Before and After Opening Trading Important Points
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Before and After Opening Trading Important Points
    Pair Selection

    Trade open kernay kay liye sub say pehla kaam traders ko aik ya do aisay pairs ya commodities select ker laini chaiye jinn mai trading kerna chahtay hain. Iss say mindset aik targeted trading ki taraf ho jata hai.

    Market Observation

    Jo bhi pair ya commodity select ker li ho uss kay charts ko maximize ker kay movement ko observe kerna chaiye. Phir 1 pair ya commodity ko uss waqt trading kay liye finally select ker kay uss kay chart pay time frames kay zariye trends ko daikhna chaiye. Trends aur analysis kay liye indicators bhi use kiye jaa saktay hai aur simply Candlestick chart patterns ko bhi daikha jaa sakta hai.

    Trend Analysis

    Trend and analysis kay baad agla step uss entry mai yeh final kerna hota hai kay lot size kia rakhna hai aur phir stop loss aur take profit Kitna hona chaiye. Ab yeh teen cheezain traders kay account balance, traders kay analysis ki accuracy aur traders kay personal experience pay he depend kerti hain. Lot size ko hamesha account balance kay aik makhsus portion takk equity kay usage aur margins ki consumption kay mutabiq he rakhna chaiye. Kisi bhi soorat mai laalach ya overconfident ho kay bohat ziada lot size nahi rakhna chaiye kiyu kay trades small lot size kay saath baar baar open close ki jaa sakti hain laikin account balance ka loss ho jaey tou phir small ya big lot ya profits aur earnings ka chance he end ho jata hai.

    Click image for larger version

Name:	images (6) - 2023-02-26T230519.011.jpeg
Views:	2
Size:	32.9 کلوبائٹ
ID:	12593643

    When Order is Opened

    Apni trade ko open kernay kay baad usay monitor kertay rehna chaiye kiyu kay kabhi kabhaar uss kay loss mai janay pay hedging bhi kerni Parr sakti hai aur issi tarah market achi aur positive honay ki soorat mai scalping bhi kerni Parr sakti hain. Hedging aur scalping dono kay liye he acha account balance hona bohat zaruri hai aur excessive margins ki availability bhi bohat laazmi hai

    Fundamental and Technical Analysis

    Forex trading market mein fundamental or technical analysis ke leay candlestick chart pattern aur economic calendar important hai favourite currency pair trading instrument hi baare mein jab maloomat jama kr li jaati hai to trade open ki jaati hai. Lot size selection support and resistance dekh kar stop loss take profit lgaya jata hai.

    Click image for larger version

Name:	images (6) - 2023-02-26T230531.456.jpeg
Views:	2
Size:	63.3 کلوبائٹ
ID:	12593644

    Trading strategy

    Trade open karne se pahle strategy bhi select ki jaati hai short term trading strategy use ki gai hai long term trading method hai ya phr humne trading ke liye scalping trading strategy select ki hai yah hamare analysis par planning per depend karta hai. Forex trading market ma knowledge bhi chye aor experience bhi chye utna he role confidence ka bhi hai.

    Click image for larger version

Name:	images - 2023-02-21T041448.506.jpeg
Views:	5
Size:	43.9 کلوبائٹ
ID:	12593645

    Indicators and Enonomic Calendar

    Forex trading market mein difficult data ko check karn ke leay aksr hamen mein mushkil hoti hai international economical factor and indicators score understand karne ke liye hamare pass trading jin ko indicators and oscillators kaha jata hai.

اب آن لائن

Working...
X