Assalam alaikum!
- dear members umeed ha ap sb khairiat se hn gy or apka trading week bahut acha gaya ho ga.
- aj ki post main market analysis k different tareky study karen gy k kesy market ko analyse kia jata ha.
What is Market analysis?
- Dear members analysis ka mtlb hota ha k ksi chz ko dekhna or us py ghor kr us se koe nateja akhaz karna.
- aisy hi forex market k analysis ka mtlb ha k market ka mushahida karna or es ki next movement ko predict karna.
- or successful trading k lye market analsis karna lazmi ha jb tk ap analysis ni kar skty ap achi trading ni kar skty.
- Or forex market ko analyse karny k 3 main tareky hain.
Technical analysis
Fundamental Analysis
Sentiment Analysis
in 3 types ko nechy detail se bayan kia gaya ha.
What is TechniCal analysis?
- Dear members technical analysis ka mtlb hota ha market k charts ko analyse kar k market ki next movement ko predict karna.
- es main srf or srf market ki movement or es k sth 2,3 indicators ko use kar k market ko analyse kia jata ha.
- ye aik bhtreen tareqa ha market ko analyse karny ka.
- technical analysis main market k historical data ko use kar k market ka future predict kia jata ha or es main kch techniques jesa k support & resistance or trend wgera ko use kia jata ha.
- market ko analyse karny ka ye tareeka sb hi use karty hain or baki sb tareeky es k sth use kye jaty hain js ko market k technicals ki smjh lag jati ha wo market main achi trade kar skta ha.
Fundamental analysis?
- Dear members fundamental ka mtlb hota ha k aisa analysis jo k market main trade ki jany wali currencies ki economies k bary main data pr nzr rakhi jati ha or es k jmpact ko market py judge kia jata ha or us k mutabiq trade ki jati ha.
- jaisa k agr hum EURUSD py trade kar rhy hain to hamen Euro or USD dono ki economies pr nzr rkhni ho ge or inki news py bhi k koe aisa data na ho jo market py impact daly or agr agr ho to us k impact ko dekha jay or us k mutabiq trade ki jy.
- fundamental analysis ko technical analysis k sth use kia jata ha or es se dono ko mila k bhtreenbresults milty hain or trader successful hota ha.
Sentiment Analysis?
- Dear members sentiment analysis ka mtlb hota ha market sentiment ko janchna or dkhna k market main bullish or bearish side py traders ki ktni percentage ha.
- es k lye market main sentiment indicators istmal hoty hain jo k es chz ka realtime data provide karty hain.
- es se hamen trade karty hovy madad milti ha k traders k rujhan ks trf ha.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим