What is NFP

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is NFP
    What is NFP

    NFP ki full form Non farm Payrolls hai or ye aik news hai or jb b ye news launch hoti hai to USD currency kafi stronog hoti hai or meri knowledge or experience k mutabik ye news mostly USD currency k faviour mai jati hai or mostly traders is news say earn krtay hai or kuch ko loss b ho jata hai main lakin Jo log fundamental analysis kartay hain aur issi ki buniyad pr trading kartay hain un k liye yeah to bht ehm hain ye especially USA ki economy ko define karti hai k USA ki economy strong hai ya weak hai yeah har saal k aghaaz main parish ki jaati hai is main yeah bataya jata hai k is waqat kitni ghurbat hai USA main agar Nfp k mutabiq USA ki ziada awam k pass job hungi to uski curruncy strong jayegi aur buy trade hogi agar weak hogi economy to sell main jayega aur aksar log is ko sab say ziada market fluctuate karnay wali news bhi kehtay hain

    Click image for larger version

Name:	11.png
Views:	4
Size:	5.0 کلوبائٹ
ID:	12601128

    NFP Effects

    NFP ka market Py bht gehra effect hota ha aur ye prices forex traders k liay b bht aham hotay hain, jb higher employment rate ho ga to central banks ki monitary policy ki waja sa interest rates b high hon gay ta k inflation ko growth k sath balance kia ja sakay, agr US ma labor market grow kar rahi hoti ha to is ka mtlb ye hota ha k log paisa kama rahay hain aur usay spend b kar rahay hain, is tarah jitna ziada paisa spend kia jata ha to country ka GDP b usi hisab sa high hota ha, NPF US ma jobs ki creation aur lost sa taluk rakhta ha, news kisi kisam ki b hon forex market par unka bht effect parta ha aur kai bar market ki moment current position k bilkul opposite ho jati ha, is liay hmesha news par focus kar k trading karain ta k safe trade possible ho.

    Click image for larger version

Name:	22.png
Views:	1
Size:	4.8 کلوبائٹ
ID:	12601129

    NPF Measures

    is ko american economy ki health ko measure karny wali report kaha jae to ya galat na ho ga. Es report ma economic conditions ko measure kiya jata hai. So es ma employment rate or inflation rate k bary ma discuss kiya jata hai k wo improve ho rahy hain ya decrease ho rahy hain. Es report par he monetary policy ma dollar k interest rate ko b fix kiya jata hai. Hamy pata hai k dollar forex market ka main pillor hai agr es ma tori si b up ya down movement ho to pori market par eska bhot gehra asar par sakta hai so agr trader es report ki bena par dollar k move ko pehle he predict kar ley to wo bhot sy nuksanat sy bach sakta hai. But es k lae jesa k pehle discuss howa hai nfp report ka track rakhna bhot zaruri hai tb he trader ko pata chal sakta hai k market par kis base py trade kiya ja sakta hai or es ma profit hasil karny ki kiya probability*ho*sakti*hai.

    Click image for larger version

Name:	33.png
Views:	7
Size:	18.9 کلوبائٹ
ID:	12601131
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: What is NFP

    NFP (Non-Farm Payroll) ka matlab hota hai kay America ki government ki taraf se jari keye janay walay maheenay ki payrolls yaani mulazmeen ki tadaad mein barhayi ya kammi. Ye report amoman her mahine kay pehle jumme ko jari keye jatay hain. Ye report forex trading mein khas toor par mahatvapoorn hota hai kyunkay is mein America ki economy ki haalat ka andaza lagaya jata hai. Yani kay mulk ki haalat kehna hota hai kay mulk ki currency ka qadar kaisa hogha. Jab ye report jari hoti hai to forex traders is report ki tafseelat ko tayyar hokar dekhtay hain aur is report kay mutabiq apni trading strategy ko tabdeel kartay hain. Agar is report mein mulazmeen ki tadaad mein barhayi hoti hai to is ka matlab hota hai kay mulk ki economy mein taraqqi hai aur is ka asar mulk ki currency par par sakta hai. Agar report mein tadaad mein kammi hoti hai to is ka matlab hota hai kay mulk ki economy mein kami hai aur is ka asar bhi mulk ki currency par par sakta hai.



    Isi tarah jab report jari hoti hai to is kay mutabiq traders apni trading strategy tabdeel kartay hain. Kuch traders is waqt apni trade ko band kar daitay hain, kuch traders apni position ko adjust kartay hain aur kuch traders is waqt naye positions laytay hain. Is report ki tafseelat jannay kay liye aap forex kay websites aur forums kay sath bhi rabta kar saktay hain. In websites aur forums mein aap is report ki tafseelat kay sath-sath is kay mutabiq strategies aur traders kay comments bhi parh saktay hain. Agar aap forex trading mein naya hain to is report ki tafseelat ko samajhnay kay liye aap ko thori si mehnat karni paray gi. Aap ko is kay liye forex kay basic concepts ko samajhna hoga. Is kay sath-sath aap ko economic indicators kay baray mein bhi samajhna hoga. Economic indicators kay baray mein jannay kay liye aap ko mulk ki economy, us kay exports aur imports, inflation rate, interest rate aur kayi aur cheezon ko samajhna hoga.



    Jab aap is report kay tafsilati mutalikat samajh jatay hain to aap apni trading strategy ko is kay mutabiq tayyar kar saktay hain aur apni trading performance ko improve kar saktay hain. Ye report aik important economic indicator hai jis kay through traders mulk ki economy ki haalat ka andaza lagatay hain aur is kay mutabiq trading decisions letay hain. Isi tarah, forex trading mein success hasil karne kay liye aap ko market ki tafseelati analysis kay sath-sath technical aur fundamental analysis bhi janna hoga. Technical analysis mein aap price charts aur technical indicators ka istemal kar kay market ki trend aur price action ko analyze kartay hain. Jabkay fundamental analysis mein aap mulk ki economy, interest rates, inflation rate, exports and imports, and other economic indicators ko analyze kartay hain.



    Forex trading mein success kay liye aap ko patience aur discipline ki zarurat hoti hai. Aap ko apni trading strategy ko tayyar karnay kay sath-sath risk management techniques ko bhi samajhna hoga. Is kay sath-sath aap ko apni trading performance ko regularly monitor karna hoga aur apni mistakes ko identify kar kay improve karna hoga.
    Believe in yourself and your abilities. When you fight for your dreams, you can achieve anything.

    اب آن لائن

    Working...
    X