Re: Bullish Harami Candlestick Pattern

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Re: Bullish Harami Candlestick Pattern

    Assalamualaikum!




    Dear Friend main umeed krta hon k ap sab kahraiyat sy hon gy our forex market main axha kam kr rhy hon gy dosto aj main ap k liay bhot he important our knowledge
    wala topic ly kr aya hon aj hm jis candle k bar mn discuss krien gy vo bhot ahm candle ye candle 2 candle stick sy mil kr banti is ka nam Japan k logo ny rakha
    bullish harami Japan ka aik word aj hm is ko seekhy gy our Jane gy ye market mn kidr banti h Kasi hoti h our is k bany sy market mn kia hota chalty hn apny topic
    ki trf firstly ap ka jana bhot zarori h k ye candle hoti kia h.


    Definition:



    Bullish Harami Candlestick ka he aik pattern h is ka nam Japan k logo ny aik laddy k pregnant per rakha h Harami aik japani lafz h our ye candle bilkul ous trha
    dekhai deti h ye pattern 2 candle sy mil kr banta is ki first candle long bearish hoti our is k bad second candle bullish hoti h jis ki body small our oper neechy ki
    shadow b hoti h is ka matlb ye h market mn downtrend sy uptrend hone wala h is ka aik confirmation deti h ye aik small body wali candle hoti is candle ka mtlb

    ye h k ye uptrend ko peda krny wala h mtlb k uptrend bane wala matlb market bullish hony wali mtlb uptrend mn jane wali h ap is ko picture mn dekh sakty hn.
    Click image for larger version

Name:	RctfKqZtXe.png
Views:	13
Size:	24.0 کلوبائٹ
ID:	12598300


    Explanation:


    Bullish harami candle stick pattern k bane k liay zarori h k market downtrend mn chal rahi ho q k bullish harami hamesha downtrend mn banta h ye aik trend

    reversal pattern h is k bany sy market ki moment mn changing ati h ye pattern 2 candle sy mil kr banta h is ki first candle bearish hoti our dosri aik small
    body wali candle hoti h jo k bullish hoti h is k bane sy market mn change ata h bullish harami candle stick ki jo pehli candle hoti h vo aik large bearish hoti
    is ka nam mother hota our jo second candle bullish hoti vo aik small body hi ko bachy ka nam dia jata h dosto aik bat ka dehan rakhna h k ye pattern hamesha
    aik lambi girawat k bad banta h ye aik trend reversal pattern h is sy k bane sy hm ko confirmation milti h is k oper ap entry ly sakty hn our is k neechy ap
    stop loss lga sakty hn is sy apko aik lambi trade krny ko milti h jis sy ap aik acha profit hasil kar sakty hn dosto main umeed krta hon k aj jo kuch mainy apko
    btaya vo ap k liay bhot helpful ho ga.

    Thanks 😊
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalamu Alaikum Dosto!
    Bullish Harami Candlestick Pattern
    Bullish harami candlestick pattern bearish market main ooper ki janib mumkina trend reversal ki numaindagi karta hai. Technical analysis mein, iss candlestick pattern ko inside day pattern k tawar par bhi jana jata hai. Pattern aik bearish trend ke sath shuru hota hai jis ka ekhtataam do bullish candlestick par hota hai. Pattern ki pehli candle aik bari real body candlestick hoti hai, jab k baad wali candle aik small real body wali candle hoti hai, jiss ki pori body bari candlestick k real body k vertical range mein ban jati hai. Ye pattern iss baat ki nishandahi karta hai ke mojooda down-trend kamzor ho raha hai. Pattern price chart par banne wale dosre kuch candles se bhi mumaselat rakhta hai, jo same trend reversal ka sabab banta hai.
    Candles Formation
    Bullish harami pattern two days candles par mushtamil ek bullish trend reversal pattern hai, aur downtrend k baad main bhi bannta hai. Pattern main shamil dono candles different formate k yani bearish aur bullish candles hoti hai, jo prices k mumkin trend reversal ka sabab banti hai. Pattern main shamil candles ki formation darjazel tarah se hoti hai;
    1. First Candle: Bullish harami pattern main pehle din ki candle aik long real body wali black/red hotee hai, jo prices k downtrend ki turjumani kartti hai. Ye candle normal size aur bearish trend k mutabiq banti hai. Pattern main candle ki real body lazmi honi chaheye, jis main open price close price k ooper hota hai.
    2. Second Candle: Bullish harami pattern main dosre din ki candle aik bullish candle banti hai, jo k prices k bearish trend ka ikhtetaam kartti hai, dosre din ki candle pehle din ki candle k real body k andar open aur close hoti hai. Ye candle small size main aur pehli candle k inside banne se bearish trend ko khatam karke new bullish trend ka aghaz karti hai.
    Explaination
    Bullish harami candlestick pattern bearish trend k dowran high demand position par uss waqat banti hai, jab market trend main aik bari tabdeeli karne wala ho. Pattern k mutabiq jab bhi sellers market main mazeed dilchaspi lena band kar dete hen, to market ka current control buyers k hathon main chala jata hai. Pattern do candles se mel kar banta hai, jiss main pehli bearish candle dosri bullish candle se size main bohut bari hoti hai. Pehli candle prices ko nechay ki taraf push karti hai, jab k dosri candle high demand ki waja se strong real body main nahi banti hai, jiss candle ka open aur close dono pehli candle k inside main a jate hen. Pattern ki dosri candle small real body ka hone ki waja se bullish trend reversal ka sabab banti hai.
    Trading
    Bullish harami candlestick pattern trading k leye ziada maozon uss waqat hota hai, jab bhi prices aik bearish trend ya low prices area main hon. Pattern par trading se pehle aik confirmation candle ka hona zarori hai, jo real body main bullish candle honi chaheye aur dosri candle k top par close honi chaheye. Lekin pattern k baad bearish candle banne se ya bullish candle ka dosri candle k bottom par close hone se ye pattern invalid ho jayega, jo trading k leye kar-amad nahi rehta hai. Pattern ki confirmation indicators se bhi ki ja sakti hai, jiss par value oversold zone main honi chaheye. Pattern ka Stop Loss prices k sab se lower position ya pehli candle k close price se two pips below set kia ja sakta hai.

    اب آن لائن

    Working...
    X