Trading Tips For New Traders...!

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Trading Tips For New Traders...!
    Me un tamam new traders ko kuch khas kisam k TIPs btata hon.
    1:- aik to ap ne jab bhi trade kerni ho to ap koshish kren k taqreeban 15 se 20 mint tak market chart ko study kern.
    2:- us k baad ap is me all time frame mean that m1 se le ker H4 tak market trend ko check kern.
    3:- ab ap ne us me support and resistance or trend line k zariye or persona experience k zariye trend nikalen.
    4:- Trend ki position ko tmam Time frames me chaeck kren .
    5:- us k baad ap apny k margin k mutabq aik secure trade lagain.
    6:- agr ap ka account 100 dollars ka he to us me agr ap ka account agar standard pip account he to 0.50 and agar ap ka account micro
    pip account he to 0.05 ki trade lagani chahiye.
    7:- us k baad ap apni har trade ko 30 standard pip ka takeprofit de den .
    8:- jab tak ap ki aik trade profit me band na ho jay to tab tak ap dosri koi trade na lagain.
    9:- Trade hamesha personal analysis ki base per lagain q is tarhan ap ko analysis kerny or market chart ko read kerny ka tareeqa bhi aa
    jay ga and ap ko is me loss ka bhi dar khatam ho jay ga.
    10:- Sab se ehem baat ye k agar ap ko kamyab trading kerny he to ap ko is me jo profit asani se mil raha he to ap us ko le len and us k
    baad market ko dekh ker aik or secure trade laga len q agra ap is per amal kerty hen to ap ko is me loss bhi ni hoga and is tarhan se
    ap ka account bhi save and secure rahy ga or ap ko is me profit bhi daily milta rahy ga.

    Agr in sab k ilawa kisi ko or kuch Help chahiye ho to wo mujh se personally contact ker k bhi poch sakta he and meri detail neechy di gai he.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    new traders ko ma to yahi tips daina chahonga k jab bhi app forex trading start karo start karn y sa pehly demo account par achi tarhan practice zaror kar lo ta k real trading ma koi pareshani na ho apko.
    • #3 Collapse

      Brother waisey to forex trading key liey first hard work hi karna parta hey but us key baad jitna ziada experience ho ga aap utani hi achey tareeqey sey trading ker saktey hen. Is liey trading key liey experience ziada matter karta hey.
      • #4 Collapse

        yes dear ap ne b buht achi tiops di hai but mein just simple baat hi kro ga new traders ko first demo asccount k sath trading ki practice krni chaiye is k sath kisi expert trader se forex learn krni chaiye
        • #5 Collapse

          jo log trading main new hain main un ko ye tips don ga k wo is main sab se pehle demo account main 1 ya 2 month trading saikhain aur phr aj k wo real account pai trading karain ta k un ko is main loss na ho aur jo demo main mistakes hon un ko dor karain
          • #6 Collapse

            Basic knowledge hasil karna aur forex ki complete information lena phir kisi help le kar demo par hardworking kar k practice karna ur trading seekh kar forex k har taran k ups and downs ko samjna ye tamam cheeyn samjna aik new trader k liye boht lazmi hain.
            • #7 Collapse

              Bhit he achi tips ap na share ke ager har new trader in tips ko fiollow kar ka forex trading main work kara tu wo bhot acha trader ban sakta haan or or ko loss b kam sa kam he hu ga forex trading main is leya tips ko zaroor follow karn chye.
              • #8 Collapse

                Dear ap ne no doubt boht achii post ki hy agar hum sab in cheezon ko follow karain aur just agar new member demo account pe practice kar k es business mai aain tu no doubt ap boht kam waqt mai boht acha faida hasil kar skteho aur apnii life ko b set kar skte ho soo es liye ap ko mehnat karnii ho gii aur apnii life ko b set karna ho ga ta k ap boht kam waqt mai acha kam kar skao...
                • #9 Collapse

                  gee haan bhai ap ne sahih bat ke he keh trader ko jb woh new hota he to in baton ko smjhe aur in per aml kre to woh apne trading mein success le ga aur yeh batein important hein aur new trader ko lazme in baton ka khyal rkh kr kam krne se faida hota he
                  • #10 Collapse

                    Sahi ha hume in sab chexon ko bhi dekhna chaiye lekin sabse behtreen cheex jo forex ko carry karne k liye hume xaror xaror chaiye hoti ha aur wo hoti ha sabse zada patience jitna zada app behtreen trade ka intezar karoge utna hi better trader app banpaogo
                    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                    • #11 Collapse

                      jo newbies hain forex trading ma sab sy pehly un ko step by step forex ko samjna ha each step ka concept clear hona chahye har surat ma pher ap ko next step samj ay ga ap is ko step by step samjty jay gy tu kisi b tarha ki koi b parashani nahi ho gi ap ko bas her is ko practice aur time ki zarorat hoti hai last py demo account pher real account ki tarf ay..

                      اب آن لائن

                      Working...
                      X