What is Bullish Harami candlestick pattern?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is Bullish Harami candlestick pattern?
    Assalamualaikum aj is thread me apko me Pakistan forex trading ke ak bhot he important topic BBullish Harami candlestick patterns ki importance ke bare meBtao ga or me umeed karta ho ke jo information me apse share karo ga wo apke knowledge or experience me zaror izafa kare ge.

    What is Bullish Harami Candlestick?
    Aik taizi harami aik bunyadi candle stuck chart patteren hai jo is baat ki nishandahi karta hai ke kisi asasa ya market mein mandi ka rujhan tabdeel ho sakta hai .

    Key Takeaways
    Aik taizi harami aik candle stuck chart indicator hai jo reechh ke rujhan mein ulat phair ko dekhnay ke liye istemaal hota hai. yeh aam tor par qeemat mein aik chhota sa izafah ( aik safaid mom batii ke zareya ishara kya jata hai ) se zahir hota hai jo pichlle do dinon se di gayi aykoyti ki qeemat mein kami ki harkat ( siyah mom btyon ke zareya ishara ) ke andar shaamil hosakti hai .

    Understanding
    Aik taizi harami aik candle stuck chart indicator hai jo batata hai ke mandi ka rujhan khatam ho raha hai. kuch sarmaya car taizi ke harami ko aik achi alamat ke tor par dekh satke hain ke inhen kisi asasay par lambi position mein daakhil hona chahiye. candle stuck chart aik qisam ka chart hai jo security ki karkardagi ko track karne ke liye istemaal kya jata hai, jis ka naam chart mein dekhaya gaya mustateel shakal ke liye rakha gaya hai, jis mein oopar aur neechay se lakerain phaily hui hain, jo mom batii aur VICKS se millti jalti hain. aik candle stuck chart aam tor par aik din ke stock ki qeemat ke adaad o shumaar ki numaindagi karta hai, Bashmole iftitahi qeemat, ikhtitami qeemat, ziyada qeemat, aur kam qeemat. harami namonon ki shanakht ke khwahan sarmaya karon ko pehlay candle stuck charts mein report kardah rozana market ki karkardagi ko dekhna chahiye. harami patteren trading ke do ya ziyada dinon mein ubhartay hain, aur aik taizi wala harami ibtidayi mom btyon par inhisaar karta hai taakay is baat ki nishandahi ki ja sakay ke qeemat mein kami ka rujhan jari hai, aur yeh ke aik mandi wali market qeemat ko neechay dhakel rahi hai .

    Click image for larger version

Name:	download (2).png
Views:	26
Size:	2.0 کلوبائٹ
ID:	12598118
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: What is Bullish Harami candlestick pattern?

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Bullish Harami Pattern


    Bullish harami line pattern jo k bullish engulfing pattern k opposite direction main banta hai, two days candles par mushtamil hota hai. Ye pattern prices k bottom ya low price main banta hai, jo k bullish trend reversal pattern ka kaam karta hai. Pattern dekhne main same bullish homing pigeon pattern se mushabehat rakhta hai, aur ye dono patterns prices k leye bullish trend reversal pattern ka kaam karte hen. Ye pattern bearish aur bullish candles se mel kar bana hai, jiss main bullish candle bearish candle k real body main banti hai, yanni pattern ki pehli bearish candle dosri bullish candle se real body main lazmi bari honi chaheye. Even k dosri candle ka high aur low size main pehli candle k open aur close se kam hota hai.

    Click image for larger version

Name:	16.png
Views:	5
Size:	13.0 کلوبائٹ
ID:	12458007

    Candles Formation


    Bullish harami candlestick pattern prices k bottom ya lower prices par high demand ki waja se banta hai, jahan par do candles prices ki trend change ka aik positive signal deta hai. Pattern ki dono candles real body main banti hai, aur market ki current supply aur demand ki akasi karti hai. Pattern main shamil candles ki formation darjazel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	harami-bull-1024.jpg
Views:	13
Size:	56.6 کلوبائٹ
ID:	12458009

    1. First Candle: Bullish harami candlestick pattern ki pehli candle aik bearish candle hoti hai, jo k market main maojood current trend ki akasi karti hai. Ye candle prices ko lower side par push karti hai, jiss main candle ka close price open price se lower side par hota hai. Ye candle shadow samet ya shadow k bagher bhi ho sakti hai.

    2. Second Candle: Bullish harami candlestick pattern ki dosri candle aik small real body wali bullish candle hoti hai. Ye candle pehli candle k real body main banti hai, jiss se wo prices ko mazeed downward jane se rokti hai. Bullish candle market main current bearish trend ka khatma karti hai, aur prices ko aik new semat deti hai, jo k bullish trend reversal hota hai.

    Explaination


    Bullish harami pattern two days k candles par mushtamil aik bullish reversal pattern hai, jis me pehle din ki candle aik long bearish candle hoti hai, jo k market me pehle se maojood trend k mutabiq banti hai, jab k dosre din ki candle aik small bullish candle hoti hai, jo k open aur close bearish candle ki real body k Inside hoti hai. Dosre din ki candle bullish trend k aghaz k sath sath bearish trend k ikhtetam ka bhi bahis banti hai. Pattern ki pehli candle prices ko downward push karti hai, jo k market par sellers ka control zahir karti hai, jab k dosri candle prices ko mazeed nechay jane se rokhti hai aur prices k current bearish trend ka khatma karke market ka control buyers k hathon muntaqil karti hai. Pattern ki dosri pori candle lazmi pehli candle ki real body main banni chaheye.

    Click image for larger version

Name:	images (5).png
Views:	40
Size:	2.7 کلوبائٹ
ID:	12458008

    Trading


    Bullish harami pattern jahan traders ko buy ka signal deta hai, wahan pe trend reversal hone par humen market se exit hone k bare main bhi batata hai. Ye pattern downtrend me banta hai, jahhan pe prices bohut lower par trade kar rahi hoti hai. Pattern pe trade karne se pehle prices ka downtrend aur trend confirmation lazmi confirm hona chaheye. Agar pattern k baad teesri candle bhi bullish banti hai, to ye position market me buy ki entry ka hoga. Pattern ki confirmation indicators jaise RSI, CCI indicator aur stochastic oscillator par value oversold zone main hone se confirm hota hai. Stop Loss pattern k sab se lower point ya pehli bearish candle k low price se do pips below rakhen.

    Click image for larger version

Name:	17.png
Views:	4
Size:	18.1 کلوبائٹ
ID:	12458006

    اب آن لائن

    Working...
    X