Loss/account wash kis waja s hota hai

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Loss/account wash kis waja s hota hai
    Dear members huma trading aksar loss is lia hota hai ka aksar members trading ka gold ko choos krta hain kiun ka is ki movement zyada hai laken stop loss use nahi krta or wo chata hain zyda profit gain krna aksar members ka pass bouse kam hota hai or wo gold pr bari lot laga kr trade krta hain agr choti lot s karain or stop loss lagain tu loss kam ho ga or account wash hona bach jaya ga
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Dear hamara insta forex bonus account wash honay ki waja big lot size hota hai.
    Jis waja say aap kay lain kay hamain profit jab bhi hota hai to ham jaldi close kar daity hain or secondly aap ko pata hona chiay kay forex trading main ham jab bhi koi annaylisis kartay hain un ka hamaian sahe tara say nahi pata hota.
    Means agar market main political uncertainty ho to market aap kay lain kay itna easily move nahi karay gi.
    Means side by side ranging behaviour ho ga market ka
    • #3 Collapse

      Forex trading business me trading capital wash hone k kuch main reasons hai like big jo mistakes traders kerte hain un hai greed means lalach yeh sub se dangerous hai trading me losses ziada ter lalach ki waja se traders ko hote hain means jald bazi me big profit earn k chaker me losses kerte hain means sabar ki kami b nuksan deti hai aise hi market analysis theek se kiye bina trading me mistakes ziada hoti hain isi terha capital management theek se na kerne per trading me mushkil ati hain yeh common mistakes hain jo traders kerte hain.
      • #4 Collapse

        bhai bonus sy only gold pr he trading krna thek rahta hai woh is luy k account ki laverage kam hoti hai or or currency pr lot kam lgti hai hum gold pr bhi agir kam lot use krty hain to asha profit kr skty hain yah zrori nahi k gold only loss he krta hai gold sy profit bhi bohat hota hai
        • #5 Collapse

          Jis jaga fayeda ziada honay k chances ziada hotay hn wahan loss k chances b aksar ziada hotay hn q k aisi cheez ke taraf

          har koi attract hota hy nd har kisi ke nazar profit par he hoti hy loss kisi ko bear karna to dor ke baat loss ka zikr b shaed kisi kisi ko achha lagta ho
          • #6 Collapse

            loss account apni mistake se hota ha jab planning na ho forex me loss aksar hota hai, pr agr aapki knowledge forex me achi hai to aapko loss kam ho skta hai, or agr aap koi statergy bnai hai to auchi baat hai, strategy bnake treading krni chiye, or kosiis krtey rehna chiye ki humari strategy din br din auchi hoti rhe, strategy mei changes krte rhna chiye jb hume aisa lagta hai ki loss ho rha hai startegy badal lo
            • #7 Collapse

              Re: Loss/account wash kis waja s hota hai

              agar hum apny trading account ko manage kar kay trading karty rahy gay to he humari trading achi ho gi agar hum sahi say esko manage nahi karen gay to esmain achi earning nahi kar sakty es liye humay chahiye keh theak say money management karty huway trading karen kabhi bhi lalach ki zad main aa kar ziada lalach ka use na karen
              "The mind is everything, What you think you become"
              • #8 Collapse

                Re: Loss/account wash kis waja s hota hai

                Loss aur account wash honay kai koe bari ya zadya wajohat nahi hoti. bat wohi hoti hay jo ham roz apas main kertay rehtay hain aur dosray traders say suntay bhi rehtay hain. ka jab bhi trade karen to hamesha lot zise ko chota rakhen aur kabi bhi trading stop loss kay baghair nahi kerni chahye. hala kay ye aam baten hain per loss aur account wash isi waja say hotay hain.
                • #9 Collapse

                  Re: Loss/account wash kis waja s hota hai

                  Account ka loss ho jana ya wash ho jana sirf aik waja say hota hay aur wo risk ki management ka na kerna hota hay. is liye jo trader forex main trading ker rahay hotay hain wo tarding to ker letay hain lakin risk kay management main wo fail ho jtay hain. is liye sirf aik trade kay loss main janay ki waja say bara loss letay hain ya account wash ker letay hain.
                  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                  • #10 Collapse

                    Re: Loss/account wash kis waja s hota hai

                    Forex main account wash hony ki kai wajohat ho sakti hain jaisy....
                    1.Stop loss na lagna
                    2.Big lot pe trade karna
                    3.Market ka analysis na karna
                    4.Over conidant ho k trade karna
                    Brother ye wo sb factors hain jin ki waja say account wash ho jata ha agar hum big lot ki trade karny ja rahy hain to aisy main stop loss lagna bjool jaty hain big lot main trade karty hain ziada profit k sath sath loss ka bhi ziada honay k chance hota ha ar kuch traders jo senior hoty hain wo over confidance ki waja say market ka analysis bhi mahi karty hain ar bari lot lga k account wash kar lety hain

                    اب آن لائن

                    Working...
                    X