Har bar strategies change karain ya phir aik he strategy ko fine tune karain

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Har bar strategies change karain ya phir aik he strategy ko fine tune karain
    Dear kia hamain har bar hamain strategies ko change kartay raina chiay.
    Ya phir hamain a0nay bonus ya phir real account per hamesha aik strategy use karni chiay. Or us strategy ko achay say tune karain. Or strategy per jab aboor hai.
    Kay kis waqat hamain acha profit hasil ho ga.
    To phir ham apnay insta forex account per earning bhi sahi kar sakain gay.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Dear main to ye kahoun ga k humean aik he strategy k oper kaam kerna chahy us ko change nahe kerna chahy koin k aik strategy ko fine bnanany main kafi time lagta hai demo main mazeed work kerna parta our pher he app ja k kahean ache strategy bna k us main ache earning kerty hain
    • #3 Collapse

      assalamu alaikum bhai Mere Khayal Se Hame Har dafa stragety ko change karna chahiye qk market car Trend Hamesha Ek Jaisa nahi rehta isliye Hame chahiye ke hum market or follow kare aur Market ko analysis Karke Apne tradeopen kare
      • #4 Collapse

        nahe bahe mera to mashwara hai k humery pass aik strategy hai to humean usi pay amal kerna chahy new bnanay ka koi faida nahe hai us k leay pher time chahy ho ga or pher us main humean practice ke zarorat ho ge our pher demo ko time dina ho ga jo real trade k bad kafi mushkil ho jata hai
        • #5 Collapse

          Dear hamain aik he strategy ko fine tune karna chiay or hamain chiay kay ham jab bhi forex trading karain sirf insta forex kay annaylis he read kar kay trafe lagain to hamain kafi acha profit hasil ho sakta hai.
          Or is kay ilawa koi bhi strategy utha lain.
          Us main entry point ka khaas khial rakhain. Jab tak entry point na ban ra ho tab tak trade na lain apnay bonus account per
          • #6 Collapse

            Dear strategy jesi bhe ho jab tak wo aap ko faaida deti rahy tab tak aap us pe kaam karty rahin aur us ma koi bhe changes na karin lekin jab aapke Strategy kaam karna chor jaay aur apko nuqsan dy to beshak aap us main changes karin ya phir bilkul new strategy bnaain.
            • #7 Collapse

              Mukhtalif qism ki situations se bachny k liy various type ku strategies bana k rakhni chahiy aor jis qism ki strategies apnany ki zarurat ho wohi apply kren ta k buri situation me zeyada se zeyada bach saken, magr in strategies ko banany me bahot aihteyat aor tawajoh se kam len q k bad me yehi apki kamyabi ya nakami ka faisla kren gi
              • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
              • #8 Collapse

                dear ap nay bhi bahut acha question share kia hay hamain har baar stratgie change karnay say lose k ilawa kuch bhi nai mil sakta hay stratgie aik he ho to is main faida hay agar ham apnay mind ko baaar baar change karain gay to hamain mkabhi bhi benefit nai mil sakta hay aik mind bana k us pay dut jana he kamyabi hay hamaisha hamiasha k liye.

                اب آن لائن

                Working...
                X