Swing trading aikk trading ki strategy hai jo ky aik short term yeh aik moderate term main aapko profit de skti hai. Is main ki jany wali trades aapko ek din ya taqreban ek week tak ky time main acha profit de sakti hain.is main scalping ky muqable main aap kam amount kama sktay hain. Swing trading main aap small amounts of profits kamaty hain. Aur market ki swing movemnt ko dekhty hain sirf aur average se andaza lagaty hain isky ilawa baqi patterns par koi khas twajah nahin di jati.Sirf market ki swing movement ko analyze kar ky hi trading ki jati hai. Is trading main aapko ek din main bhe profit mil sakta hai. Lekin yeh profit baqi techniques sy liye jany wly profit se kam hoskta hain.
What Is Forex Trading Strategy?
Forex Trading Strategy aik aisa system hey jes mein forex trader different countries kay currency pair or commodities or stock ko buy ya sell karnay kay ley istamal karta hey bohut sarey forex strategies jen ko trader fundamental analysis or technical analysis mein use kartay hein aik forex trading strategy yeh hey keh trader Forex Market ko achay say analysis karay or confidence or risk management technique kay sath trade karty hai. Scalping aik aisi trading strategy hai jiss say traders bohat achi trading ker saktay hain aur scalping say earning bhi bohat achi hoti hai. Scalping strategies mai traders bohat Kamm waqt mai bohat achi earnings bhi ker laitay hain kiyu kay scalping ki madad say short time mai short trades ziada lot size kay saath laga li jaati hai jiss kay baad profit hotay he apni trades ko close ker Lia Jata hai. Scalping mai loss kay chances bhi bohat ziada hotay hain kiyu kay lot size big rakhay jatey hain aur Agar market ki movement achanak reverse ho jaey tou uss say loss hota hai aur woh loss bhi bohat ziada hojatey hain.
How to work in Trading Strategy?
forex trading market mai Scalping shotr term trading hoti hai aur ismein apk kam pips haaisl karneki trading karte hian aur market se jaldi out hojaate hain,is liye apko chhaiye ke ap agar scalping karen to poori money management ke sath karen aur scalping bht mushkil hoti hai aur isse new traders ko nahi karna chahiye kiun k scalping se wo apna sara balance bhi ura sakte hain kuch hi dair me ye seniors k liye hai wo hi iss se achi earning kar sakte hain forex trading market main expert trading ziada tar scalping karte hain. forex main jab app bohat short se time main ziada badi lots ki trading karte hain or profit le kar foran close kar dete hain to is ko scalping karna kehte hain aur is mein trader ko profit jlde ho jata he lakin scalping mere khyal mein sahih trading ka zaira nhe he trader ko ache trading krne ke lie experience chahe aur apne trade mein sahih order lage phr fiada ho ga Scalping main aap ney small small targets bana kar kam krna hota hy aur profit hasil karna hota hain.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим