MFI (Money Flow Index):

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    MFI (Money Flow Index):
    Money Flow Index:

    Money Flow index Indicator (MFI) market mn money flow k bary mn btata hai jis mn market mn buyers aur sellers ki ratio aur over sold aur over bought conditions ki knowledge gain ki ja skti hai. Money flow index aapko market mein Price action aur price Volume ki information deta hai jis ko dkeh kar aap market mein trends reversal ky bary mein jan skty hain. Is trha aap is indicator ka use karty huey market mrin trade signals gain kar sk5y hain ya trade ky liye entry points dekh skty hain.
    Money Flow Index (MFI) aik momentum indicator b hy flow of money ko measure karta hy Yae Relative Strength Index (RSI) sy mutalik hy laken is mai incorporates volume shamil hy or RSI sirf price py ghor krta ha.

    Desciption:

    Money Flow Index. Money flow index esa indicator hai jo price or volume ki help sy buying or selling pressure ko find karta hai. Mfi ko volume weighted rsi b kaha jata hai. Money flow jb positive hota hai to eska ye matlab hota hai k prices increase kary gi or buying pressure market ma develop ho ga. Or jb money flow negative ho ga to eska ye matlab ho ga k prices decrease kar rahi hai or market ma selling pressure ho ga.

    Click image for larger version

Name:	download (3).png
Views:	3
Size:	7.6 کلوبائٹ
ID:	12600523

    Money flow index bahut hi important study hoti hai jo aapko Forex trading Mein Apne analysis ko perfect Banane mein bahut jyada help ho sakti hai Diye Jab aap money flow index related apni learning complete Karke Forex trading Mein entry lete hain to usmein aapko bahut jyada advantages mil sakte hain money flow index se related main aapse Kuchh important information share kar deta hun jo aapki bahut jyada helpful ho sakti hai.


    Explanation:

    Money flow index related Jab aap apni learning complete kar rahy hoty hain tou iss mein aapko different important situation se related updated Hai Na Hota Hai Aur is mein aapko market Mein sellers aur buyers ka pressure note karna Hota Hai Jab aap market Mein different conditions ko find out karti hai aur iss mein aapko overbought condition aur over sold situation se related information with Rahi hoti hai to aapko maximum advantages mil sakty hain .No doubt, money flow index Jab aap apni trading per reply karte hain to aapko bohat ziaada market ky volume se related analysis karne mein help milti hai issi liye aapko money flow Index se related properly different information Hasil karna chahiye.

    Click image for larger version

Name:	download (4).png
Views:	1
Size:	11.0 کلوبائٹ
ID:	12600522

    MFI aap ko market ki informations dety howe ik grading aur numerical numbers mein market ki information deta hai. Is trha aap market mein agar dekhty hain to aap ko market mein Buying ya selling condition ko oscillator ky zariye show kia jata hai. Is ka istemal aap ko market mein trends reversal ky waqt aur is se pehly ki pre conditions ky bary mein btata hai. Market mein is indicator ka istemal aap kar ky dusry signals ki confirmation kr skty hain.

    How it Works?

    Money Scale indicator scale pay 0-100 oscillation se work karta hai jo bhi figure MFI calculate karta hai usko skale per plot kia gata hai jese overbought or oversold ka pta chlta hai. Iski reading 80 sy agr above ho to overbought hoti hai aur agar yeh 20 sy kam ho to yah oversold consider Kia gata hai. Isliye aapko market mn ziada sy ziada knowledge or experience ke se kam krna chahiye aur apna ziada se ziada time spend krna chahiye tha ki aap reading mein kamyabi ke sath apna trade work karne ke kabil banaa saken aur achcha experience hasil karke apni trading co Kamyab bana sake Jo log daily basis per workout karte hain vahi achcha experience bhi hasil kar sakte hain aur apni trading mein acche indicators ka istemal karke ziada sy zida acha trade kar sakte hain.

    Click image for larger version

Name:	download (5).png
Views:	9
Size:	10.3 کلوبائٹ
ID:	12600521
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalamu Alaikum Dosto!
    Money Flow Index
    Money Flow Index (MFI) aik momentum oscillator ya indicator hai, jo trading dabao, khareed o farokht ki pemayesh karne ke liye time aur price dono ka analysis karta hai. MFI indicator ko Volume Weighted Relative Strength Index (RSI) bhi kaha jata hai, q k iss mein valum shaamil hota hai, lekin RSI ke bar-aks, jis mein sirf price ki analysis ki jati hai. Positive money flow ka bahao aam price mein izafay se zahir hota hai, jo buying pressure ka signal deta hai, jab ke aam price mein kami MFI negative pressure ki nishan-dahi karti hai, iss terhan selling pressure ka signal deti hai. Yeh positive aur negative flow ko money flow ratio ya money ratio k liye jama kya jata hai. Money ration ko MFI maloom karne ke liye istemaal kya jata hai, jo 0 aur 100 ke darmiyan ghoomta hai. Jaisa k MFI valum ko shaamil karta hai, is ka istemaal prices ki extreme aur mukhtalif signals k sath reversal jane ki shanakht k liye kya ja sakta hai.
    Formula for the Money Flow Index (MFI)
    Money Flow Index (MFI) ki calculation ko darjazel fomulas ki madad se calculate kia ja sakta hai;
    1. Compute the typical price for a period.
      Typical Price = (Low + High + Close) / 3
      • Agar aaj ki typical price kal se ziyada hai, to is ka matlab hai, k MFI positive hai. Lekin agar typical price kam hai, to iss ka matlab hai, k MFI negative hai. Makhsos time period ke dowran positive money positive money flow deti hai, aur makhsoos time period mein negative money negative money flow deti hai.
    2. Compute the raw money flow.
      Raw Money Flow = Volume x Typical Price
    3. Compute the money ratio.
      Money Ratio = 14-period Positive Money Flow / 14-period Negative Money Flow
    4. Compute the Money Flow Index (MFI).
    Money Flow Index (MFI) = 100 – [100 / (1 + Money Ratio)]
    Money Flow Index (MFI) Signals
    MFI indicator teen tarah k signals genrate karta hai, overbought/oversold conditions, failure swings, and divergences. In ki mazeed information darjazel hai;
    1. Overbought/Oversold Condition Agar MFI prices mein taizi se izafay ko high level par zahir karta hai, to security ko overbought move karna samjha jayega. Issi terhan, agar MFI price mein kaafi low level par taizi se kami ki nishandahi karta hai, to security ko oversold samjha jata hai. Overbought shuda aur oversold hui levels price ki extreme positions ko pehchanney mein helpful hote hen. Aam tor par, overbought condition uss waqat hoti hai, jab bhi MFI 80 se oopar ho, aur MFI 20 se kam ho to oversold position ki nishan-dahi karta hai. Prices mazeed upward rise kar sakta hai, jab bhi bullish trend mazboot ho, aur MFI 80 se ziyada increase sakta hai. Dosri taraf, MFI 20 se neechay ger sakta hai jab prices neechay ki taraf mazboot trend ki mojoodgi mein girty hen. Agar MFI 90 se oopar rise hota hai, to usay waqai overbought condition samjha jata hai, aur 10 se kam MFI ko waqai oversold honay wali condition samjha jata hai. Taham, MFI 90 se ziyada aur 10 se kam kabhi kabhaar hota hai aur yeh tajweez karta hai ke qeemat ki movement paidaar nahi hai. bohat si securities exchange market mein 90 / 10 k levels ki price ki extreme ko puhanche baghair trading karti hen.
    2. Divergence Divergence uss waqat hota hai jab price action ki movement aur MFI ki movement aik dosre k opposite direction main hon. Dono k darmeyan faraq ko new ane wale signal k tawar par dekha jata hai. Divergence ki do aqsaam hen;
      Bullish Money Flow Index (MFI) divergence
      Bullish MFI divergence uss waqat hota hai, jab price aik new low level par change ho jati hai, jabkay, MFI high low honay ki nishan-dahi karta hai, jo money k flow mein izafay ko zahir karta hai. Iss ka matlab hai, ke selling pressure kam ho raha hai, aur buyers market par qabza kar rahay hon ge. Yeh prices par securities buy karne ka aik achah mauqa faraham karta hai.
      Bearish Money Flow Index (MFI) divergence
      MFI bearish divergence uss waqat hota hai, jab price aik nainew high par change hoti hai, jabkay MFI lower high ki nishan-dahi karta hai. Yeh buying pressure mein kami aur sellers k liye market par qabza karne ke waqat ki nishan-dahi karta hai. Yeh sellers k liye munafe kamanay ka aik achah mauqa hota hai.
    3. Failure Swing
    Divergence ki terhan, failure swings ke nateejay mein price mein bhi tabdeeli ho sakti hai. Taham, failure swings ka inhisaar price par nahi hai aur mukammal tor par MFI par inhisaar karte hain. Failure swings ki do aqsaam hen, bullish aur bearish, jab k in dono aqsaam ko mazeed chaar marahil main taqseem kia jata hai;
    Bullish Money Flow Index (MFI) failure swing
    • Step 1: MFI decreases below 20 (oversold)
    • Step 2: MFI recovers and rises above 20
    • Step 3: MFI decreases but stays above 20
    • Step 4: MFI shoots above the previous high
    Bearish Money Flow Index (MFI) failure swing
    • Step 1: MFI increases above 80 (overbought)
    • Step 2: MFI drops below 80
    • Step 3: MFI slightly increases but stays below 80
    • Step 4: MFI drops below the previous low

    اب آن لائن

    Working...
    X