Assalamu Alaikum Dosto!
Bullish Meeting Pattern
Bullish meeting line pattern k aghaz main market ain normal bearish trend main downward movement kar rahi hoti hai. Lekin trend k akher main aik bullish candle pechle din ki candle se nechay gap main open ho kar ussi k closing point par close hoti hai. Ye pattern two days candles ka hota hai, jiss main pehli bearish candle hoti hai aur uss k baad agli din ki candle aik bullish candle hoti hai. Ye dono candles aik dosre se opposite direction main open ho kar same aik hi point par close hote hen. Dono candles k closing price ka aik dosre se same piint par melne ki waja se iss pattern ko meeting line pattern kaha jata hai.
Candles Formation
Bullish meeting line pattern market main prices par bearish ka asarat ko khatam karne ki koshash karte hen, jo k do candles ka aik trend reversal pattern hai. Pattern main candles k opening prices aik dosre k opposite hona aur closing price same hone se ye aik qisam ka unique pattern ban jata hai, jiss main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
1. First Candle: Bullish meeting line pattern main shamil pehli candle bearish hoti hai, q k ye pattern aik bearish trend k akher main banta hai, to ye candle color main black ya red hoti hai. Ye candle aik strong real body main honi chaheye.
2. Second Candle: Bullish meeting line pattern ki dosri candle bullish candle banti hai. Ye candle pehli candle se nechay gap main open ho kar ussi k closing price par close ho jati hai. Pattern ki ye candle aik white ya green color main hoti hai, jo k trend reversal ka sabab banti hai.
Explanation
Bearish trend main banne wala bullish meeting line pattern aik bullish trend reversal pattern hai jiss se market main prices apne current trend ko change karne ka muqa melta hai. Ye pattern two days candles par mushtamil hota hai. Jo dekhne main Belt-Hold Line Pattern se mushabehat rakhta hai. Pattern ki pehli candle aik strong bearish candle hoti hai, jiss se sabeqa bearish trend ki akasi bhi hoti hai aur prices k downtrend ka bhi ishara melta hai. Bearish candle ko aik strong bullish candle follow karti hai, jo k open to nechay gap main hoti hai, lekin close same bearish candle k closing price par hoti hai. Pattern ki pehli aur dosri candle k prices k closing point same hone ki waja se iss pattern ko meeting line pattern kaha jata hai.
Trading

Bullish meeting line pattern main pehli candle aik bearish candle hoti hai, jo k sabeqa downtrend ki alamat hoti hai. Jab k pattern ki dosri candle aik strong bullish candle hoti hai, jo open to pehli candle k lower par hoti hai, lekin close pehli candle k same closing point par hoti hai. Pattern ki pehli candle k closing price aur dosre candle k opening point k darmeyan gap banta hai, lekin wo mehsos iss waja se nahi hota, q k bullish candle ki real body uss gap ko cover karti hai. Pattern par trading k leye zarori hai, k dosri bullish candle k baad aik aur real body wali white candle honi chaheye, jo pehli candle k midpoint se above close ho jaye. Stop Loss pattern k sab se lowest point ya bullish candle k opening point se two pips below set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим