Loss Recovery Strategy?
No announcement yet.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Loss Recovery Strategy?
    Forex business new traders key ley important hay key wo loss recovery strategy ko learn kary, jo trader loss ko recover nahi kar sakta wo es business me successful nahi ho sakta.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    G bahi loss recovery strategy ma ye ho sakta hai kay aap mohtaat rehty huy market pe zayda kaam karin aur ho saky to analysis kar kayy buy ya sell limit laga den taa kay aap ke marzi ke trade lagy aur phr aap us se zayda faida ly sakin. Jitne zayda aur safe trades aap lagain gy utna he aapko faida ho ga. Ye baat zehan ma rakhi jaay kay loss ko recover karny kaay ly bari lots na use kejiey balkayy normal routine se account ko dekh kar lagain.
    • #3 Collapse

      forex trading main loss ko recover kerny ke liy ashy strategy bnana bahut zarory hy ager ap loss recover ni ker sakty to mairy khayal main ap aik ashy trader ni ban sakty ,ager ap ko aik pair main loss ho raha hy to ap ko chay ke kisi dosry pair main trade laga ker apny loss ko recover kren
      Signature removed by moderator
      • #4 Collapse

        pheli baat to dost ye hai k jab app ka account auto pay wash hota hai mean app kisi commodity main bare lot k sath trade ker rahy hain to pher app ka account wash ho sagta hai to pher humeean bonus account main recovery nahe kerna parti hai thora boht loss ho jeay to pher small lot k sath recovery krean gay to ho jeay ge
        • #5 Collapse

          Dear aap ki baat bilkul theek hai forum oer bahut se aisay log hain jin ko loss hota hai tou woh uss ko recover karnay ki koshish nahin kartay balkay woh yeh behtar samajhtay hain kay account ko recover karnay se behtar hai account wash ho jaye
          • #6 Collapse

            G bilkul ap sahee keh rahy ho k forex trading main trading k doran Jo hmko loss aa raha hota hy isko recover krna hmko aana chahiy aur yeh sekhny k liy hmko apny seniors sy hr waqt guidance lena chahiy ta k hm forex trading k hr qisam ki skills ko seekh lain aur forex trading main kamyab hoty rahain
            • #7 Collapse

              Loss ko accept karna bhi aik baray trader ki nishani hai aur phir loss ko recover karna bhi acha trader hi ka kam hai. Lehaza loss recover karnay ke lie har trader ko auk strategy banani chahie takeh wo apnay loss ko recover kar ke apna etemad bahal kar sakay.
              • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
              • #8 Collapse

                G haan ap nay bahut he useful information share ki ha loss ko recover krnay k leay meray pas aik sada formula ha for example ap k pas 200$ ka capital ha aur ap gold pay trading krtay ho. Aj kal agr gold ki price 1300 k aas pas chal rahi ha to ap 1300 pay gold ko 0.02 buy kr dain agr apki trade loss main a gae to ap 1293 pay 0.05 mazid buy kr lain ic tarha age mazid nechay ay gi to 0.05 aur buy kr lain phir wait krain jb bhi price up jaye gi apki sari trade profit main close ho jaen gi

                اب آن لائن

                Working...
                X