Concepts of high price gaping pattern

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Concepts of high price gaping pattern
    Introduction of High Price Gaping Pattern:

    Dear forex fellows aj mein ap ko aik bhout important patter k related information provide kerny ki koshish kro ga.yeh pattern market mein trading ky raelated ap ki bhout help kery ga. dear friens es patter ka name High price gapping pattern hy, yeh price chart par prices k uptrend main continuation k leye jana jata hai, jo k high prices ya bullish trend k baad banta hai. High price gapping pattern five candles par consist hota hy.yeh aik bullish trend continuation pattern hai, jiss main shamil pehli candle aik strong bullish candle hoti hai, jo aik long real body main banti hai. Pehli candle k baad teen small real body wali bullish aur bearish mix up candles hoti hai, jiss ka open aur close dono pehli candle k andar hoti hai. Ye teeno candles pehli candle k open aur close price se bahir nahi nikati hein. Teeno small candles prices ko waqti tauar par mazeed bullish jane main resist kerti hain. Pattern k last par aik aur long real body wali bullish candle hoti hai, jo small candles se top mein banti hai aur dosra ye prices ko last trend means bullish trend mein continuation k leye path provide karwati hain.
    Click image for larger version

Name:	4.png
Views:	1
Size:	1.3 کلوبائٹ
ID:	12596682
    Description Of High Price Gaping Pattern:

    Forex market mein High price gapping pattern trend bullish continuation pattern ki waja se prices k uptrend ya newly bullish breakout trend main craete hota hai. Yeh pattern 5 candles par form up hota hay1st Candle. High price gapping play pattern ki pehli candle aik bullish candle hoti hai. Ye candle aik long real body main banti hai, jiss k upper aur lower side k wicks ya shadow real body se kam hone chaheye. Ye candle bullish trend ki alamat hoti hai, jo k white ya green color main banti hai.2nd Candle. High price gapping play pattern ki dosri candle aik small bullish ya bearish candle hoti hai. Yeh candle pehli candle k real body main top par banti hai, yanni candle ka open aur close pehli candle k andar hota hai.3rd Candle. High price gapping play pattern ki teesri candle bhi aik real body wali small candle hoti hai, aur same dosri candle ki tarah bullish ya bearish color main hoti hai, jiss ka open aur close pehli candle k andar hota hai. Ye candle dosri candle k nechay aur pehli candle k real body main banti hai. Agar dosri small candle bullish banti hai to ye candle bearish hoti hai.4thCandle. High price gapping play pattern ki forth candle bhi dosri aur teesri candle ki tarah bearish ya bullish candle hoti hai aur small real body main hoti hai. Ye candle teesri candle k baad nechay banti hai lekin ye candle bhi same dosri aur teesri candles ki tarah pehli candle k andar hota hai. Ye candle ziada tar dosri candle ky color jaisi hoti hai.5th Candle. High price gapping play pattern ki last candle bullish hoti hai, jo k pehli candle ki taqreeban parallel aur open forth candle k baad thora sa above gap main create hoti hai, jo k long real body k sath upper side par ja kar close hoti hai. Yeh candle white ya green color mein hoti hai, jo k bullish trend continuation hoti hai.
    Click image for larger version

Name:	5.png
Views:	7
Size:	24.9 کلوبائٹ
ID:	12596683
    Technical Parameters:

    Friends Yeh pattern candles k upward trend main aik pause/stop ko create karti hai, jiss k baad prices wapis apni last trend par chal parti hai. Yeh pattern panch candles ka aik majmoa hai, jiss main pehli candle aik bullish candle hoti hai, jab k baad wali teen candles small real body wali mix candles hoti hai, Bearish candles dar asal market main analyst ki prices k bare main agli faisala ka time hota hai, k aya prices ne upward jani hai, k nahi, lekin last par aik long bullish candle k banne se yeh wapis apne old/last trend par chal parta hai. Pattern par trades open karne se pehle aik next bullish candle ka wait lazmi karen jo k buy k entry k leye hona chaheye. Stop Loss pattern k lower side ya pehli bullish candle k open price se two pips below set karen.es sy ap ko loss sy bachny ka mouqa mil jaye ga. take profit ki placement bi aik lazmi cheez hy jis aik khas point per ja kr trade close ho jati hy.
    umeed hy ap k leye yeh informative ho ge.thanks to all.

    Click image for larger version

Name:	6.png
Views:	1
Size:	54.0 کلوبائٹ
ID:	12596684

اب آن لائن

Working...
X