60 % Emotion Control + 40 % Knowledge & Trade skills = Good trader

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    60 % Emotion Control + 40 % Knowledge & Trade skills = Good trader
    Dear friends , Ap nay aksar note kiy hoga ke demo account mai 80 ya 90 percent trades achi trading kar laite hain, Lakin Jo traders real account mai trade karty hain in mai say mushkil say 5 percent say 10 percent tak kamyab trading kar sakty hain.
    Jab kay demo aur real mai price aur market environment same he hoti hai.
    Ager iss per ghor Karin tu sirf faraq yahi hai ke demo trading kay doran emotions ke involvement nai hoti iss liye iss mai new traders b achy decision kar rahy hoty hain , Jab kay real account mai emotions ke involvement ke waja say experienced traders ko b loss ho raha hota hai.

    In short kehnay ka matlab yeh hai ke knowledge experience aur skills ke ehmait apni jagha, lakin achi trading kay liye sab say zaroori cheez emotion control hai.
    App ka kiya khayal hai ? Apnay khayalat say zaroor aga Karin ..
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Maire khayal say tu trader ko jis skill per sab say ziada kam karna chiye woh emotion control aur achi money management hain . ager traders apny emotion ke base per trading decision na karin aur in per control rakhty hoie patience kay sath apny knowledge aur skills kay mutabiq market ka analysis kar kay trade mai enter hon tu phir forex trading mai kamyabi milnay ka chance kafi barh jiye ga. Emotion per control rakhnay Waly traders aur patience k sath trading karny walon ko loss kam he hota hai.
       
    Last edited by ; 17-04-2018, 11:03 PM.
    • #3 Collapse

      G ha dear ye to ap ne bahot hi achi baat ki hai k ais market mai jab hum kaam karty hain to ais mai ye hai k hum agar emotion control kr lety hai to ais mai ye hai k hum jo bhi trade lagye gy to hum aus ko bahot jaldi loss mai close ni kary gay.
      • #4 Collapse

        G han ap ne bilkul theek kaha forex trading may kamiabi hasil karny k liay bht zarori hay k hum apni emotions ko control may rakhy tabhi hum aik kamiab trader ban sakte hay aur is k sath sath humary pas knowledge bhi hona cahiay teading k liay
        • #5 Collapse

          Yes dear hamyn chahye k trading mein apny emotion ko control rakhnyn kyun k emotional traders loss uthaty hain 60 % trader emotion ku waja se loss karty hain aur jo control kar lety hain wo profit earn kar ker lety hain agar knowledge ho aur practice achi ki ho tu
          • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
          • #6 Collapse

            اصل پيغام ارسال کردہ از: Devil-forex پيغام ديکھيے
            Yes dear hamyn chahye k trading mein apny emotion ko control rakhnyn kyun k emotional traders loss uthaty hain 60 % trader emotion ku waja se loss karty hain aur jo control kar lety hain wo profit earn kar ker lety hain agar knowledge ho aur practice achi ki ho tu
            Brother maire khayal mai knowledge thora bohot b hot lakin emotion per ager control acha rahy jis trader ka tu woh kamyab ho sakta hai . jis trah example share ke teh ke demo per jo new traders kam karty hain in ke pas new honay ke waja say knowledge kam hota hai lakin demo per emotion ke involvement bilkul nai hoti tu iss waja say woh b achi trading kar laite hain.
             

            اب آن لائن

            Working...
            X