What is Morning Star

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is Morning Star
    What Is a Morning Star?Aoa dosto kessay ho aap sab log umeed karta hon aap log thek hongay or apka traidind jurney kafi achay ce ja raha hoga to ab atay hen apnay aaj ka topic par. subah ka sitara aik basri namona hai jo teen mom btyon par mushtamil hota hai jisay takneeki tajzia car taizi ke nishanaat se tabeer karte hain. neechay ki taraf rujhan ke baad subah ka sitara bantaa hai aur yeh oopar ki taraf charhne ke aaghaz ki nishandahi karta hai. yeh pichlle qeemat ke rujhan mein ulat jane ki alamat hai. tajir subah ke setaaray ki tashkeel ko dekhte hain aur phir is baat ki tasdeeq karte hain ke izafi isharay ka istemaal karte hue waqai aik ulat phair ho raha hai. aik chhota sa jism aur lambi chorrie, aur teesra lamba safaid mom batii .subah ke setaaray ki darmiyani mom batii bazaar ki be aitnai ke aik lamhay ko apni girift mein le layte hai jahan reechh belon ko rasta dena shuru kar dete hain. teesri mom batii ulat jane ki tasdeeq karti hai aur aik naye up trained ko nishaan zad kar sakti hai .subah ke setaaray ka mukhalif patteren shaam ka sitara hai, jo oopri rujhan ke ulat jane ka ishara karta haiWhat Does a Morning tell you? subah ka sitara aik hai basri namona, lehaza injaam dainay ke liye koi khaas hisaab nahi hai. subah ka sitara aik teen mom batii ka namona hai jis mein doosri mom batii par kam point hota hai. taham, kam nuqta teesri mom batii ke band honay ke baad hi zahir hota hai .subah ka sitara aik teen mom batii ka namona hota hai jis mein doosri mom batii par kam nuqta hota hai. taham, kam point sirf teesri mom batii ke band honay ke baad zahir hota hai. ( rsi ) yeh zahir kar raha hai ke stock ya commodity ziyada farokht hui hai .yahan subah ke setaaray ka patteren aisa lagta hai :Click image for larger version

Name:	IMG_20230312_003707.jpg
Views:	1
Size:	97.1 کلوبائٹ
ID:	12597517mom btyon ke liye subah ke setaaray ke baray mein note karne wali ahem baat yeh hai ke darmiyani mom batii siyah ya safaid ( ya surkh ya sabz ) ho sakti hai kyunkay khredar aur baichnay walay session ke douran tawazun qaim karna shuru kar dete hain .
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalamu Alaikum Dosto!
    Morning Star Candlestick Pattern
    Morning star candlestick pattern prices chart par sellers ki market main dilchaspi khatam hone aur market ka buyers k hathon main jane ka aik strong bullish trend reversal pattern hai, jo teen candles par mushtamil hota hai. Ye pattern prices k bottom par ya low prices area main banta hai. Ye pattern teen candles ka hone ki waja se single candle pattern ya double candles patterns ki nisbat ziada picheeda aur dilshasp hota hai. Ye pattern wese single day candle aur two days candlestick ki nisbat price chart pat bohut kam dekhte hen, lekin un ki nisbat ye karkardagi main ziada reliable hote hen.
    Candles Formation
    Morning star candlestick pattern ka shumar bhi bullish trend reversal pattern main hota hai, jo k prices k bottom ya bearish trend k baad banta hai. Morning star candlestick pattern main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
    1. First Candle: Morning star candlestick pattern ki pehli candle aik long real body wali bearish candle hoti hai, jo k prices k sabeqa bearish trend ki alamat hoti hai. Ye candle color main black ya red hoti hai, jiss real body shadow ki nisbat ziada hota hai.
    2. Second Candle: Morning star candlestick pattern ki dosri candle aik small real body wali candle hoti hai, jo ziada tar Spinning top candle hoti hai. Ye candle small real body k sath small upper aur lower shadow k sath hoti hai. Ye candle bullish ya bearish dono tarah se ho sakti hai.
    3. Third Candle: Morning star candlestick pattern ki teesri candle aik bullish candle banti hai, jo k sabeqa bearish trend ka khatema karke new bullish trend reversal ka sabab banti hai. Ye candle strong bullish candle hoti hai, jiss ka upper ya lower side par small wick ho sakti hai, lekin ye spinning top candle se above side par gap main banna chaheye.
    Explaination
    Morning star candlestick pattern price chart k bottom par ya bearish trend k baad banta hai, jo k teen candles par mushtamil hota hai. Pattern ki pehli candle aik bearish candle hoti hai, jo k prices k bearish ya bottom trend ki alamat hoti hai. Ye candle aik strong position par hoti hai, jo prices ko downward push karti hai. Pattern ki dosri candle aik small real body wali candle hoti hai, jo k ziada tar aik Spinning top candle hoti hai. Ye candle pehli candle k bottom par banti hai, aur ye candle wese to yahan par neutral role play karti hai, lekin iss ka shumar aik bullish candle k tawar kia jata hai. Pattern ki akhari candle aik bullish candle hoti hai, jo k dosri candle k top par banti hai. Ye candle bullish trend reversal ka kirdar ada karti hai.
    Trading
    Morning star candlestick pattern prices k bottom par banne ki waja se bullish trend reversal k leye aik strong signal deta hai, jiss par traders market main buy ki entry kar sakte hen. Pattern par trading karne se pehle traders k leye aik confirmation candle ki zarorat pare gi. Ye confirmation candle real body main bullish bhi honi chaheye aur teesri bullish candle k top par close bhi honi chaheye. Pattern k baad bearish candle banne se pattern par trading loss ka bahis ban sakti hai. Jab k pattern ki confirmation CCI, RSI, MACD indicator aur stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jiss par value oversold zone main honi chaheye. Stop Loss pattern k sab se bottom par ya dosri candle k low price se two pips below set karen.

    اب آن لائن

    Working...
    X