Pricing Line Candlestick Pattern:
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Pricing Line Candlestick Pattern:
    Introduction:


    Assalamualaikum I hope you all are fine and doing well on forex trading. Aj ki post mein main ap ko Pricing Line Candlestick Pattern key bary mein knowledge share krun gi.


    What is Pricing Line Candlestick Pattern:

    Dear forex friend forex trading market mein pricing line candlestick pattern Ek bullish trend reversel pattern price chart per 2 candle Se Milkar banta hai pattern Mein Shamil first candle bearish hoti hai isi vajah se pattern price ka pahle se low area trend mein hona zarori hai 2 din ki candles ki Aakar ki single day pattern se best hota hai Kyunki ismein ik candles confarmation bhi Deti Hai Jab Bhi market Mein sellers price ko ek Khas level Tak down push Karte Hain To Jahan per trend reversal ke Inkaam hota hai trend confirmation mostly Kuchh pattern se confirm Ho Jaati Hai jismein piercing line pattern bhi Shamil Hai.

    Click image for larger version

Name:	piercing-line-pattern-candlestick-1.png
Views:	3
Size:	33.5 کلوبائٹ
ID:	12593880



    Candle ki Formation:

    Dear forex friends forex trading market mein Piercing line candlestick pattern main candles ki formation darjazzel hoti hai.


    First:

    Dear forex friends forex trading market mein Piercing line candlestick pattern ki first candle ik strong real body wali bearish candle hoti hai, jiss ka color bhi bearish pattern k mutabiq black ya red hota hai. Ye candle prices k bottom ya low price main bearish trend ka mazeed izzafe ki koshash hoti hai.

    Second:

    Dear forex friends forex trading market mein Piercing line candlestick pattern main shamil second candle ik real body wali bullish candle hoti hai, jiss ka open pehli candle se nechay gap main hota hai, jab k close ussi candle k midpoint se thora sa ooper hota hai. Ye candle prices ko mazeed downward side par reject karti hai.

    Click image for larger version

Name:	PiercingPatternINTC.gif
Views:	9
Size:	17.7 کلوبائٹ
ID:	12593881




    Treading with this pattern:

    Dear forex friend pricing line candlestick pattern price ke bottom Mein banne ki vajah se ek bullish signal generate Karta Hai Jis per market Mein buy ki entry li Ja sakti hai pattern per trade enter karne se pattern ki second candle Ek confirmation candle zarori hoti hai jo ki real body Mein Ek bullish candle honi chahie aur second candles ke top per close bhi honi chahie pattern ki confirmation CCI,RSI macd indicator aur Scott just take osilator Se Bhi ki Ja sakti hai Jiski value over sold Jon Mein honi chahie pattern ke bad bhi race scandal se pattern invalid tasawar Kiya Jaega pattern ka stop loss sabse lower ya second candles ke open price Se Two pipes below per set kar ky market se achcha profit hasil Kiya ja sakta hai.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Pricing Line Candlestick Pattern:

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Piercing Line Candlestick Pattern


    Piercing line candlestick pattern aik two days ka pattern hai, jiss ko uss waqat aik valid pattern tasawar kia jata hai, jab bhi ye pattern prices k bottom ya bearish trend k end main paya jata hai. Ye pattern aik strong bullish trend reversal pattern hai, jiss main dosri candle aik strong bearish trend ko mazeed downward side par reject karti hai aur prices new bullish trend reversal main tabdeel ho jati hai. Pattern main shamil dono candles real body main lazmi honi chaheye, jiss main pehli candle aik bearish candle hoti hai, jo prices ko nechay ki taraf push karti hai. Pattern ki dosri candle bearish trend main rukawat peda karti hai, jo k open to pehli candle se nechay gap main hoti hai, lekin close ussi k darmeyan se ooper hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (23).png
Views:	13
Size:	16.3 کلوبائٹ
ID:	12453794

    Candles Formation


    Piercing line candlestick pattern main shamil candles bearish aur bullish pattern ki hoti hai, jo k prices k bullish trend reversal k leye istemal hota hai. Pattern ki dosri candle pehli candle k lower par open ho kar ussi k real body main close hoti hai. Pattern main shamil candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	images (6).jpeg
Views:	10
Size:	24.4 کلوبائٹ
ID:	12453795

    1. First Candle: Piercing line candlestick pattern ki pehli candle market k current trend k mutabiq aik bearish trend hoti hai, jiss ka close price open price k se nechay hota hai. Bearish candle shadow samet ya uss k bagher ho sakti hai, jo k real body main hoti hai.

    2. Second Candle: Piercing line candlestick pattern ki dosri candle aik bullish candle hoti hai. Ye candle pehli candle k bottom par gap main open ho kar ussi k real body k centre se above par close hoti hai. Dosri candle lazmi real body main main honi chaheye aur pehli candle k open point se pehle close honi chaheye.

    Explanation

    Piercing line candlestick pattern price chart par aik strong bullish trend reversal ka signal uss waqat deta hai, jab bhi buyers market ka full control hasil karte hen. Pattern do candles se mel ka banta hai, jiss main pehli candle aik bearish candle hoti hai, jo prices ko nechay ki taraf push karti hai aur market main selling control ki akasi karti hai. Pattern ki dosri candle pehli candle k bar-aks aik bullish candle banti hai, jo prices ko mazeed nechay ki taraf jane se rokti hai, q k ye candle open to pehli candle se nechay gap main hoti hai, lekin close ussi k darmeyan se thora sa ooper hoti hai. Bullish candle uss waqat aik strong signal deti hai, jab ye strong real body main banne k baad pehli candle k real body ka ziada hisa cover kar leti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (21).png
Views:	59
Size:	10.2 کلوبائٹ
ID:	12453793

    Trading

    Piercing line pattern sab se assan pattern hai, jiss par trading uss waqat hoti hai, jab bhi pattern k baad aik confirmation signal melta hai. Pattern ki dosri bullish candle k baad aik aur bullish candle ka hona zarori hai, jo pehli candle k open price se top par close honi chaheye. Pattern buy signal deta hai, jiss par market main entry ki ja sakti hai. Pattern k baad bearish candle banne par entry nahi karni chaheye, q k pattern invalid ho jata hai. Pattern ki confirmation prices k bottom ya bearish trend main indicator se bhi ki ja sakti hai, jiss par value oversold zone main ya uss k qareeb honi chaheye. Pattern par Stop Loss sab se bottom position ya dosri candle k low price se two pips below set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (24).png
Views:	17
Size:	18.2 کلوبائٹ
ID:	12453792

    اب آن لائن

    Working...
    X