri currency main change ho jati hai..
        • #6710 Collapse

          Ni g yeh aik system hy jo international market main banaya gia hy aur is sy ap forex trading main trading krty ho ap us rule ko change ni kr sakty ,ham sab ko jo forex trading k rule ya regulations hain unko her soort main hmko follow krna chahiy
          • #6711 Collapse

            Bhai apki baat bilkul sahi hy lekin main sirf ye poochna chahta tha k ham forex mein kisi aik currency ko bhi to buy ya sell kr sakty thay lekin ye pairs mein keun hoti hain iski aakhir wajha kia hy keun kisi bhi currency k muqaably mein koi na koi currency zroor hoti hy aur ye dono aik pair banati hain
             
            • #6712 Collapse

              اصل پيغام ارسال کردہ از: QasimKhan0601 پيغام ديکھيے
              Dear members kia aap mein sy koi bata sakta hy k forex currency pairs mein keun hoti hy single currency value show kr k bhi to ho sakti thi
              Forex trading market main currency ka pair is liye hota hai k main kam he yehi hoota hai jab aik currecy ki value up ya down hoti hai to dosri curency k awaiz ham profit bna skty hain agar aik he currency hoti to profit ya loss he na hota
              FRD 07 TRADING JOURNAL
              • #6713 Collapse

                Friend Forex me currency pairs me hi trading hoti hai means two countries ki currencies ki apass me trading hoti hai k kis ki kitni value hai or single koi pair nai hai Forex me to hum ko pairs me hi trading kerni hai to ap koi acha sa pair select ker k us me trading start kerdo to apko woh aik pair single ki terha hi lage ga.
                • #6714 Collapse

                  Bhai forex trading main currency k Jo pair hain in KO donu k sath he trading karni hoti hai q k him aik currency ko buy karty hain tu dosri currency ko automatically sell karna parhta hai or yah pair he hain or esi trha he trading possible hai hum ko aik buy karna hota hai or dosri ko sell aik currency k sath trading possible nahi hoti hai
                  • #6715 Collapse

                    bhai ye forex k rules mein sey hy aur forex market hamesha issi tarah move krti hy keun k ye currencies k values ko show krti hy jin currencies mein ziada business hota hy especially major currencies mein aur phir inka aapas mein taqaabli jaiza liya jata hy k konsi currency ki value kis currency k muqaably mein kitni hy issi ko forex kehty hain aur jo taqaabli pairs banty hain unhein pairs kehty hain
                    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                    • #6716 Collapse

                      dear forex hamesha currency pairs k hisaab sey move krti hy keun k ye different currencies ki value ko show krti hy aur traders inhi currencies mein trading krty hain in pairs mein ye show hota hy k konsi currency kis currency k muqaably mein kitni value py ja rahi hy

                      اب آن لائن

                      Working...
                      X