Bearish Meeting Line Candlestick Pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bearish Meeting Line Candlestick Pattern
    Assalamu Alaikum Dosto!


    Bearish Meeting Pattern


    Bearish meeting line pattern k aghaz main market ain normal bullish trend main uptrend movement kar rahi hoti hai. Lekin trend k akher main aik bearish candle pechle din ki candle se above gap main open ho kar ussi k closing point par close hoti hai. Ye pattern two days candles ka hota hai, jiss main pehli bullish candle hoti hai aur uss k baad agli din ki candle aik bearish candle hoti hai. Ye dono candles aik dosre se opposite direction main open ho kar same aik hi point par close hote hen. Dono candles k closing price ka aik dosre se same point par melne ki waja se iss pattern ko meeting line pattern kaha jata hai.

    Click image for larger version

Name:	images (6) (11).jpeg
Views:	21
Size:	14.6 کلوبائٹ
ID:	12598754

    Candles Formation


    Bearish meeting line pattern market main prices par bullish ka asarat ko khatam karne ki koshash karte hen, jo k do candles ka aik trend reversal pattern hai. Pattern main candles k opening prices aik dosre k opposite hona aur closing price same hone se ye aik qisam ka unique pattern ban jata hai, jiss main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	images (4) (23).png
Views:	9
Size:	6.6 کلوبائٹ
ID:	12598755

    1. First Candle: Bearish meeting line pattern main shamil pehli candle bullish hoti hai, q k ye pattern aik bullish trend k akher main banta hai, to ye candle color main white ya green hoti hai. Ye candle aik strong real body main honi chaheye.

    2. Second Candle: Bearish meeting line pattern ki dosri candle bearish candle banti hai. Ye candle pehli candle se above gap main open ho kar ussi k closing price par close ho jati hai. Pattern ki ye candle aik black ya red color main hoti hai, jo k trend reversal ka sabab banti hai.

    Explanation

    Bullish trend main banne wala bearish meeting line pattern aik bearish trend reversal pattern hai jiss se market main prices apne current trend ko change karne ka muqa melta hai. Ye pattern two days candles par mushtamil hota hai. Jo dekhne main Bearish Belt-Hold Line Pattern se mushabehat rakhta hai. Pattern ki pehli candle aik strong bullish candle hoti hai, jiss se sabeqa bullish trend ki akasi bhi hoti hai aur prices k uptrend ka bhi ishara melta hai. Bullish candle ko aik strong Bearish candle follow karti hai, jo k open to above gap main hoti hai, lekin close same bullish candle k closing price par hoti hai. Pattern ki pehli aur dosri candle k prices k closing point same hone ki waja se iss pattern ko meeting line pattern kaha jata hai.

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20230206_230921.jpg
Views:	6
Size:	63.5 کلوبائٹ
ID:	12598752

    Trading

    Bearish meeting line pattern main pehli candle aik bullish candle hoti hai, jo k sabeqa uptrend ki alamat hoti hai. Jab k pattern ki dosri candle aik strong bearish candle hoti hai, jo open to pehli candle k top par hoti hai, lekin close pehli candle k same closing point par hoti hai. Pattern ki pehli candle k closing price aur dosre candle k opening point k darmeyan gap banta hai, lekin wo mehsos iss waja se nahi hota, q k bearish candle ki real body uss gap ko cover karti hai. Pattern par trading k leye zarori hai, k dosri bearish candle k baad aik aur real body wali black candle honi chaheye, jo pehli candle k midpoint se below close ho jaye. Stop Loss pattern k sab se highest point ya bearish candle k opening point se two pips above set karen.

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20230206_230934.jpg
Views:	7
Size:	104.2 کلوبائٹ
ID:	12598751

اب آن لائن

Working...
X