w/salam brother ap ka sawal bohat hi acha aur tension paida karna wala ha. ma bhi is business sa bohat arsa isi lia door raha ka shak ma tha phir ai mufti sb ka pass gia aur tasali ka lia apna bazurg chacha jan ko sath la gia jo ka bohat namazi parhaizgar han aur parha likha bhi han. mufti sahib ko sorthal samjhai to unhon na kaha ka sawap ka baghair karan to halal ha kayun ka is ma ap ka paisa lagta han aur profit bhi hota ha aur loss bhi aur sab kuch agar ap ka control ma ha yani jab chahan paisa nikal sakta han to halal ha magar currencies ghair mulki hon. gold ki trading ko bilkul haram bataya ka gold ka lain dain hand to hand hona lazmi ha is lia gold trading na karan. ye to aisa hi ha ka bazar ma aik din agar sugar ka rate Rs. 50 ha to agla din wo 52 ya 55 ho sakta ha. umeed ha ye tafseeli jawab ap ko mutmain kar da ga. ma koshish karon ga ka likhwa kar fatwa laon un sa.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим