Bollinger*Bands*Indicator Useful Info About Trading
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bollinger*Bands*Indicator Useful Info About Trading
    Working of Bollinger Band Indicator ;-

    Bollinger*bands*market price ka aik aisa envelope hota hay jis may market ki price move kerti hay or ager is ki baat ki jaey to Bollinger*Bands*indicators ko bollinger name k banday nay develop kiya tha Bollinger*Bands*indicator*main upper and lower levels hotay hain jo keh positive or negative standard deviation hotay hain or central level "simple moving average" jo past 20 periods ki price ka average show kerti hay.

    Performance Of Bollinger Band ;-

    Bollinger*Bands*Indicator Best or useful knowledge or experience walay indicators may say aik or sab say useful hay.Bollinger*Bands*Indicator k related apna knowledge ap ka sath share ker raha hoon.Forex trading k liye sab hi traders "Metatrader-4/5" app use ker rehay hain.Is main traders k liye boht important or trade k doran help kerna walay best tools hain jin k related knowledge hona hamari trade main loss ko kafi hadd tak minimise or profits ko maximize ker deta hay.

    Click image for larger version

Name:	images (13).png
Views:	2
Size:	24.2 کلوبائٹ
ID:	12596951

    Indicators bhi un sab helping tools main say aik important technical tools hain jo keh traders ko market ko analyse kerna main boht zeyada help kertay hain. Technical indicators ko market price chart main hi place kiya jata hay or trader jab technical analysis kerta hay to indicators traders ko market price chart main accuracy k sath Trade entry or trade exit point k baray main acha or helpful role pay kerta hay. Is liye strong technical analysis k liye indicators ka complete knowledge hona hi zrori hay.

    Click image for larger version

Name:	images (16).jpeg
Views:	20
Size:	33.0 کلوبائٹ
ID:	12596952

    Basic Pounts of Bollinger Band ;-

    1)--Jab bhi market price upper ya lower band ko touch kerti hay to yeh phir doosray band ki taraf move kerna start kerti hay. Market price ki*bands*k dermiyan movements ki swings per trading ker k aik acha benefit hasil kar saktay hain. Is swing ko scalping strategy main use kar k traders boht hi acha profit hasil ker letay hain. Is liye favorite*indicator may say Bollinger*bands*indicators aik hay or is main swing per short term trading kertay hain.

    2)--Bolling*bands*indicator*kah bands*k dermiyan distance ager normal say zeyada ho raha ho to is ka matlab yeh hay keh market ka cuurent trend reverse hona wala hay or is per traders long term ki trade apply ker saktay hainn

    Click image for larger version

Name:	images (14).png
Views:	6
Size:	21.7 کلوبائٹ
ID:	12596953

    3)--Ager market price*Bands*ko move-out kar jaey to is ka matlab hay keh market price ka current trend further continue may hi rahay ga or yeh market trend ki continuation ka best signal hota hay.

    Bollinger*Bands*ka use boht hi easy hay ager traders is k related sara knowledge complete learn ker lain to traders ko boht acha profit mil skata hay.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Bollinger*Bands*Indicator Useful Info About Trading

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Bollinger Band Indicator


    Moving Average Convergence/Divergence indicator yani MACD indicator aik momentum oscillator hai, jo bunyadi tawar par trend par trading k leye istemal hota hai. MACD indicator aik oscillator hone k bawajood bhi over-bought aur over-sold position ki indification k leye istemal nahi hota hai. Ye chart par two lines se zahir hota hai, jiss k upper ya lower sides par koi khas levels ya hodod nahi hote hen. Dono lines ka cross over moving average system ki tarah trading signals deta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (6) (5).jpeg
Views:	22
Size:	16.7 کلوبائٹ
ID:	12456813

    How MACD indicator Works

    Moving Averages ki tarah MACD indicator bhi same cross over tareeqay kar par kaam karta hai, asal main MACD indicator bhi moving average family se taluq rakhta hai, q k ye bhi moving averages ka hi istemal karta hai, MACD Indicator ki tafseel darjazzel hai;
    • Agar MACD zero ko upper side par cross kar deta hai, to ye bullish consider hoga, jab k nechay ya below cross karne par bearish hoga. Dosra agar MACD nechay ya below se zero ki taraf jata hai, to ye bullish hoga, jab k upper se zero ki taraf ana iss ko bearish shumar kia jayega.
    • Jab MACD line signal line ko nechay se upper ki taraf cross karti hai, to is indication ko bullish qarar deya jata hai, jitna ye zero se nechay hoga, utna hi signal ziada mazbot hoga.
    • Jab MACD indicator line signal line ko upper se nechay ki taraf cross karti hai, to is indication ko bearish qarar deya jayega, jitna ziada ye zero se upper hoga utna hi signal ziada strong hoga.
    • Range trading k dowran MACD indicator whipsaw karta hai, tez raftar line signal line k agay pechay cross karti hai. MACD indicator istemal karne wale traders is soratehal main trading se gurez karte hen, ya wo iss dowran range trading main apne trades close karte hen. MACD indicator aur price action k divergence k darmeyan faraq aik strong signal hai, jab ye cross over signal ki tasdeeq karta hai.


    Click image for larger version

Name:	images (6) (4).jpeg
Views:	20
Size:	33.0 کلوبائٹ
ID:	12456814

    Calculation

    MACD indicator ki calculation main two moving averages, 26 Exponential Moving Average aur 12 Exponential Moving Average ka istemal kia jata hai. 12 (EMA) se 26 (EMA) ko tafreeq kia jata hai. Short EMA teezi k sath long EMA k qareeb aur uss se door jata hai. Iss ki waja se MACD indicator line zero ki satah k ird gerd ghomti hai. MACD line k sath 9 period EMA ki aik signal line banye jati hai.
    MACD indicator ki upper calculation indicator main by-default set hoti hai, yanni traders apni marzi aur trading strategy k mutabiq apni settings tabdeel kar sakte hen. Long term k trader ziada time frame k moving averages jab k short term k traders small moving averages ka istemal kar sakte hen.

    Click image for larger version

Name:	images (4) (15).png
Views:	8
Size:	25.7 کلوبائٹ
ID:	12456815

    Trading


    MACD indicator par trading karne se pechle apni trading strategy k mutabiq settings zarori hai, agar ye indicator by-default setting par istemal karna ho to bhi short aur long term ki trading k leye thek hai. Jab bhi indicator main short term yanni 12 EMA line 26 EMA lone ko nechay se upper ki taraf cross karti hai, to ye aik sell ka signal genrate karti hai, jab k agar same line upper se nechay ki taraf ho to ye aik buy ka signal hoga.
    Traders ziada tar trend confirmation par trading ko tarjeeh dete hen, to jab bhi indicator main cross over ho aur price action bhi uss ki confirmation den tab hi market main entry karen, ya MACD indicator ko dosre indicators k sath istemal karen. Ye aik reliable indicator hai jo ziada tar leading indicators k twar par kaam karta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (6) (6).jpeg
Views:	5
Size:	48.9 کلوبائٹ
ID:	12456812

    اب آن لائن

    Working...
    X