scalping k nuqsanaat

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    scalping k nuqsanaat
    tamam respected forum members sy mera ye sawal hy k main ny aksar logon sy scalping k nuqsanaat ka suna hy main ny demo account mein iski practice ki hy aur mujhy to nhi lagta k iska koi ziada nuqsaanat hain ap log is baary mein kia kehty hain plz apna apna experience share kijiey
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Bhai jan demo account per practice high leverage or zada balnce per aap kartay hain laikin aap ka jo real bonus account hai insta forex ka is main leverage bot he kam hota hai.
    Kam leverage account per scalping high lot size per risky hai. Is liay hamain chiay kay bonus jab bhi trading karain strategies per amal karain na kay scalping jaisi gambling techniques per trading karain.
    • #3 Collapse

      Dear scalping kay bhi kafi saray nuksanat hotay hain aap ko pata hona chiay kay jab bhi ham trading kartay hain tab agar jaldi trade close kar dain means kuch profit lay kar close kar di is ko scalping kaitay hain. Laikin Pakistan forex forum bonus account per insta forex hamain scalping allow nahi karta means agar 5 min say pelay trades close ho jain to is tara ki trading ko insta forex gambling karar daita hai.
      • #4 Collapse

        Dear aap ne bahut acha sawal kya hai aurnkuch dostoun ne iss ka reply bhi bahut acha kya hai aur umeednhai kay aap ko kafi samajh aa gaya ho ga aur scalping ka nuqsaan aap ko demo mein nahin ho ga lakin real trading mein hota hai
        • #5 Collapse

          Dear pehli baat to ye hy k demo account aur real account mein scalping k lehaaz sy bahot ziada difference hy aur woh is liey k demo mein aik to capital kafi barra hota hy aur doosra leverage ka bhi kafi farq hota hy isky elawa scalping mein real loss ka bhi dar nhi hota jo k aik barra differential point hy
          • #6 Collapse

            اصل پيغام ارسال کردہ از: qasimbaloch پيغام ديکھيے
            tamam respected forum members sy mera ye sawal hy k main ny aksar logon sy scalping k nuqsanaat ka suna hy main ny demo account mein iski practice ki hy aur mujhy to nhi lagta k iska koi ziada nuqsaanat hain ap log is baary mein kia kehty hain plz apna apna experience share kijiey
            Dear har kisi traders ka readingstyle apna hotabhai kisi ko scalping krna acha lgta hai or ksisi ko long term trade pasand hoti hai is liye id main koi msla nahi hai
            FRD 07 TRADING JOURNAL
            • #7 Collapse

              mery dost ap ki bat theek hy k scalping ka nuqsan ni hy per apka maqsad sirf is business sy profit lena ni hona chahiy blky apka maqsad yeh bi ho k ap ko forex trading ka mokamml knowledge aur experience bi hasil ho aur jab tak ap scalping sy trading krty raho gy apko experience ya knowledge is business ka ni aa sakta
              • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
              • #8 Collapse

                scalping karna ye hain k apne account ko wash karna hain main scalping kar k apna 300usd ka accoutn wash kar chuki ho aaab main small lot use kar k trading karti ho jis say mera accoutn b safe rehta hain and and main thora bhot earn b kar leti ho or dosri baaat ye k main earn say ziyda apni money safe rakti ho jo k mere liye say say best hain

                اب آن لائن

                Working...
                X