What is falling three method candlestick pattern?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is falling three method candlestick pattern?
    INTRODUCTION
    Dear buddies asalamo alykum kesay hain ap sab umeed hay ap sab tek hon gay aur aap ka trading week bhi acha ja rha ho ga.yeh pattern*aur indicator humari trading main bht important role play karty hain.yeh humain profit delany main bht madad karty hain. Hum agr in ki learning nai krain gay aur in ko fazool samjyn gay to kbi bhi kamyabi humary kadam ni choomy gi aaj hum jis topic per bat krain gay wo hai falling three candlestick methods.Falling three candlestick pattern price chart kay bearish trend yah low prices main us waqat banta hai,jab market par bulls aik nakam koshish karty huway prices ko bullish trend reversal karnay ki koshish karti hain,jis kay result main prices bears market ka control dobara hasil karti hain aur bulls kay jo thori buht imkanat they,trend reversal kay wo sare khatam ho jati hain.*


    Click image for larger version

Name:	images (8).png
Views:	1
Size:	12.6 کلوبائٹ
ID:	12597495


    UNDERSTANDING FALLING THREE METHOD IN FOREX
    Forex trading main"falling three Methods"aik bearish candlestick pattren hai.yeh aik tasalsul ka namona hai jisay aik mukhtasir waqfay yah istehkam kay bad mumkina kmi ki trend ki nishan dahi karny kay liye istemaal kiya ja sakta hai.
    Falling Three Methods kay sath trading main chart pr pattren ki nishandahi karnay aur is ka istemaal bearish kay trend ki tasdeeq karna aur mumkina mukhtasir positions ko talash karna shamil hai.Falling Three Methods tareeqon ke patteren ke sath trading karny k liye kuch iqdamaat yeh hain aur is ko sai samaj kar hi kam karnay say profit hasil kar sakta hai.
    Chart par falling three method ke pattren ki shanakht karin. opar bayan kardah khususiyat kay sath five candlestick talash karin.5th candlestick kay band honay ka intzar kar kay patteren ki tasdeeq karin.is baat ko yakeeni banayn kay 5th candlestick 1st candlestick kay nichale hissay se neechay band ho.1st candlestick ki onchai kay opar aik stop loss order kay sath aik mukhtasir position darj karin.agar trading ap kay khilaaf jati hai to stop loss order mumkina nuqsanat ko mehdood karnay main madad kary ga.Apne risk reward ratio ki bunyaad par take profit ka hadaf muqarrar karin.hadaf ka taiyun karny kay liye ap technical indicator,support aur muzahmat ki level yah deegar methid istemaal kar satkat hain.Trading ki nigrani karin aur zaroorat kay mutabiq stop loss aur take profit orders ko adjust karin.Falling three Method aik candlestick pattern hai aur is ko falling three method candlestick pattern bhi kahta hain yah falling three pattern humin market ka chart price chart me dakhna ko mil jata hai aur yeh falling three pattern market ka chart main ban kar market main aik strong signal ko deta hai.Yah falling three method candlestick pattern market ka chart main tab banta ha jab market ki price lower ki traf ja rahi ho gi aur yah pattern ban kar market ka downward ki traf jana main aik strong strength ko banaye ga aur is main market aur strongly downward ki traf jaye ge yani k yah falling three method pattern market ka trend ko continue karna ka kam karay ga.


    Click image for larger version

Name:	images (10).jpeg
Views:	4
Size:	24.0 کلوبائٹ
ID:	12597496
    Last edited by ; 11-03-2023, 10:38 PM.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalamu Alaikum Dosto!
    Falling Three Methods Pattern
    Falling three methods pattern k shumar bearish trend continuation pattern main hota hai, jiss main panch candles mukhtalif formate k prices k bearish trend k dowran bante hen. Ye pattern bearish trend k dowran banta hai, ya newly bearish breakout trend ko mazeed downward push karta hai. Pattern k banne ki psychology kuch iss tarah se hoti hai, k bearish trend k dowran bulls market k trend ko tabdeel karne ki koshash karte hen, lekin ye koshash iss waja se nakam hoti hai, q k bullish candles ziada strong real body main nahi banti hai, jiss se saaf zahir hota hai, k bulls market main dilchaspi nahi le rahe hen, aur akher main market apne sabeqa bearish trend ko hi follow karna shoro karti hai.
    Candles Formation
    Falling three methods trend bearish continuation pattern ki waja se prices k downtrend ya newly bearish breakout trend main banta hai. Ye pattern panch candles par mushtamil hota hai, jiss main candles ki formation darjazzel tarah se hote hen;
    1. First Candle: Falling three methods ki pehli candle aik bearish candle hoti hai. Ye candle aik long real body main banti hai, jiss k upper aur lower side k wicks ya shadow real body se kam hona chaheye. Ye candle bearish trend ki alamat hoti hai, jo k black ya green color main banti hai.
    2. Second Candle: Falling three methods ki dosri candle aik bullish candle hoti hai, jiss ki real body bohut small hoti hai. Ye candle pehli candle k real body main bottom par banti hai, yanni candle ka open aur close pehli candle k andar hota hai.
    3. Third Candle: Falling three methods ki teesri candle bhi aik real body wali bullish candle hoti hai, aur same dosri candle ki tarah small bhi hoti hai, jiss ka open aur close pehli candle k andar hota hai. Ye candle dosri candle k nechay aur pehli candle k real body main banti hai.
    4. Fourth Candle: Falling three methods ki forth candle bhi dosri aur teesri candle ki tarah bullish bhi hoti hai aur small real body main hoti hai. Ye candle teesri candle k baad upper banti hai lekin ye candle bhi same dosri aur teesri bullish candles ki tarah pehli candle k andar hota hai.
    5. Fifth Candle: Falling three methods ki last candle bearish hoti hai, jo k pehli candle ki taqreeban parallel main banti hai, lekin open forth candle k baad hoti hai, jab lower side par ja kar close hoti hai. Ye candle black ya red color main hoti hai, jo k bearish trend continuation ka kaam karti hai.
    Explaination
    Falling three methods pattern bearish trend ko mazeed downward le kar jata hai, jiss se prices ka trend reversal hona mumkin nahi ho pata hai. Ye pattern panch candles par mushtamil hota hai, jiss ki pehli candle aik bearish candle hoti hai, jab baad wali teen lagatar bullish candles hoti hai, jo k pehli candle se size main bohut kam hoti hai aur ye sari candles pehli candle k inside banti hai. Pattern k last ya fifth candle aik baar pher aik bari real body wali bearish candle hoti hai jo k market par bullish asarat ko khatam karke same bearish trend ko continue karwati hai. Pattern ki pehli aur akhari candles aik bari real body wali bearish candles hoti hai, jo k prices ko downward push karti hai, jab k darmeyan main banne bullish candles bearish trend k darmeyan waqfa peda karti hai.
    Trading
    Falling three candlestick method prices k bearish trend ko mazeed downward le jane ka kaam karta hai. Ye pattern dosre trend reversal pattern ki nisbat ziada reliable aur qabele bharosa pattern hai. Pattern par trading se pehle aik bearish confirmation candle ka hona zarori hai, jo k panchwen bearish candle k lower par close honi chaheye. Pattern ki confirmation indicators se bhi ki ja sakti hai, jaise CCI, RSI, MACD indicator aur stochastic oscillator par value darmeyan se nechay trade honi chaheye. Pattern k baad bullish candle banne ki sorat main pattern trading k leye kar-amad nahi rehta, iss waja se sell ki entry na karen. Stop Loss pattern k sab se top position ya pehli candle k open price se two pips above set karen.

    اب آن لائن

    Working...
    X