Assalamu Alaikum Dosto!
Three Inside Down Candlestick Pattern
Three Inside down aik modified trading pattern hai, Jab bhi kiai assets ki prices bohut high level par a jati hai, to uss waqat aksar prices bearish trend reversal jane ki koshash main hoti hai, jiss k leye prices ko aik candlestick pattern aisa chaheye hota hai, jiss se prices se pehle humen trend reversal ki indication mel jati hai. Three Inside down candlestick pattern teen candles par mushtamil aik bullish trend reversal pattern hai, jo k prices k top ya bullish trend k baad banta hai, jiss par ziada tar prices apne trend ko badal deti hai. Pattern k aghaz k do candles aik bearish harami pattern jaise hote hen, lekin baad main aik bari real body wali bearish candle banti hai, jo k pehle do candles k bottom par close hoti hai, jo k bearish trend reversal ka sabab banti hai.
Candles Formation
Three Inside down candlestick pattern prices k top par bearish trend reversal ka zarya hota hai, jo k teen candles par mushtamil hota hai. Pattern ki pehli candle aik bullish candle hoti hai, jab k baad wali do candles bearish candles banti hai. Pattern main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
1. First Candle: Three inside down candlestick pattern ki pehli candle aik bullish candle hoti hai, jo k prices k market main pehle se chal rahe bullish trend ko show kar rahe hote hen. Ye candle aik long real body main hoti hai, jo k color main white ya green candle banti hai.
2. Second Candle: Three inside down candlestick pattern ki dosri candle aik real body wali bearish candle bantti hai, no k length main pehli candle se kam hoti hai, q k ye candle pehli candle k real body main banti hai. Ye candle prices k mazeed nachay jane se rokne ka sabab banti hai. Ye candle color main black ya red banti hai.
3. Third Candle: Three inside down candlestick pattern ki last aur teesri candle aik real body wali bearish candle hoti hai, jo k dosri candle se length main ziada hoti hai. Ye candle dosri candle k baad downside par open ho kar pehli aur dosri candle k bottom par close hoti hai. Ye candle bhi same dosri candle ki tarah color main black ya red hoti hai, jo bearish trend reversal pattern ka sabab banti hai.
Explaination
Three inside down candlestick pattern k pehle do candles dekhne main bearish harami pattern jaise hote hen, jab k teesi candle aik bearish confirmation candle hoti hai, jo k pehle dono candles k bottom par ja k close hoti hen. Pattern ki pehli candle aik long real body wali bullish candle hoti hai, jiss k baad aik small real body main bearish candle banti hai, jiss ka open aur close dono pehli candle k andar hota hai. Pattern ki last aur teesri candle aik long real body wali bearish candle hoti hai, jo k dosri candle k baad low par open ho kar pehli aur dosri candle k bottom par ja k close hoti hai . Ye candle prices ko downward ki taraf push karti hai, jo k trend reversal ka sabab banti hai.
![Click image for larger version
Name: images (2).png
Views: 3
Size: 9.9 کلوبائٹ
ID: 12596893](https://investsocial.com/ur/filedata/fetch?id=12596893&d=1676601891)
Trading
Three inside down candlestick pattern k pehle do candles dekhne main bearish harami pattern jaise hote hen, jab k teesi candle aik bearish confirmation candle hoti hai, jo k pehle dono candles k bottom par ja k close hoti hen. Pattern ki pehli candle aik long real body wali bullish candle hoti hai, jiss k baad aik small real body main bearish candle banti hai, jiss ka open aur close dono pehli candle k andar hota hai. Pattern ki last aur teesri candle aik long real body wali bearish candle hoti hai, jo k dosri candle k baad low par open ho kar pehli aur dosri candle k bottom par ja k close hoti hai . Ye candle prices ko downward ki taraf push karti hai, jo k trend reversal ka sabab banti hai.
Trading
Three inside down candlestick pattern buyers ki market main bohut ziada buying pressure k baad prices k top main banta hai. Pattern ki pehli candle k mutabiq buyers prices ko mazeed bullish push karne ki koshash karte hen, lekin dosri candle aik small real body wali bearish candle hoti hai, jiss ka open aur close dono pehli candle k andar hote hen. Ye candle prices ko mazeed upward jane se rokte hen, jiss k baad aik bari real body wali bearish candle banti hai, jo k trend reversal ka sabab banti hai. Pattern k teesri candle k baad market main sell ki entry ki ja sakti hai jab bhi ye candle pehli aur dosri candle k bottom par close hoti hai to. Pattern ka long term timeframe main hona chaheye, jab k Stochastics aur CCI oscillators overbought area main hona chaheye. Stop Loss pattern k sab se top position ya pehli candle k high se two pips above set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим