Assalamu Alaikum Dosto!
Bullish Harami Candlestick Pattern
Price chart par jab prices sellers k bohut ziada pressure ki waja se bearish jati hai, to wahan par aksar iss ko reversal honne k imkanat hote hen, jiss main aksar kuch aise pattern hote hen, jo do candles par mushtamil hote hen. Bullish chart pattern prices k bottom par ya bearish trend main banta hai, jo k do candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle aik long real body wali bearish candle hoti hai, jiss k baad aik small bullish candle hoti hai, jo k pehli candle k andar banti hai. Pattern ki dosri candle pehli candle k andar open bhi hoti hai aur close hoti hai. Ye candle prices ko aik to bearish jane se rokti hai aur dosra ye candle aik bullish hone ki waja se trend reversal ka kaam karti hai.
Candles Formation
Bullish harami candlestick pattern prices k bottom par do mukhtalif candles ka aik bullish trend reversal pattern hai, jiss ki pehli candle bearish aur dosri bullish hoti hai. Pattern main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
1. First Candle: Bullish harami candlestick pattern ki pehli candle aik bearish candle hoti hai, jo prices k bottom par ya bearish trend ki continuation ka kaam karti hai, q k ye aik long real body wali candle hoti hai. Ye candle aik black ya red color ki candle hoti hai.
2. Second Candle: Bullish Harami Candlestick pattern ki dosri candle aik real body wali bullish candle hoti hai. Ye candle small candle hoti hai, jo k open aur close pehli candle k andar hoti hai. Bullish candle white ya green color main hoti hai, jo k prices ko bearish jane se rokti hai.
Explaination
Bullish Harami Candlestick pattern aik bullish trend reversal pattern hai, jo k do candles par mushtamil hota hai. Ye pattern prices k bottom par ya bearish trend main banne ki waja se prices ko mazeed bottom jane se rokti hai. Ye pattern same to same dekhne main aik "Homing Pigeon Candlestick Pattern" ki tarah hota hai, lekin dosri candle ki real body white candle banti hai. Bullish harami pattern ki dosri candle aik small real body wali hoti hai jo k pehli candle ki real body main open aur close dono hoti hai. Candle k open aur close same point par nahi hona chaheye, q k iss se ye pattern "Bullish Harami Cross Pattern" main badal sakti hai.
Trading

Bullish harami candlestick pattern trend reversal ka pattern hai, jiss se market main buy ki entry karte hen. Pattern k bottom par buyers ziada active ho jate hen. Trend reversal pattern par trading trend continuation patterns ki nisbat ziada riski hoti hai, iss waja se pattern par trading se pehle market main aik bullish ya white candle ka hona zarori hai. Jiss ki real body honi chaheye, jiss main open aur close same point par na ho. Agar pattern k baad bearish candle banti hai, to ye pattern invalid ho jayega, jiss par entry nahi karni chaheye. Stop Loss pattern k sab se bottom position ya pehli candle k close point se two pips below select karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим