Re: What is Inverted Hammer Candlestick?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Re: What is Inverted Hammer Candlestick?

    Assalamualaikum!

    Dear Friend main umeed krta hon k ap sab kahraiyat sy hon gy our forex market mn bhot acha profit kama rehy hon gy dosto aj main ab sy zaida profit deny wali
    candlestick k bary mn jane gy is candle ko inverted hammer kun bolty hn q k ye bilkul aik ulti hammer ki trha hoti h agar hm hammer candle ko ulta kr dien tu vo inverted hammer ban jati h dosto aj main apko is inverted hammer k bary mn btaun ga k ye market mn kasy banti is k bany sy market mn kia hota h our is k banesy market mn kia hota h aj main apko is candle ki mokamal information dun ga.
    Definition:
    Inverted Hammer Candlestick ka he pattern h is ka nam japan k logo ny qabar k pather per rkha h inverted hammer bany sy market ki moment mn changing ati h
    inverted hammer vo hota jo kisi b downtrend sy uptrend mn convert krta h ye kisi b colour ki ho sakti h apko market mn sb sy pehly inverted hammer ko pehchanahota h agar ap ko ye inverted hammer downtrend per banti dekhai dy tu is ka mtlb market ki moment mn changing any wali yani market uptrend mn jane wali h apis ko picture mn dekh sakty hn .

    Click image for larger version

Name:	InvertedHammerPic (1).gif
Views:	16
Size:	6.3 کلوبائٹ
ID:	12598228

    Explanation:

    sab sy pehly ap ny market mn chack krna h k market mn kon sa trend chal rha h agar market mn downtrend chal rha h tu ous mn koi b red candle k bane k bad aik
    small body wali candle jis ki shadow body sy dogna bari ho vo bane tu ous ko inverted hammer candle stick pattern bolty hn is sy next candle agar is k open price
    high mn open hoti h tu ous waqt ap ny buy ki entry leni h our is k neechy stop loss lagna h inverted hammer candle k bane sy market ki moment mn changing ati
    h ap ko sai waqt ka intzar kr k entry leni h agr ap is per entry lien gy tu aik lambu trade krny ko milti jis sy ap axha profit hasil kar sakty hn our main umeed krta
    hon dosto k aj jo kuch mainy apko is inverted hammer candle stick pattern k bary mn btaya vo ki trading mn bhot helpful hoga.

    Thanks 😊

  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalamu Alaikum Dosto!
    Inverted Hammer Candle
    Inverted Hammer candle hammer candle k ulat yanni opposite direction main same low price ya bearish trend k bottom main banti hai, jo k "Inverted Umbrella Candle" family se taluq rakhti hai. Inverted Hammer candle ki banne ki wajja ye hotti hai, k bearish trend k baad qeematen bearish trend ko khtam karne k chakkar main temporary upward par challi to jatti hai, lekin wo is tasalsul ko maojoda timeframe k dowran barqarrar nahi rakh patti hai, jis ki waja se candle k upper side par aik bara shadow ban jatti hai. Inverted hammer candle main shadow candle k body k upper side pe bantta hai, jab k normal "Hammer Candle" main shadow candle k body k lower side par hotta hai. Jab k candle ki aik small real body hoti hai, jiss main prices ka open aur close same nahi hota.
    Candle Formation
    Inverted hammer ki real body zarori nahi k kisi khas pattern ya color main hon, q k iss ki position ziada aham hai, jo k prices ka bottom honna chaheye, aur uss k sirf upper side par aik long shadow honi chaheye. Ye candle long upper shadow aur small real body par mushtamil hoti hai. Jiss ki tafseel darjazzel hai; Inverted Hammer candle prices k lower side par kisi bhi color ki ho saktti hai. Ye candle aggar black/red main bantti hai, to ye bearish candle hogi, jab k white/green main banne par candle bullish hoggi. Prices ka downtrend honne ki wajja se candle jiss color main bhi bantti hai, is ki hasseyyat bullish candle ki hi hoggi.
    Explaination
    Inverted Hammer candle "Inverted Umbrella Candle" family se talluq rakhtti hai, jo dekhne main same "Shooting star candle" jaisi hai, lekin prices ki position completely mukhtalif hoyi hai, yanni inverted hammer candle prices k bearish trend ya lower bottom main banti hai. Inverted hammer candle ki small real body k sath upward side par candle ki aik barri shadow ya wick hotti hai. Inverted hammer candle aggar prices k top par bannti hai to ye "Shooting Star Candle" kehllati hai, aur is ki hasseyat bearish trend ki hotti hai, jab k shadow down side par hone ki waja se ye Hammer candle ban jati hai. Normal hammer candle bhi prices k leye bullish trend reversal ka kaam karti hai, jo k hanging man candle k opposite direction main banti hai, jab k inverted hammer bhi bullish trend reversal candle shumar hoti hai agar ye bottom price main banti hai. Inverted Hammer candle ka sayya ya shadow candle k real body k top par honne ki waja se candle "hammer candle" se mukhatleff dekhaye detti hai. Lower side par small wick to ho sakti hai lekin ziada large na ho, jiss se candle ki shape badal jaye.
    Trading
    Inverted hammer candle uss waqat prices k top par vanti hai jab buyers prices ko aik khas waqfay k leye bullish push karte hen, lekin sellers ki market main abhi tak maojoodgi ki waja se ye wapis bearish a jati hai. Ye pattern aggar long timeframe main aur lower prices main bantti hai, to candle aik strong bullish signal genrate kartta hai. Single candle trend following k leye riski hai, iss waja se inverted hammer candle k leye bullish candle ka hona zarori hai. Inverted hammer k baad banne wali bullish candle par market main buy ki entry ki ja saktti hai. Inverted hammer candle se agar prices bullish movement karti hai to iss par trade k opening k dowran candle k real body k lower side par two pips below Stop Loss set karen.

    اب آن لائن

    Working...
    X